Dukh Boltey Hain...

by Aryaan on March 21, 2006, 03:00:05 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Author  (Read 6693 times)
mehek
Guest
«Reply #90 on: May 13, 2006, 05:23:27 AM »

hont seel diye.. par aahein chupa na sake zamane se..
aansu cheeQ uthte hain.. mere zakhm bolte hain..

ae taQdeer ke malik.. likhi yeh lakeerien kaisi.. ek baar toh reham kiya hota..
dena tha gar dard bepanah.. seene mein khanjar utaar diya hota..

beh jaata lahu.. ruk jaati sadaaen tam jaati zindagi ki kahani..
Qatra Qatra girte ashk-e-lahoo dil ko jhanjodte toh nahi..

saanson ki ladi thod dete.. is Qayal par ruk gaye hain..
begunah badnaam zindagi par ek aur ilzam jod dega zamana..

sad5
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dukh.. by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
DuKh by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
dukh by Anonymous in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aryaan
Guest
«Reply #91 on: May 14, 2006, 02:45:58 AM »
Mehek.... Bohat acha likhti hain aap...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #92 on: May 14, 2006, 02:54:09 AM »

Yeh udaas raatein, tere dil mein udaasi lati hain
Taare jagmagate hain, par roshni nahi aati hai

Sote jaagte tere mann mein, bas ek hi baat aati hai
Kab hoga tera sajan se milan, bas yehi ek baat aati hai

Khilti dhoop mein, tujhe garmi dikhayi na di
Khilte phoolon mein, tujhe khushboo dikhayi na di

Mili tum sabhi se, phir bhi tumhein woh khushi na mili
Muskurana chaha tumne, phir bhi woh muskurahat na mili

Apnon se thokarein khayin tum ne, ab mujhe apnaya hai
Mera naam dard sahi, main ne sabhi ka sath nibhaya hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #93 on: May 14, 2006, 02:59:30 AM »
Bahut khoob Aryan ji........

Mera naam dard hee sahi maine sabhi ka saath nibhaya hai......Wah....really gr888

Aaj Dukh boltein hai......Mera Dard kahan chipa hai.....
Kyu hai aaj yeh hawa Sard kya mujhe uski bewafai se koi Gila hai......

Dengi na ab aur saath mera yeh kaali andheri raatein......
Na jaane ab tanhai mein karunga main kisse baatein......

Aaj phir Zindagi apne Zakhm siye jaa rahi hai.....
Maut se mooh maud kar ek khawahish jaag rahi hai.........!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #94 on: May 14, 2006, 06:06:19 AM »
bahoot khoob Mehak, Aryaan and BS JI!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #95 on: May 15, 2006, 01:37:14 PM »
bahut khoob sabne bahut achcha likha hai

khushi ki mehphil na ras aai hazar chaha ki muskuraen
tapish se gam ki jhulas gae hain shaguftagi ke gulab sare
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #96 on: May 15, 2006, 06:44:42 PM »
Bohat shukriya BS, Pooja, Gum & Tabassum...

Good Ones BS, Gum, Tabassum....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #97 on: May 16, 2006, 05:04:06 PM »
Hum jo bichrey tau bataao bhala kya hoga
Teri aankh mein jalta huwa
Meri yaad ka ik diya hoga
Poochein ge log tujhse, sabab teri udaasi ka
Kahin palkon pe koyi aansoo atka hoga
Bhool jayein ge log rafta rafta
Samajh kar ik haadsa iss ko
Inn aankhon mein magar
Ik dard sa thehar gaya hoga..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #98 on: May 17, 2006, 07:45:35 AM »
bahut khoob aryan jab jab aapko padha hamesha achcha hi likhate hain

diya ik yaad ka hamne jalaya jo nahi to kya
ik teri yaad hai jo dil jalae baithi hai
haadsa maan kar bhool sakte nahi
dil hai ziddi bahut iska ham kya karen?
yaad usko hi karta ye hai har ghadi
bhool jaane ki jisaki dua ham karen
Logged
mehek
Guest
«Reply #99 on: May 18, 2006, 01:50:00 PM »

paas hokar bhi dekho kitni duuri hai..
faasle mitate mitate hum khud hi mit gaye..
teri ho har khushi aur uski wajah hum bane..
taQdeer ne ki bewafayi hum bas zariyah bankar rehgaye..
Logged
mehek
Guest
«Reply #100 on: May 18, 2006, 01:52:42 PM »

ek waQt woh bhi tha ek lamha yeh bhi hai..
tab zindagi jeena na aaya aaj hum maut ko taraste hain..
Logged
mehek
Guest
«Reply #101 on: May 18, 2006, 01:56:48 PM »

chot dil par lagi dard aansu bankar behgaya..
zakhm-e-jigar bhar gaye par nishan nasur bankar rehgaya..
carvaan armaano saason ke neeche dafn hona hi taQdeer meri..
har pal zindagi ka maut se bekal hokar rehgaya..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #102 on: May 19, 2006, 02:10:43 AM »
Quote from: "tabassum shakeel"
bahut khoob aryan jab jab aapko padha hamesha achcha hi likhate hain

diya ik yaad ka hamne jalaya jo nahi to kya
ik teri yaad hai jo dil jalae baithi hai
haadsa maan kar bhool sakte nahi
dil hai ziddi bahut iska ham kya karen?
yaad usko hi karta ye hai har ghadi
bhool jaane ki jisaki dua ham karen

Bohat shukriya Tabassum & Nice Reply...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #103 on: May 19, 2006, 02:12:46 AM »
Good Ones Mehek....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #104 on: May 19, 2006, 05:46:01 AM »
All are good. Aryaan fantabulous.....
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:19:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer