Dukh..

by Aryaan on December 01, 2004, 03:17:54 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 5549 times)
Aryaan
Guest
Harr dukh sehtey aaye hain
Honton par muskurahat rakh kar
Ab tau khushi hi shaayed..
Aankhon mein aansoo laaye gi
Zindagi jee rahe hain
Par na samajh paaye issko
Maut hi shaayed ab
Zindagi ka sabaq sikhaaye gee...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Humen kya dukh hai!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
tere ditte dukh sab seh laine.....:( by chahal_sanjeev in Love Poetry in Punjabi
!!__-Dukh kia Hota ha -__!! by khamosh.larka in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: December 02, 2004, 05:46:06 PM »
Mere chehre pe dikhaawe ka tabassum hai magar
Meri  aankhon   mein  udaasi  ke diye jaltey  hain
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: December 02, 2004, 06:41:41 PM »
wah ...wah !!! aryaan good work
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: December 02, 2004, 06:44:40 PM »
Quote from: "Aryaan"
Harr dukh sehtey aaye hain
Honton par muskurahat rakh kar
Ab tau khushi hi shaayed..
Aankhon mein aansoo laaye gi
Zindagi jee rahe hain
Par na samajh paaye issko
Maut hi shaayed ab
Zindagi ka sabaq sikhaaye gee...




Gila na kar zindagi se ye to begani hai
tum baat karte hoon gham aur khushi
ye to sirf meri ankhoo ka paani hai
main to maut se nagaar nahi hoon wo bhi ek din aani hai
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2004, 08:21:11 PM »
wel writen nino n aryaan

Milna tha ittifaq, bichadna naseeb tha,
wo itna door hogaya jitna kareeb tha,
main usko dekhne ko tarasta hi rehgaya,
wo shaks jiske haath main mera naseeb tha.


 Puzzled !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2004, 06:03:38 PM »
Bohat shukriya.. myheart_ursonly & Nino..Usual Smile
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2004, 09:44:25 PM »
thnx aryaan...

Judai ka pata hota agar pyaar se pehle...
To maut ki dua mangte hum deedar se pehle......


 Puzzled !

*EDITED
By yoindia moderators..
Comment : Pls mention Not mine if its not ur creation
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: December 07, 2004, 06:24:10 AM »
Bare dukh bhare hain jaana meri zindagi ke lamhe
Kabhi ho sake tau sun_na meri dastaan khudaara
Na hi mil saka thikaana meri be-qaraariyon ko
Kabhi ro ke raat kati, kabhi ro ke din guzaara
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: December 21, 2004, 01:35:12 AM »
Ussey apne fardaa ki fikr thi woh jo mera waqif-e-haal tha
Woh jo usski subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Mera dard kaise woh jaanta meri baat kaise woh maanta
Woh tau khud fanaa kar safer mein tha ussey roakna bhi mohaal tha

Kahan jaao ge mujhe choar kar, main yeh pooch pooch ke thak gaya
woh jawaab mujhko na de saka woh tau khud saraapa-e-sawaal tha

Woh mila tau sadiyon ke baad bhi, mere lab pe koi gilah na tha
Ussey meri chup ne rulaa diya, jissey guftagoo mein kamaal tha

Daam-e-wapsi ussey kya huwa, na woh raushni, na woh taazgi
Woh sitaara kaise bikhar gaya woh tau khud aap apni misaal tha

Mere saath lag ke woh ro diya mujhe itna hi woh keh saka
Jissey jaanta tha main zindagi, woh tau sirf wahem-o-khayaal tha
Logged
Meena
Guest
«Reply #9 on: December 22, 2004, 08:05:07 PM »
zakhmo ko nishan ka roop na dena,
kushi ke palon ko zindagi bana lena. (NM)
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: December 23, 2004, 02:50:20 AM »
Bohat khoob Meena...


So jaein ge ye zameen orh kar ek din hum bhi
Rehta nahi insaan, tau hota nahi gham bhi.....
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #11 on: December 23, 2004, 03:06:38 AM »
Quote from: "Aryaan"
Harr dukh sehtey aaye hain
Honton par muskurahat rakh kar
Ab tau khushi hi shaayed..
Aankhon mein aansoo laaye gi
Zindagi jee rahe hain
Par na samajh paaye issko
Maut hi shaayed ab
Zindagi ka sabaq sikhaaye gee...


Quote
So jaein ge ye zameen orh kar ek din hum bhi
Rehta nahi insaan, tau hota nahi gham bhi.....


Bahut khoob aryaan....
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #12 on: December 23, 2004, 03:07:29 AM »
Quote from: "Meena"
zakhmo ko nishan ka roop na dena,
kushi ke palon ko zindagi bana lena. (NM)


Wah Meena...
Beautiful..
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #13 on: December 23, 2004, 03:10:02 AM »
Quote from: "myheart_ursonly"
wel writen nino n aryaan

Milna tha ittifaq, bichadna naseeb tha,
wo itna door hogaya jitna kareeb tha,
main usko dekhne ko tarasta hi rehgaya,
wo shaks jiske haath main mera naseeb tha.


 Puzzled !


Quote from: "myheart"
Judai ka pata hota agar pyaar se pehle...
To maut ki dua mangte hum deedar se pehle......


Kya baat hai...Kya likha hai Heart...
Ek dum jhakaas..
Yeah last waala...best...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: December 23, 2004, 03:18:53 AM »
Thanx KaMal..
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:56:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer