Dushma Bana ke tu Chah na ker

by harashmahajan on April 06, 2007, 06:02:02 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 1920 times)
harashmahajan
Guest
Dushman bana ke chaah na ker

Dushman bana ke tu chaah na ker,
be-wafa bane ho nibaah na ker.

Mere dar pe aake yuiN aah na bhar,
Meri aarzoo ko tabaah na ker.

Meri saanse tuzh maiN samaaN rahieN,
YuiN hi mar na jaooN Gunaah na ker.

MaiN khayaal-e-Gum se hi choor hooN,
Mere dard-e-dil ki subah na ker.

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.


Harash
[/i]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Ghazals
na chahne ki chah mai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Hamnawa ki chah by Rajiv'sshayri in Shayri-E-Dard
Chah Ko Raah by suman59 in Miscellaneous Shayri
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: April 07, 2007, 04:51:51 PM »
kya baat hai harsh ji...bohat khoob,bohat din baad aapko padha,padhkar khushi hui Usual Smile .
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: April 07, 2007, 05:49:40 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
kya baat hai harsh ji...bohat khoob,bohat din baad aapko padha,padhkar khushi hui Usual Smile .


Bahoot bahoot shukriya nidhi ji.....haan kaafi din baad ana hua...puraane logoN se milker bahoot khushi mehsoor ho rahi hai.....God bless you always...


harash
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: April 07, 2007, 07:43:30 PM »
Bohat khoob Harash.. Good to see you back..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2007, 05:19:33 AM »
woww aryaan jiaap....how great....it means oldeans are here ....love all..how r u aryaan ji abhi tak ka safer hamaare peechhe kaise raha ?.....
Logged
pushp24
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2007, 06:12:04 PM »
Quote from: "harashmahajan"

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.

wah harash bhai kamaal ka likhte ho...

chaah tujhe humne insanon ki tarah,
tu nafrart bhi na kar saki beganon ki tarah...?
[/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2007, 02:52:44 AM »
Quote from: "harashmahajan"
Dushman bana ke chaah na ker

Dushman bana ke tu chaah na ker,
be-wafa bane ho nibaah na ker.

Mere dar pe aake yuiN aah na bhar,
Meri aarzoo ko tabaah na ker.

Meri saanse tuzh maiN samaaN rahieN,
YuiN hi mar na jaooN Gunaah na ker.

MaiN khayaal-e-Gum se hi choor hooN,
Mere dard-e-dil ki subah na ker.

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.


Harash
[/i]


Bahut khoob.

Yuin ban ke rounaq gairon ki
Nafrat hi kar, is tarah na ker..


Ye line bahut accha laga padkar Harash ji..

Awaaz main unke hai jaadu
Katil unki her ek adha
Karta hai shikayat bhi mujh se
Mere dil main hamesha rehta hai, ye zalim
[/color]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2007, 04:06:49 PM »
Quote from: "pushp24"
Quote from: "harashmahajan"

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.

wah harash bhai kamaal ka likhte ho...

chaah tujhe humne insanon ki tarah,
tu nafrart bhi na kar saki beganon ki tarah...?
[/size]


Pushp ji aapki nazroN  se hi izafa hota hai hamaare kalamoN ka..verna hum kya haiN?...

Ye hamaare lafz-e-andaaz nahi
Jinhone rujha liya yuiN tumko
Ye tumhara pyaar hai
jo hamaare lafzoN ne paya hai..


aapka is tarah likhna baar baar hamaari kalam ko daavat ka nyota deta hai....nahi reh paati woh ...bahoot pyaasi hai dost.....bahoot hi khoob likhte ho aap bhi janaab.....

Hum toh nafrat ki fehrist maiN bhi jagah na paa sake
Chund aansoo hi hameiN darkaar the vo bhi na la sake


harash
[/b][/color]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: April 09, 2007, 04:43:12 PM »
Quote from: "Roja"
Quote from: "harashmahajan"
Dushman bana ke chaah na ker

Dushman bana ke tu chaah na ker,
be-wafa bane ho nibaah na ker.

Mere dar pe aake yuiN aah na bhar,
Meri aarzoo ko tabaah na ker.

Meri saanse tuzh maiN samaaN rahieN,
YuiN hi mar na jaooN Gunaah na ker.

MaiN khayaal-e-Gum se hi choor hooN,
Mere dard-e-dil ki subah na ker.

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.


Harash
[/i]


Bahut khoob.

Yuin ban ke rounaq gairon ki
Nafrat hi kar, is tarah na ker..


Ye line bahut accha laga padkar Harash ji..

Awaaz main unke hai jaadu
Katil unki her ek adha
Karta hai shikayat bhi mujh se
Mere dil main hamesha rehta hai, ye zalim
[/color]


Roja ji waah bahoot khoob.....bahoot achha laga aapko our aapke ahsaas ko dekhker...bahoot hi achha andaz-e-bayaaN hai aapka....


Unki har kaatil adha ne hame har simt yuiN sataya hai
palkoN ko chhoone ki tamanna ne laboN ko tarsaya hai
Woh sawaal jo chupke se thheher jaate the kabhi man maiN
dil main jo tha kabhi hameshaa laboN se poochta aya hai

Harash
[/b][/color]
Logged
pushp24
Guest
«Reply #9 on: April 09, 2007, 06:17:35 PM »
harash bhi aap sach mein hi bahut achha likhte hain....
nice again...

dour ye chalta rahe dard khatm hone tak,
ye kalam ab yun hi hum uthate rahein
dard khatm na ho kabhi, our chalta rahe ye pyar bhi
shaayri mein apni lafjon ka asar kuch is tarah se laate rahein...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2007, 03:20:33 AM »
Quote from: "pushp24"
harash bhi aap sach mein hi bahut achha likhte hain....
nice again...

dour ye chalta rahe dard khatm hone tak,
ye kalam ab yun hi hum uthate rahein
dard khatm na ho kabhi, our chalta rahe ye pyar bhi
shaayri mein apni lafjon ka asar kuch is tarah se laate rahein...


Shukriya pushp ji...lagta hai....pushp ji dard se pyaar hai....hum toh yuin hi silsila chalate rahenge aap aate rahenge....hum yuiN hi rujhate rahenge....bahoot khoob dost....

Woh dard hi kya 'harash' jo apni intihaa na paaye
bas yahi sochta hooN ki zindagi tamaam ho jaye.



harash
[/b][/color]
Logged
pushp24
Guest
«Reply #11 on: April 12, 2007, 01:26:20 PM »
Quote from: "harashmahajan"
Woh dard hi kya 'harash' jo apni intihaa na paaye
bas yahi sochta hooN ki zindagi tamaam ho jaye.
harash

ek dard se hi to risthta hai harash ji, jo itna gehra hai...

us bewafa se muhobbat ho gayi jab se...
dard ki bhi dard se inteha ho gayi tab se...
[/size]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: April 12, 2007, 05:50:14 PM »
Quote from: "pushp24"
Quote from: "harashmahajan"
Woh dard hi kya 'harash' jo apni intihaa na paaye
bas yahi sochta hooN ki zindagi tamaam ho jaye.
harash

ek dard se hi to risthta hai harash ji, jo itna gehra hai...

us bewafa se muhobbat ho gayi jab se...
dard ki bhi dard se inteha ho gayi tab se...
[/size]


Woh Gehra rishta insaan ke emotions se khelte hain janaab...achhe ahsaas pesh kiye haiN janaab....

us be-wafa ne zindagi ko jab se chheena hai hamse
hamne bhi tasavvcur main jeena seekh liya hai tabse


Harash
[/b][/color]
Logged
pushp24
Guest
«Reply #13 on: April 13, 2007, 02:46:57 PM »
Quote from: "harashmahajan"


us be-wafa ne zindagi ko jab se chheena hai hamse
hamne bhi tasavvcur main jeena seekh liya hai tabse

Harash
[/b][/color]

nice again harash bhai...

ye jindgi bhi di humne us bewafa ko to tohfe mein,
par wo hain ki wafa meri ki fikar nahin karte...
seekh rahe hain hum jeena tassabbur mein unke bina,
jo bhoole se bhi kabhi mera jikar nahin karte...
[/size]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #14 on: April 13, 2007, 03:22:03 PM »
Quote from: "pushp24"
Quote from: "harashmahajan"


us be-wafa ne zindagi ko jab se chheena hai hamse
hamne bhi tasavvcur main jeena seekh liya hai tabse

Harash
[/b][/color]

nice again harash bhai...

ye jindgi bhi di humne us bewafa ko to tohfe mein,
par wo hain ki wafa meri ki fikar nahin karte...
seekh rahe hain hum jeena tassabbur mein unke bina,
jo bhoole se bhi kabhi mera jikar nahin karte...
[/size]



bahoot sunder pusp ji bahoot hi zakhmon ki intihaa dikhayii hai aapne....itna bhi gehra na jaoki zakham nasoor na ban jaye......leejiye aapke liye....

Na dekhi thi hamne aisi  be-rukhi kisi maiN yuiN
ki wafa ka woh bhoole se bhi kabhi zikra nahi kerte.

Rehte the tasavvur main mere jo her dum koi 'harash'
woh aajkal mere hone na hone ka bhi fiker nahi kerte

'Harash' samjhata raha umra bhar unhe is tarah
 ik be-wafa se wafa ka kabhi zikra nahiN kerte

Harash
[/b][/color]
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:40:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer