Dua mai bhi karugi, dua tum bhi karna

by Pooja on August 04, 2004, 02:33:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2660 times)
Pooja
Guest
Tera, gum hi kafi tha, muje mar jaane ko
tera  gum hi kafi tha, muje mar jaane ko
Is dard-E-Dil shayari ne, muje dafana dala.

Jise ayye hansi yah parr kar, teri hansi hamesha abad rahe
jo ro di ho tumhari ankhy, to dua tum bhi karna
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na Karna Tum by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~MAT KARNA~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
ishq na karna by sehirf in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat na karna by TAMANNA-e-mohabbat in Shayri-E-Dard
Aitbar mat karna by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
nishita
Guest
«Reply #1 on: August 04, 2004, 02:34:50 PM »
mast
Logged
sahil_17n
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2004, 03:23:31 PM »


rehkar tari yaad aaye to kya  karoo ?
yaad dil se na jaye to kya karoo ?
soucha tha ki hogi mulaqat khawab mein !
agar neend na aaye to kya karooooo ?[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 04, 2004, 03:27:24 PM »
bahoot khub sahil ji.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2004, 05:09:21 PM »
bahot khoob pooja..............wah.....kya khoob likha aap ne............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2004, 05:19:46 PM »
Khulli ankho ko to rakha bachain tumane
socha so kar tuje bhi kuch bachain kar du
na aai nind teri yaado mai
yaha bhi tum jity mai haar gai
Logged
nishita
Guest
«Reply #6 on: August 06, 2004, 07:21:40 PM »
Har taraf khamoshi ka saaya hai
jise dekho wahi paraaya hai
gir pade hai hum to mahobbat ke dard se
aur log kehte hai pi kar aaya hai..
 :alcoholic:
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: August 07, 2004, 06:02:43 AM »
Jeete To Sabhi Hain, Dusron Ke Liye Jiyo To Jaane
Hanste to Sabhi Hain, Rote Huo Ko Hansao To Jaane
Girte To sabhi Hai, Girte Huo Ko Uthao To Jaane
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: August 16, 2004, 04:13:05 AM »
NICE ONE NISHITA
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: August 16, 2004, 05:10:12 AM »
NA KER NAHI NAHI NAHI YEH WAQT NAHI NAHI KA
TERI NAHI NAHI NAY CHORA NAHI KAHIN KA.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: August 18, 2004, 08:58:48 PM »
E khuda kisi ne isko itna to samjhaya hota
mahboob ki nahi mai isko hanji dikhaya hota
kaise kare wo ijhaar-e-muhabbat  tujse e nadan
payar ka pahla sabak to parr kar ayya hota
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #11 on: August 18, 2004, 10:38:09 PM »
nishita ji aap bahut sahi ho. Bahut he sahi tippadni karthi ho.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: August 19, 2004, 06:08:38 AM »
Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai
Diya Jal Raha Hai Hawa Chal Rahi Hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 19, 2004, 03:35:44 PM »
wah diya jal rah ahai aor hawa chal rahi hai wah!!! bahoot khoob.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #14 on: August 19, 2004, 03:50:21 PM »
*****GOOD POOJa JEE KEEP IT UP******

Betha tha neem ki chaaoun main ek shaam
Ek pari aayee aur kaha kay aarzoo kiya hai
Kaha kay aankh num hai dil jall raha hai
Bas! ek meethi si khushbo-e-Hina hai
Kehti hai `MUSAFIR` yeh khushbo kiya hai
Kaha kay pagli! sirf ek khayal hai bas
Masoom lafzoon main chupi ek tasveer ayaan hai
Poochti hai Musafir! yeh jadoo kiya hai
Kaha kay Har Nazar na aanay waali
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:19:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer