dosti-- betuke afsaane pe ~~~~ Saahil

by salil2002 on April 27, 2009, 08:37:47 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2620 times)
salil2002
Guest
sometimes when a person is near to us we don't realize her value untill .......we get apart...this poem is very near to my heart...
hope u all find it near to ur soul

jise main sochta raha ek dost barso se
jaane kyun aaj dil udaas hai uske jaane se
yoon toh kucch khaas baat nahin lagi kabhi oosme mujhe
phir kyun laga mehfile tabdeel huyi veeraane main

jab tak tha saath uske , bas hansta aur hansata raha
kabhi uske gaalon ko kheench kar main khikhilaata raha
na usne kabhi kuch kaha aise jisse mujhe kuch hua ho
phir bhi uska jaana oos roz aankhon mein pani laata raha

socha kii bad k rok loon , keh doon kii mat jao mujhe chhodkar
magar yeh dil mera, dosti k khayal se kasmasata raha
uski aankhon mein bhi aa gayi thi halki si nami
isliye aankhon k neeche dupatta lehraata raha

aaj woh nahin hai toh saare khat pad raha hoon
tohfe uske saare dekhe , kissii bahaane se
chalte huye diya tha jo tohfa usme lipta tha ek gulaab
muskuraa diya mein apni kismat k is betuke afsaane pe

Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: April 27, 2009, 08:41:46 AM »

 Applause  Applause  Applause

Bahut Khoob Bahut Umda likha hai,

Aur jyada kuch nahi bass yahi kahoongi sach hai jab koi dost door ho jaaye to usse jyada bada gamm koi nahi...

Khuda sab dosto ek saath hi rakhe.

Shally.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2009, 08:56:51 AM »
Wah wah Kya baat hai Salil.. Hamesha hi tarah too gud! Usual Smile
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: April 27, 2009, 09:03:00 AM »
Sabse pehle yeh confusion hain ke main tumhe Saahil kahu ya Salil.. DOH Waise tumne bohat bohat masoom peshkash ki hain.... too good Clapping Smiley Clapping Smiley 

Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #4 on: April 27, 2009, 10:02:11 AM »
Bahut bahut khub Dear......tumhaare thread par mai bhi kuch share kar rahi hun........mujhe bhi kisi ki yaad aa gayee hai....Thanx salil itni pyaari peshkas ke liye....

Ek dost ki dosti ne
zindagi badal di thi
wo jo thi sath mere
meri indagi kali kanwal thi

wo saans mujhme leti thi
mai saans usme leti thi
mai uske mathe ki bindiyaa
wo mere aankhon ka kaajal thi

wo sair sapata
wo hansana wo khelna
mai pyasi dharti si thi
aur wo barasta hua baadal thi

mere askon ke moti ko wo
piro kar haar banati thi
mai thi ek bachhi si
aur wo mamta ka aanchal thi

bas ek wo mujhme thi
bas ek mai usme thi
wo karti thi naaj mujhpar
mai uske dosti ki kaayal thi

aaj juda hai wo mujhse
uski yaadon se dil ka
kamraa hai bhara bhara
ab bhi mann ke mandir me
bichi hai bankar sej makhmal ki

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #5 on: April 27, 2009, 10:34:19 AM »
Waah Ji Kya Khoob Likha Hai Salil Bhai, And Good One Ji, Shweta Ji,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: April 27, 2009, 02:46:34 PM »
Applause  Applause  Applause

Bahut Khoob Bahut Umda likha hai,

Aur jyada kuch nahi bass yahi kahoongi sach hai jab koi dost door ho jaaye to usse jyada bada gamm koi nahi...

Khuda sab dosto ek saath hi rakhe.

Shally.

thnks a lot shally .........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: April 27, 2009, 02:47:39 PM »
Good Job Salil Sahab
Hume Aapki Ye Koshish
Aue Dil Se Nikli Baat
Bohat Achhi Lagi..
ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...

shukriya shihab bhai........aapne meri thread par aakar jo izzat badaayi uske liye bahut bahut shukriya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: April 27, 2009, 02:49:39 PM »
Wah wah Kya baat hai Salil.. Hamesha hi tarah too gud! Usual Smile
Sabse pehle yeh confusion hain ke main tumhe Saahil kahu ya Salil.. DOH Waise tumne bohat bohat masoom peshkash ki hain.... too good Clapping Smiley Clapping Smiley 

Waah Ji Kya Khoob Likha Hai Salil Bhai, And Good One Ji, Shweta Ji,.

thanks a lot sajid bhai , sophi, and azeem ......sajid bhai salil kahiye ya saahil , jo bhi pyaar se kahenge qabool hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: April 27, 2009, 02:56:20 PM »
Bahut bahut khub Dear......tumhaare thread par mai bhi kuch share kar rahi hun........mujhe bhi kisi ki yaad aa gayee hai....Thanx salil itni pyaari peshkas ke liye....

Ek dost ki dosti ne
zindagi badal di thi
wo jo thi sath mere
meri indagi kali kanwal thi

wo saans mujhme leti thi
mai saans usme leti thi
mai uske mathe ki bindiyaa
wo mere aankhon ka kaajal thi

wo sair sapata
wo hansana wo khelna
mai pyasi dharti si thi
aur wo barasta hua baadal thi

mere askon ke moti ko wo
piro kar haar banati thi
mai thi ek bachhi si
aur wo mamta ka aanchal thi

bas ek wo mujhme thi
bas ek mai usme thi
wo karti thi naaj mujhpar
mai uske dosti ki kaayal thi

aaj juda hai wo mujhse
uski yaadon se dil ka
kamraa hai bhara bhara
ab bhi mann ke mandir me
bichi hai bankar sej makhmal ki

thanks a lot jannat pasand karne k liye.......... a nice poem from u pad kar lagta hai kii sach main woh shakhs kitni ahmiyat rakhta hoga tumhaari life main...

mohabbat ka jashn ho raha hai
mujhe bulate toh main jaroor aata
itna baigairat nahin kii bin bulaaye chala aaun
tera aashiq hoon , main faqeeron main nahin aata
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #10 on: April 28, 2009, 03:30:40 PM »
thanks a lot jannat pasand karne k liye.......... a nice poem from u pad kar lagta hai kii sach main woh shakhs kitni ahmiyat rakhta hoga tumhaari life main...

mohabbat ka jashn ho raha hai
mujhe bulate toh main jaroor aata
itna baigairat nahin kii bin bulaaye chala aaun
tera aashiq hoon , main faqeeron main nahin aata
Thanks salil...sach me wo mere liye bahut aham thi...

for u.....

Baatein mohabbat ki..usool takajon ka rakhte hain
mohabbat karne wale to choo lete hain shohrat ki bulandi
wo kahan faqeeron me geene jate hain
chhahte hain jise dil ki gehraaiyon se
uske liye hatheli par jaan liye ghumte hain
jo hai mohabbat aa jao phir mehfil me
dilwale kahan bulawe ka intezzar karte hain.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #11 on: April 29, 2009, 07:42:15 AM »
Nice One Salil Bhai, And Shweta Ji,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: April 30, 2009, 06:53:47 AM »
Thanks salil...sach me wo mere liye bahut aham thi...

for u.....

Baatein mohabbat ki..usool takajon ka rakhte hain
mohabbat karne wale to choo lete hain shohrat ki bulandi
wo kahan faqeeron me geene jate hain
chhahte hain jise dil ki gehraaiyon se
uske liye hatheli par jaan liye ghumte hain
jo hai mohabbat aa jao phir mehfil me
dilwale kahan bulawe ka intezzar karte hain.

nice reply shwetha dear

aa gaya teri mehfil main
dekh kaahin tamasha na ban jaaye mera
tohfa nahin laaya hoon main is dil k siwa
ise qabool kar , kii AASHIQ hai yeh tera
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: April 30, 2009, 07:08:09 AM »
sometimes when a person is near to us we don't realize her value untill .......we get apart...this poem is very near to my heart...
hope u all find it near to ur soul

jise main sochta raha ek dost barso se
jaane kyun aaj dil udaas hai uske jaane se
yoon toh kucch khaas baat nahin lagi kabhi oosme mujhe
phir kyun laga mehfile tabdeel huyi veeraane main

jab tak tha saath uske , bas hansta aur hansata raha
kabhi uske gaalon ko kheench kar main khikhilaata raha
na usne kabhi kuch kaha aise jisse mujhe kuch hua ho
phir bhi uska jaana oos roz aankhon mein pani laata raha

socha kii bad k rok loon , keh doon kii mat jao mujhe chhodkar
magar yeh dil mera, dosti k khayal se kasmasata raha
uski aankhon mein bhi aa gayi thi halki si nami
isliye aankhon k neeche dupatta lehraata raha

aaj woh nahin hai toh saare khat pad raha hoon
tohfe uske saare dekhe , kissii bahaane se
chalte huye diya tha jo tohfa usme lipta tha ek gulaab
muskuraa diya mein apni kismat k is betuke afsaane pe

Bahut hi khoobsurat likha hia aapne salil...
padhke aankhein nam ho gayi aur ek purana dost bhi yaad aa gaya.

dosti ka wo dilkash mausam aaj bhi yaad hai mujhe,
chhedta tha har chhoti chiz mein chidhata tha mujhe,
meri pathrili raahpe hamesha bichhai tunee makhmali chadar,
laparwahi apne hi saath karti thi to khoob daantta tha mujhe,
meri har galti ko nazarandaaz karke mere sath tha hamesha,
kabhi raah bhatki aur thokar mili,pyaarse sambhalta tha mujhe,
jeena sikhaya shaan se bhulke apni saari majboor bebasiyon ko,
aaj tanha hoon to kyon nahi aake pehchaan deta hai mujhe...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: April 30, 2009, 07:38:27 AM »
Bahut hi khoobsurat likha hia aapne salil...
padhke aankhein nam ho gayi aur ek purana dost bhi yaad aa gaya.

dosti ka wo dilkash mausam aaj bhi yaad hai mujhe,
chhedta tha har chhoti chiz mein chidhata tha mujhe,
meri pathrili raahpe hamesha bichhai tunee makhmali chadar,
laparwahi apne hi saath karti thi to khoob daantta tha mujhe,
meri har galti ko nazarandaaz karke mere sath tha hamesha,
kabhi raah bhatki aur thokar mili,pyaarse sambhalta tha mujhe,
jeena sikhaya shaan se bhulke apni saari majboor bebasiyon ko,
aaj tanha hoon to kyon nahi aake pehchaan deta hai mujhe...
thnks a lot huzena ji...aapko pasand aaya aur ise pad kar aap ko koi yaad aaya isse bad kar kya hoga mere litye.........aapne bhi bahut ummda kalaam pesh kiya hai daad qabool kare

mere dost yoon toh tujhe kabhi chaha nahin maine
par tu ho jaaye juda yeh bhi meri khwahish na thi
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:40:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.187 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer