DUR DUR KYUN REHTI HAI MAA.....SOUDAGAR

by soudagar on June 09, 2013, 06:26:23 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1242 times)
soudagar
Guest
tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai
tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi
roshandan se ped ke pat-to ki parchai aaj bhi mujhe darati hai

teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha
bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhung se aati hai

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon
tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai

tujhme meri dunia thi  tujhse hee to milti sari khushia.n thi
tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii
naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai
Logged
nashwani
Guest
«Reply #1 on: June 09, 2013, 07:09:19 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

maa ki yaad me apki ye rachna bahut khoob rahi..daad qubool ho..happy9
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: June 09, 2013, 07:27:10 PM »
tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai
tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi
roshandan se ped ke pat-to ki parchai aaj bhi mujhe darati hai

teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha
bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhung se aati hai

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon
tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai

tujhme meri dunia thi  tujhse hee to milti sari khushia.n thi
tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii
naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai

 tearyeyed tearyeyed tearyeyedbahut khoob.......!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: June 09, 2013, 07:40:05 PM »
maan ki yaad ke khubsoorat ihsaasat,..............
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2013, 07:57:00 PM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: June 10, 2013, 12:02:42 AM »
Bahaut hridaysparshee rachna hai Soudagar ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2013, 10:18:04 AM »
shukriya nashwani ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2013, 10:24:59 AM »
bahut bahut shukriya sheba ji
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #8 on: June 10, 2013, 07:11:45 PM »
rula diya yaar aapne soudagar ji...

mai apne ghar se bahut door rehta hu..
apne gharwalo se milne ko tarasta hu..

india ke east me mera ghar hai to west ke kone me mai hu..

bahut bahut bahut khoob.. beshumaar daad ish kalaam ke liye...Usual Smile

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #9 on: June 11, 2013, 12:11:18 AM »
tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai
tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi
roshandan se ped ke pat-to ki parchai aaj bhi mujhe darati hai

teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha
bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhung se aati hai

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon
tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai

tujhme meri dunia thi  tujhse hee to milti sari khushia.n thi
tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii
naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bahot dard bhari peshkash hai
Applause Applause Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2013, 04:00:34 AM »
Bahut khoob, aakhiri she'r kaafi dard bhara hai.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: June 13, 2013, 07:09:03 PM »
shukriya laaiba ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #12 on: July 06, 2013, 08:52:28 PM »
shukriya anmol bhai
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2013, 08:57:54 PM »
tu dur dur kyun rehti hai maa kyun pass mere nahi aati hai
tu apna hath badha ab kyun nahi mere balon ko sehlati hai

jab main parchai se darta tha tu aanchal mein chhupa leti thi
roshandan se ped ke pat-to ki parchai aaj bhi mujhe darati hai

teri mithi mithi lori sun sun kar hee mithi neend main sota tha
bin teri lori ke ab to raat bhar neend bhi na dhung se aati hai

jab bhi dil udas hota hai tere tasveer se baatein karta hoon
tujhe sun-ne ko tarasta hoon par aawaz kahin se na aati hai

tujhme meri dunia thi  tujhse hee to milti sari khushia.n thi
tere jaane k baad to dunia roj naya dard de khub rulati hai

bhagwan ke ghar jakar maa tu kitni khudgarz hai ban gaii
naa to mere pass aati hai na hi mujhe apne pass bulati hai
बहुत दाद के काबिल है,बहुत खूब.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2013, 10:28:10 PM »
shukriya zaara ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:20:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer