...~~doulat-e-ghum~~...

by HumTum on July 04, 2005, 09:10:52 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2070 times)
HumTum
Guest
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghum by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
ye duniya doulat walo ki............ by wazida in Shayeri for Dard -e- Bewafai
DOULAT....., by Dil Shah in Share: Poetry of Pain
mohabbat hai unhe sirf doulat se yaha... by theyash in Share: Poetry of Pain
sanya310
Guest
«Reply #1 on: July 04, 2005, 09:20:11 AM »
bohot achhe humtum!!!!!! very true!!...good work!!!

aisa na tha pehle ye man, na koi shikayat thi
har waqt daulat ko soongti hui ye saans na thi!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2005, 09:25:12 AM »
Shukriya Sanya aur kya khoob likha hai !!!

na tha yun barbaadi ka alaam pehley
ankhoon se ashqoN ki barsaat hoti na thi !!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #3 on: July 04, 2005, 09:30:29 AM »
bohot achhe humtum!!! n thanx!

aankhon mein doulat e gham ki pyaas na thi
har waqt labon se nikalti hui 'kaash' na thi!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2005, 09:36:40 AM »
bahoot achey sanya !!!

ghum to pehley bhi they zindgi mein meri
par iss kadar zindgi veeraan na thi !!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #5 on: July 04, 2005, 09:37:14 AM »
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


khas banata hai iss zindigi ko ye dard,...
sahi galat ki pehchan dilata hai ye dard,....
dard aagar na mile zindigi me,......
to ban jata hai insaan bedard,...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: July 04, 2005, 09:42:33 AM »
bahut achey tushaar !!!

dard hi reh gya hai ab to faqt zindgi mein
kissi bhi khushi ki ab mujhey koi aas nhi
julsi hai rooh judai ki aag mein kuch iss kadar
ab kissi bhi aag ka mujhey koi ehsaas nhi !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: July 04, 2005, 04:01:37 PM »
wahhhhhhhhhhhhhhh humtum ji ....bohot achi lagi apki poem!!!!! sanya and tushar ...gud work guys!!!!


mayusi ke diye kuch is tara jalaye hai,
aag to jal rahi hai par andhere chaye hai,
par yeh aag bhi kaha jala sakhti hai hume,
jo pehle se hi jal kar haathon me chale paye hai!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: July 04, 2005, 04:05:30 PM »
Shukriya Meena jiiii aur kya khob likha hai buddy !!

yeh ghum kaise Hai,tume bataye bhi nehi jate
na dikha sake inhe, aur Chupaye bhi nehi jate
aa hi jati hai chehre pe, udasi Kabi na kabi
khawaab apne dil ke, bhulaye bhi nehi jate !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: July 04, 2005, 04:16:12 PM »
wah wah humtum ji and thanx!!

udasi ki adat is kadar pad gayi ke,
chehre pe aab uska koi nishan nahin,
muskurate hai zaroor auron ke katir,
warna hasne ka aba hume koi arman nahin!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: July 04, 2005, 04:24:24 PM »
waah ....

ret ke the mahal saare baarishon me dhah gaye
Ham kisi kaabil na the ham gardishon me rah gaye
qaaydon ne is jahaaN kii qaid rakkhiin chaahte
hasraton ke barg saare waqt ke sang bah gaye !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #11 on: July 04, 2005, 04:28:10 PM »
baghon ke na rehne ka afsos na karo,
phool to hote hi hai murja jane ke liye!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2005, 04:29:59 PM »
meri kismat mein phool kha Meena ji
mein to kantooN ke saye mein jiya karta hoon !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: July 04, 2005, 04:35:02 PM »
Quote from: "Meena"
wah wah humtum ji and thanx!!

udasi ki adat is kadar pad gayi ke,
chehre pe aab uska koi nishan nahin,
muskurate hai zaroor auron ke katir,
warna hasne ka aba hume koi arman nahin!!
Very nice humtum,meena,sanya and tushar.
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2005, 04:36:46 PM »
hmm....

kaanton ke saaye me jeena mushkil,
girte hue ashkon ko hai peena muskhil,
zakhmi dil ke takleef kab tak sahe hum,
aah to niklegi hi ke labon ko hai seena muskhil!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:31:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer