...~~doulat-e-ghum~~...

by HumTum on July 04, 2005, 09:10:52 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2035 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2005, 04:37:08 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Meena"
wah wah humtum ji and thanx!!

udasi ki adat is kadar pad gayi ke,
chehre pe aab uska koi nishan nahin,
muskurate hai zaroor auron ke katir,
warna hasne ka aba hume koi arman nahin!!
Very nice humtum,meena,sanya and tushar.


Shikriya Nidhi ji  :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghum by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
ye duniya doulat walo ki............ by wazida in Shayeri for Dard -e- Bewafai
DOULAT....., by Dil Shah in Share: Poetry of Pain
mohabbat hai unhe sirf doulat se yaha... by theyash in Share: Poetry of Pain
Talat
Guest
«Reply #16 on: July 04, 2005, 06:25:02 PM »
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


Waah !! Bohot Khoob Humtum... !! Very Nice Sanya..Tushar and Meena !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: July 05, 2005, 07:58:43 AM »
Quote from: "Meena"
hmm....

kaanton ke saaye me jeena mushkil,
girte hue ashkon ko hai peena muskhil,
zakhmi dil ke takleef kab tak sahe hum,
aah to niklegi hi ke labon ko hai seena muskhil!!


hummmmm Meena hummmmm

mushkil hai rah-e-ishq ka safar phir bhi
bhari hai deewaanon se ye rahguzar phir bhi
na ki mere dard ki dawa tune bhi ae khuda!
jhuk jaata hai tere aage ye sar phir bhi !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: July 05, 2005, 08:01:51 AM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


Waah !! Bohot Khoob Humtum... !! Very Nice Sanya..Tushar and Meena !!!


Shukriya Talat ji ....

tere tasavvur se koi din nahi hai khaali
aisi nahi raat jab tu khawaab mein nahi
mai-kashee se gham-kashee behtar hai "HumTum"
jo nasha hai ashq mein, sharaab mein nahi !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: July 05, 2005, 10:01:04 AM »
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


wow......kya baat hai Humtum
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: July 05, 2005, 10:04:12 AM »
Very Nice.....

Tasavvur main koi chehra hai dhundla sa
Magar rehta hai wo bohot dil ke qareeb
Ek anjaani si chubhan rehti hai har pal
Jaane kyun bana hai wohi mera raqeeb !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: July 05, 2005, 10:10:24 AM »
Quote from: "nikki"
Quote from: "HumTum"
pehle ye zindagi itni khaas na thi
daulat-e-ghum jab ye mere paas na thi

neenv par rasmon ki bane jo rishtay
aise rishton mein kuch mithaas na thi

aa gaye saaye yaadon ke bhi qabr tak
lautnay kii jahaan se aas na thi

har manzar badla palak jhapaktay hi
phir bhii aankhon ki bujhi pyaas na thi

kaash ruk jaata 'HumTum' samaan kahi par
justzoo vaqt ko magar ye raas na thi !!


wow......kya baat hai Humtum


Shukriya Nikki ..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #22 on: July 05, 2005, 10:11:44 AM »
Quote from: "Talat"
Very Nice.....

Tasavvur main koi chehra hai dhundla sa
Magar rehta hai wo bohot dil ke qareeb
Ek anjaani si chubhan rehti hai har pal
Jaane kyun bana hai wohi mera raqeeb !!!


waah .. kya khoob likha hai !!

Tumhari baton se aisa lagta hai
ki waqt ke sagar ne tumko bhi duboya hai
hum samjhte they khud ko akela jahaan mein
Yahan aap ne bhi kuch na kuch khoya hai!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #23 on: July 05, 2005, 10:12:56 AM »
bahut hi acha likha hai aap sabne....Sanya, Meena sis, Tosha sis n Tushar.........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: July 05, 2005, 10:19:05 AM »
Well Said Humtum...

Khud ko kho kar jaane kis talash me nikle hain
Manzil hai roothi hui aur raaste nahin milte hain
Ye kaisi hai ghutan ye kaisa hai dard mere andar
Khud hi karte hain zakhm khud hi hum silte hain !!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #25 on: July 05, 2005, 10:22:37 AM »
again gud one !!!

iss zakhm aur dard pe kuch pesh hai !!

ho ranj se agar khoogar insaaN to mit jata hai ranj
mushkilen mujhpe padi itni ke aasaN ho gayi !!!

aur ye bhi ki...

ishart-e-katra hai dariya mein fana ho jaana
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana !!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #26 on: July 05, 2005, 10:45:29 AM »
Quote from: "Talat"
Very Nice.....

Tasavvur main koi chehra hai dhundla sa
Magar rehta hai wo bohot dil ke qareeb
Ek anjaani si chubhan rehti hai har pal
Jaane kyun bana hai wohi mera raqeeb !!!


wonderfullllll   Talat........................also  too good Hum  Tum.........

Jiss ko samjha tha to ney raqeeb,wo tera naseeb tha
Tere hath ki lakeer tha,use toone hath say hi mita diya

Mujhe ishq hai ki janoon, yeh faisla abi na ho saka
Mera naam tumhari dahleez per likh tha,isse andhiyon ne mita diya......
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: July 05, 2005, 10:45:46 AM »
Well Said .... !!!!!!!!!!!!!!

Dard sehte sehte dawa ban jaata hai
Ashq in ankhon ka moti kehlata hai
Koi shikwa koi shikayat nahin kisi se
Jo har shakhs hume zakhm de jata hai!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #28 on: July 05, 2005, 10:52:10 AM »
waah ....

na ki mere dard ki dawa tune bhi ae khuda!
jhuk jaata hai tere aage ye sar phir bhi
ek din mukarar bala-e-kaza ka hai 'HumTum'
jata nahi hai dil se kambakht dar! phir bhi !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: July 05, 2005, 11:06:46 AM »
Kya baat kahi hai !!!

Dard sehna chupchap na koi shikwa karna
Ki zakhmon ko zamane se chupana achcha
Aansu dekh kar ye dunya hansa karti hai
In ko ankhon me hi rok lena hai achcha !!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:25:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer