Dost bana na koi Rakeeb bana

by Nino on March 08, 2005, 06:38:36 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4514 times)
dhadkan
Guest
«Reply #15 on: March 10, 2005, 10:08:32 AM »
Wah Nino kya baat hai...

Khuda ki inayat thi tabhi to mehboob ka pyar mila,
Gila to bas itna hai ki wo mera humsafar na bana..
Logged
Nino
Guest
«Reply #16 on: March 10, 2005, 01:53:00 PM »
Har ik shaqs ka to saath milta nahi yahan
kis duniya mein rehti ho tum meri dost
ager hota aasan pyaar pana to yu hin na mar gaye hote hum
Logged
Nino
Guest
«Reply #17 on: March 10, 2005, 01:59:07 PM »
Zindagi to paana hi nahi khona bhi sikhati hai
apni har ik khushi mein hansa hi roona bhi sikhati hai
humne to manga tha kuch door tak hi tera saath
mager tumne to pehle hi kadam pe choord diya mera haath
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: August 16, 2007, 05:01:08 PM »
Quote from: "Nino"
Dost bana na koi Rakeeb bana
Is zindagi ka kisa bhi kuch ajeeb bana
Kayi yadein bani kayi hadese hue
Kabhi khizan chayi to kabhi gulshan khila

Koi door gaya to koi bahut kareeb mila
Kabhi apna sa laga to kabhi ajeeb mila
Waqt se karta raha main hardum duwa
Phir bhi us khuda se hume kuch na mila

Ab to khamoshi hi saathi hai meri
Ab nahi muhjhe kisi se koi gila
Mohabatein to akser huyin aur ishq bhi khub chala
Phir bhi is kambakht dil ke arman jaisa koi na mila

Mausam badelte rahe bahrein aati rahin
Phir bhi mere biyabaan gulshan mein koi gul na khila
Ab to khizaan ka shuker guzar hoon main
Jis ke aane se hume mausam ka patta chala

Rakeeboo ne ki koshishe hazaaroon
Mager phir bhi unka pyaar hume hi mila
Waqt ki sarghoshi se jo mili thi mohabat hume
Uska carvan to bas char din hi chala

Dost bana na koi Rakeeb bana
Is zindagi ka kisa bhi kuch ajeeb bana
Kayi yadein bani kayi hadese hue
Kabhi khizan chayi to kabhi gulshan khila



wah wah wah... bahoot hi acha likha hai Nino ji!!! missing your shayri on Yoindia.....
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #19 on: November 30, 2008, 12:00:13 PM »
Zindagi to paana hi nahi khona bhi sikhati hai
apni har ik khushi mein hansa hi roona bhi sikhati hai
humne to manga tha kuch door tak hi tera saath
mager tumne to pehle hi kadam pe choord diya mera haath



hai, kya baat kahi aap neh



PEHLEY HI KADAM PEH CHODD DIA MERA HAATH
ABHI TOH JINDAGI MEH CHALNA BAKI THA
PEHLEY KI KADAM PEH CHODD DIA MERA SAATH
ABHI TOH JINDAGI MEH CHALNA BAKI THA


GUM NAHI KI AAJ HI FAASLEY BAN GAYE
ABHI TOH SAPNOH KOH SAJANA BAKI THA
ABHI TOH JINDAGI MEH CHALNA BAKI THA


GUM NAHI KI AAJ HI DHADKANEY KAM HUYI
ABHI TOH DHADKANOH KOH MILANA BAKI THA
ABHI TOH JINDAGI MEH CHALNA BAKI THA


GUM NAHI KI AAJ HI TOOT GAYE
ABHI TOH RAASTEY BANANA BAKI THA
ABHI TOH JINDAGI MEH CHALNA BAKI THA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: December 01, 2008, 03:08:42 AM »
nice one Jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #21 on: December 01, 2008, 08:24:57 AM »
HAI NI

THANKS POOJAAAA JI

JASBIR SINGH
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: December 01, 2008, 08:38:51 AM »
Bohat Achche Nino Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #23 on: December 01, 2008, 08:41:31 AM »
Mere Mukkaddar Mein Hi Kisi Ka Saath Likhaa Nahi,.
Gilaa Kya Karoon Mein Uska, Jo Mujhe Milaa Nahi,.

Sab Ke Hont Par Ek Hi Taraana Tha, Meri Bebasi Ka "Jaan",.
"Azeem" To Sab Ka Hogaya, Kyun Iska Koi Huaa Nahi,.

_______________________________-Jaanasheen-
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #24 on: December 01, 2008, 09:44:55 PM »
Mere Mukkaddar Mein Hi Kisi Ka Saath Likhaa Nahi,.
Gilaa Kya Karoon Mein Uska, Jo Mujhe Milaa Nahi,.

Sab Ke Hont Par Ek Hi Taraana Tha, Meri Bebasi Ka "Jaan",.
"Azeem" To Sab Ka Hogaya, Kyun Iska Koi Huaa Nahi,.

_______________________________-Jaanasheen-





HUM MEH HI NA RAHI HOGI KOI BAAT
SAATH HAMARA WOH CHODD GAYE
KASMEY WADEY BHI NA ROK PAYE
SAATH HAMARA WOH CHODD GAYE


JASBIR SINGH
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: December 01, 2008, 09:45:59 PM »
nice lil bro and jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: December 01, 2008, 09:46:39 PM »
thanks

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: December 07, 2008, 11:51:45 AM »
nice lil bro and jas ji

Shukriya Didi Jaan,.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #28 on: December 09, 2008, 11:33:37 AM »
nice lil bro and jas ji


DOST BANA NA KOI RAKEEB BANA
ISS JAHAAN MEH NA HAMARA KOI KAREEB BANA
MILATEY HI RAHEY HUM NAZREY SAB SEY
KOI YAHA NA HAMARA NASEEB BANA



JASBIR SINGH
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: December 11, 2008, 12:13:42 PM »
Nice One Again Jasbir,.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:56:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer