Dushma Bana ke tu Chah na ker

by harashmahajan on April 06, 2007, 06:02:02 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 1919 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: April 13, 2007, 05:39:48 PM »
bahoot khoob Harsh and Pushp... app dono ne hi kamal ka  likha hai....

dil ko chu gai hai appki kavita... bahoot khoob!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost bana na koi Rakeeb bana by Nino in Ghazals
na chahne ki chah mai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Hamnawa ki chah by Rajiv'sshayri in Shayri-E-Dard
Chah Ko Raah by suman59 in Miscellaneous Shayri
pushp24
Guest
«Reply #16 on: April 14, 2007, 06:29:59 PM »
ye jakham to ab foolon se lagte hain harash bhai,
inhein kaise choda ja sakta hai...

berukhi dekhi kahan ab tak usne meri,
ab tak to muhobbat nibha raha hoon mein...

usne to ki ji bhar ke bewafee,
wafa to bas nibha raha hoon mein...

khtam kar loon ye rishta mein bhi, ki kar lun our intzaar thoda,
yehi to sochta jaa raha hoon mein...
[/size]
Logged
sakhi1909
Guest
«Reply #17 on: April 14, 2007, 08:19:55 PM »
Quote from: "harashmahajan"
Dushman bana ke chaah na ker

Dushman bana ke tu chaah na ker,
be-wafa bane ho nibaah na ker.

Mere dar pe aake yuiN aah na bhar,
Meri aarzoo ko tabaah na ker.

Meri saanse tuzh maiN samaaN rahieN,
YuiN hi mar na jaooN Gunaah na ker.

MaiN khayaal-e-Gum se hi choor hooN,
Mere dard-e-dil ki subah na ker.

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.


Harash
[/i]


kya baat hai

bahut khub raha apko padna yahan...Usual Smile

sakhi
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #18 on: April 15, 2007, 02:40:45 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Harsh and Pushp... app dono ne hi kamal ka  likha hai....

dil ko chu gai hai appki kavita... bahoot khoob!!


Bahoot bahoot shukriya pooja ji Muzhe khushi hi ki ...

tumne ahsaaoN ko mere pehchaan toh liya
Kuch likh ker jazbatoN ka ik daam do diya
HameiN laga ki tum bhoole baithhe ho mujhe
Aaj shabdoN ko mere kavita ka naam toh diya.



Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: April 15, 2007, 03:01:02 AM »
bahoot khoob Harsh ji... apko padna hamesha hi ach alaga hai....

Dekha hai kuch humne bhi zindagi ko
shabdo ka arth ab hum bhi pahchante hai

bandhte hai shabdo se shabad jis tarah
dil ke zazbaat kuch to samjh aa hi jaate hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #20 on: April 15, 2007, 05:44:23 AM »
Quote from: "pushp24"
ye jakham to ab foolon se lagte hain harash bhai,
inhein kaise choda ja sakta hai...

berukhi dekhi kahan ab tak usne meri,
ab tak to muhobbat nibha raha hoon mein...

usne to ki ji bhar ke bewafee,
wafa to bas nibha raha hoon mein...

khtam kar loon ye rishta mein bhi, ki kar lun our intzaar thoda,
yehi to sochta jaa raha hoon mein...
[/size]


waah pushpji waah...ab kya kahooN...leejiye aapke liye

ZakhmoN ko bhi is tarah badnaam na kero
Ye her simt pyaar ki yadoN ko bulati hai
phuloN ki chuban bhi agar mehsoos hoti hai
Toh mere dost ye na ho toh bhi satati hai.


khud ko ba-wafa keh use be-wafa karaar de diya
khud phooloN pe use kaanto ka shumaar de diya
Uske ZakhamoN ka nahi dekha koi hisaab tumne
use bina parkhe hi umra bhar ka intzaar de diya


Harash
[/b]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #21 on: April 15, 2007, 05:53:53 AM »
Quote from: "sakhi1909"
Quote from: "harashmahajan"
Dushman bana ke chaah na ker

Dushman bana ke tu chaah na ker,
be-wafa bane ho nibaah na ker.

Mere dar pe aake yuiN aah na bhar,
Meri aarzoo ko tabaah na ker.

Meri saanse tuzh maiN samaaN rahieN,
YuiN hi mar na jaooN Gunaah na ker.

MaiN khayaal-e-Gum se hi choor hooN,
Mere dard-e-dil ki subah na ker.

yuiN ban ke rounaq GairoN ki,
Nafrat hi kar, is tarah na ker.


Harash
[/i]


kya baat hai

bahut khub raha apko padna yahan...Usual Smile

sakhi



Wow..sakhi tum yahaaN?....happy to see you here dear...aapko mera kalaam achha laga....sakooN mila....umeed hai aapko yahaaN hamaari GhazloN our shayri ka bharpoor anand milega....aisi mujhe umeed hai....

KyuiN mili tum aise hi muzhe rahoN maiN
Na khatam honge silsile aisi aag haiN hum

Harash
[/b][/color]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #22 on: April 15, 2007, 06:02:50 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Harsh ji... apko padna hamesha hi ach alaga hai....

Dekha hai kuch humne bhi zindagi ko
shabdo ka arth ab hum bhi pahchante hai

bandhte hai shabdo se shabad jis tarah
dil ke zazbaat kuch to samjh aa hi jaate hai


Pooja ji jaanta hooN tum mujhe dil se padte ho....our dil se hi review detreho...bahoot dino se kutchh jawaab nahidekha so likh hi diya tha....bahoot hi sunder likha aapne pooja ji.....

Gar dard ko mere jaan hi gaye ho tum
Toh is dard ko maiN bhulana nahi chahta
Tum har kshan use isi tarah mehsoos kero
main ise tumhare dil se churana nahi chahta

Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: April 15, 2007, 07:50:41 AM »
wah kaya jawab diya hai apne.... Harsh ji...


chale the sung sung, bahoot chahto se Hum
ajj us chahat ki mujhse koi chah na kar

sath diya barso tak, ek khamoshi se maine
ajj mujhse kisi sath ki chah na kar

khamosh rahi her tere sitam par
ajj kisi khamoshi ki chah na kar

murdna nahi hai mujhko, na hi ab wapis augi main
meri wapisi ki koi Tu ajj koi chah na kar

tere sitam hi bana gaye tujhko mera dushman
ab is dushman ke wapisi ki koi RAAH na kar

chale the sung sung, bahoot chahto se Hum
ajj us chahat ki mujhse koi chah na kar
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #24 on: April 15, 2007, 09:03:06 AM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya jawab diya hai apne.... Harsh ji...


chale the sung sung, bahoot chahto se Hum
ajj us chahat ki mujhse koi chah na kar

sath diya barso tak, ek khamoshi se maine
ajj mujhse kisi sath ki chah na kar

khamosh rahi her tere sitam par
ajj kisi khamoshi ki chah na kar

murdna nahi hai mujhko, na hi ab wapis augi main
meri wapisi ki koi Tu ajj koi chah na kar

tere sitam hi bana gaye tujhko mera dushman
ab is dushman ke wapisi ki koi RAAH na kar

chale the sung sung, bahoot chahto se Hum
ajj us chahat ki mujhse koi chah na kar



Ah!!..dil ko choo si gayi tumhaariyenzm pooja ji bahoot khoob ....per aisa kyuiN mehssos kerte hain aap....

Un chahtoN ko is tarah ruswaah na ker
Dil ki aarzoo hai dost ise tabah na ker

BarsoN diya saath jaanta hooN maiN
Tabah kero mujhe  sar-e-rah na ker

khamoshi ki tere maiN raha kayal sada
Ker lo katal mera aaj per iltaza na ker.

Teri ik ik wafa ka karzdaar hooN maiN
Muzhe muaaf kerke ik Gunaah na ker.

khayal-e-gum se sharamsaar hooN maiN
Dushmani ko nibha lo ab  subah na ker


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: April 15, 2007, 09:15:29 AM »
Shukaria Harsh ji.... wah kay ajawab likha hai apne... shayad is se acha is nzam ka koi jawab nahi tha.....

Kash yah jawab, kahin aor se ayya hota
dil mere ka dard, unko bhi samjh ayya hota

chaht meri ko jisne apni virasat jaana
dil per mere is tarah na khanjar barsaya hota

khamoshi meri, jisko hamesha apni jeet najar aai
payaar ki nagari main, jeet-haar ka barood na bichaya hota

wafa meri per hansta raha jo nishthur
kash uske man main kabhi mard hone ka anhkaar na ayya hota

siskati rahe jakham mere her pal samne jiske
Kash usko kabhi mere Insaan hone ka hi khayal to ayya hota

Kash yah jawab, kahin aor se ayya hota
dil mere ka dard, unko bhi samjh ayya hota
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #26 on: April 15, 2007, 10:02:36 AM »
Quote from: "Pooja"
Shukaria Harsh ji.... wah kay ajawab likha hai apne... shayad is se acha is nzam ka koi jawab nahi tha.....

Kash yah jawab, kahin aor se ayya hota
dil mere ka dard, unko bhi samjh ayya hota

chaht meri ko jisne apni virasat jaana
dil per mere is tarah na khanjar barsaya hota

khamoshi meri, jisko hamesha apni jeet najar aai
payaar ki nagari main, jeet-haar ka barood na bichaya hota

wafa meri per hansta raha jo nishthur
kash uske man main kabhi mard hone ka anhkaar na ayya hota

siskati rahe jakham mere her pal samne jiske
Kash usko kabhi mere Insaan hone ka hi khayal to ayya hota

Kash yah jawab, kahin aor se ayya hota
dil mere ka dard, unko bhi samjh ayya hota



Pooja ji...bahoot bahoot shukriya aapko yejawaab pasand aya ...khuda kare aapke ahsaas un tak pahoonche...our pahoonche toh mere slalaam sang pahoonche...dard-e-dil ki daastaN hi ajab hai jab bhi pahoonche khwaab ban ke pahoonche.....
Pooja ji mujhe bahoot ranj hai ki aapko meri tahreeroN se apnke dard maiN izafa ho chala hai....maiN tah-e-dil se muafi chahoonga dost....kya kerooN...mere paas dard ke siva kutchhbhinahi...dard ka soudagarhooN dard hi khareed.ta hooN our khuda kasam dard hi behta hooN....shayad kutchh dard aapne hi hi khareed liye......

Ye dard ki mehfil hai kash woh idher aya hota
Tire dard-e-gum se hamne vakif karaya hota.

Ik ik Lafz tumhara aah-ban jo nikla dil se
Hamne use rajdaari se hi samjhaya hota

Khamoshi jise apni jeet nazar hai aati
judayii  ka usko ahsaas dilaya hota

GireiN na ab bijaliyaaN chahat pe tumhaari
hamne kutchh is tarah ik pehra lagaya hota.

kutchh roz pehle jiski  thi tum laila ,
Use farihaad hone ka ahsaas karaya hota


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: April 15, 2007, 10:16:07 AM »
bahoot khoob Harsh ji...

dard ki mehfil hai saji har taraf
tanha hi chalta hai jaise her kisi ka safar

judai ka ahsaas usko satayega jaroor
per yah dil shayad na kar payega payaar, shayad yshi hai duniya ka dastoor

pehra lagane se jo, payaar mil paata
phir shayad kabhi koi dard hume na satata

Farihaad chaha na hi chaha koi majnu
ek such insaan, jo payaar ke badle payaar kar paata
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #28 on: April 15, 2007, 11:42:53 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Harsh ji...

dard ki mehfil hai saji har taraf
tanha hi chalta hai jaise her kisi ka safar

judai ka ahsaas usko satayega jaroor
per yah dil shayad na kar payega payaar, shayad yshi hai duniya ka dastoor

pehra lagane se jo, payaar mil paata
phir shayad kabhi koi dard hume na satata

Farihaad chaha na hi chaha koi majnu
ek such insaan, jo payaar ke badle payaar kar paata



bahoot khoob dost..

apne ko is tarah alag thalag na ker
apne gum ko nazer andaaz na ker

In khudao ka asar gehra hua hai
har jagah apne ko dar-bader na ker

Teri yaadeiN toote sapne sab haiN
Lekin unper koi ab gader na ker

nahi hai lalak tumeh farihad ki koi
abas hi apne  dard ko sard na ker


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: April 15, 2007, 04:08:38 PM »
bahoot khoob Harsh ji...

alag nahi bahoot sathi dekhain hai
dard se tadpate, humrahi dekhain hai

ro pardte hai jo mere gum per
apne gumo per mujhko rulane wale dekhain hai

yaadein uski nasoor jakham
umeend per tikte dekhain hai

dekha nahi koi bhi majnu, farihaad
yah kisse to sirf Kitabo mai dekhain hai
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:35:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer