Dukh..

by Aryaan on December 01, 2004, 03:17:54 AM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 5611 times)
yogi
Guest
«Reply #45 on: January 09, 2005, 03:42:43 PM »
Quote from: "Meena"
:D
yaaro majbooriyan aur bewafai to ek hi sikhe do pehlu
yehi to hui woh baat ek taraf hai kuua aur duji taraf khai
par na marehai  na zinda hai
tum hi kaho kis hadh tak hai sahi
maut aati nahi zindagi le jati nahi
aur kabhakt yeh dil hai ki isse unki yaad jati nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Humen kya dukh hai!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 7 8 »
tere ditte dukh sab seh laine.....:( by chahal_sanjeev in Love Poetry in Punjabi
!!__-Dukh kia Hota ha -__!! by khamosh.larka in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #46 on: January 10, 2005, 01:00:01 PM »
Thanks!! Aryaan n Meena!! happy9 and nice ones friends!!!

Kuch is tarah se tees uthti hai mere dil me
Koi ansuuon ke sath yaad karta ho jaise!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #47 on: January 10, 2005, 06:17:17 PM »
very nice Talat....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #48 on: January 13, 2005, 01:51:26 AM »


Dukhon ne baant liya hai tumhaare baad hamein
Tumhaare haath mein rehtey tau kitna acha tha!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #49 on: May 21, 2005, 02:39:57 PM »
Ab hoga yeh shayed apni aag mein khud jal jayein ge
Tum se door bohat reh kar bhi kya paya, kya payein ge


Dukh bhi sache, sukh bhi sache, phir bhi teri chahat mein
Hum ne kitne dhoke khaye, kitne dhoke khayein ge

Kal ke dukh bhi kaunse baaQi, aaj ke dukh bhi din ke
Jaise pehle kaate they, yeh din bhi katt jayein ge

Aql pe humko naaz tha bohat, lekin yeh kab socha tha
IshQ ke hathon yeh bhi hoga, log hamein samjhayein ge

Ankhon se ojhal hona kya, dil se ojhal hona hai
Tujhse chutt kar bhi ehl-e-gham kya, tujhse chutt jayein ge

Hum se aabla paa jab tanha ghabrayein ge sehraa mein
Raaste sab tere hi ghar ki jaanib ko murh jayein ge...
Logged
dolly
Guest
«Reply #50 on: May 21, 2005, 03:17:09 PM »
very well ritten ARYAANJI......................................... .................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #51 on: May 22, 2005, 03:32:01 PM »
Quote from: "dolly"
very well ritten ARYAANJI......................................... .................

Thanx a lot Dolly.........
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #52 on: June 22, 2005, 12:46:10 AM »

 Mujhe bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaun tau

Kabhi tanhaai ki raatein
Tumhein zyada sataein tau

Kabhi titli na boley tau
Aur jugnoo laut jaye tau

Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye tau

Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jayein tau

Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jaao

Kabhi chahte huwe bhi khud akeley
Ro na paao tau..

Apni aankhon ko band karna
Mujhe aawaaz de dena

Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho baatein keh dena

Mere kaandhe pe sarr rakh kar
Tum jitna chaho ro lena

Phir khud mein jab laut jaao tau
Usi hi duniya chale jana

Magar bas itna kehna hai
Keh jab bhi dukh ya khushiyon mein

Hamein dil se pukaaro ge
Hamein tum saath paao
ge
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:55:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer