Dubna chahta tha main ...............PWFS

by pankajwfs on July 13, 2012, 10:17:00 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2415 times)
pankajwfs
Guest
Bhul kar khud ko hi tere wajud ko pana chahta tha main,
Tum wo nadi thi jis ke aagosh me dubna chahta tha main

Mai to nadaaN tha khata karta hi gaya aur karta hi gaya,
Kitna pagal tha behtey dariya ko rokna chahta tha main.

Teri mouzon se khelta raha main ya tum khelti mujhse rahi,
Teri judai me saanson ka silsila todna chahta tha main.

Aur bhi sitam hain jamaane me gham-e-muhabbat ke shiwa,
Do pal sukoon se maa ke anchal me sona chahta tha main.

Waqt ki tanqeed ka ye sila hai mera wajood aaj 'pankaj',
Adna insaaN tha rukh hawaoN ka moddna chahta tha main.

( PWFS 13/07/2012)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
main chahta bhi yahi tha by shruti5 in Ghazals
!!__-Main osy chahta hun-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
chahta hon jisse main by saahill in Shayri-E-Dard
Ek sadaa huN maiN........................PWFS by pankajwfs in Ghazals « 1 2  All »
Main use bepanah chahta rha.....soudagar by soudagar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 13, 2012, 10:21:40 AM »
pankaj is laajwaab ghazal ke liye meree hardik badhaai dheron daad aur mubarakbaad qubool karen
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2012, 11:37:49 AM »
Bahut achhi ghazal hai , pankaj ji . Bahut bahut mubarakbaad.
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2012, 04:46:33 PM »
Bahut khoob Pankaj jee.
jabardast ghajal pesh kee hai aapne..
2nd sher..bahut umda..mujhe khoob bhaaya.
Logged
Asghr
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2012, 06:34:33 PM »
out of this world what an awesome poetry....Asghr
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: July 14, 2012, 06:44:50 AM »
Bhul kar khud ko hi tere wajud ko pana chahta tha main,
Tum wo nadi thi jis ke aagosh me dubna chahta tha main

Mai to nadaaN tha khata karta hi gaya aur karta hi gaya,
Kitna pagal tha behtey dariya ko rokna chahta tha main.

Teri mouzon se khelta raha main ya tum khelti mujhse rahi,
Teri judai me saanson ka silsila todna chahta tha main.

Aur bhi sitam hain jamaane me gham-e-muhabbat ke shiwa,
Do pal sukoon se maa ke anchal me sona chahta tha main.

Waqt ki tanqeed ka ye sila hai mera wajood aaj 'pankaj',
Adna insaaN tha rukh hawaoN ka moddna chahta tha main.

( PWFS 13/07/2012)



Bahut Bahut Khooooob Pankajji..

'Adna Insaan Tha Rukh hawaon Ka Moddna chahta tha main"

Waaaaah Waaaah Waaaah...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #6 on: July 16, 2012, 08:47:35 AM »
pankaj is laajwaab ghazal ke liye meree hardik badhaai dheron daad aur mubarakbaad qubool karen
Bahut bahut sukriya Saini sir is qalam ko pasand karne aur hounsla afjai ke liye
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2012, 10:59:54 AM »
Bahut achhi ghazal hai , pankaj ji . Bahut bahut mubarakbaad.
Bahut bahut sukriya HAsan Sir .........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 16, 2012, 04:02:54 PM »
Bohat Achche Pankaj Ji,.
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #9 on: July 18, 2012, 04:35:49 AM »
Bahut khoob Pankaj jee.
jabardast ghajal pesh kee hai aapne..
2nd sher..bahut umda..mujhe khoob bhaaya.
Mukesh ji is ghazal ko pasand karne keliye bahut bahut sukriya..
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #10 on: July 19, 2012, 01:05:25 AM »
out of this world what an awesome poetry....Asghr
asghr ji zarra nawaji ka bahut bahut sukriya....
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2012, 06:15:59 AM »

Bahut Bahut Khooooob Pankajji..

'Adna Insaan Tha Rukh hawaon Ka Moddna chahta tha main"

Waaaaah Waaaah Waaaah...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwaaish ji bahut bahut sukriya post ko pasand karne aur comments ke liye.....
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #12 on: July 24, 2012, 05:47:03 AM »
Bohat Achche Pankaj Ji,.
Azeem ji bahut bahut sukriya..........
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:41:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer