*~*Eersha-Dhwesh*~*

by Roja on March 17, 2009, 02:35:15 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 874 times)
Roja
Guest

Eersha-dhwesh mitane wala koyi nahi
Sach ko gale lagane wala koyi nahi

Jalthi per sab tel chidakne wale hai
Lekin aag bhujane wala koyi nahi

Uljhi gupthi aur ulajthi jaati hai
Gupti ko suljane wala koyi nahi

Baatein jitni chaho jisse banva lo
Bigadi baat manane wala koyi nahi

Jo mehfil ki raunak they ve chale gaye
Ab yeh bajm sajane wala koyi nahi

Jo milta hai buri baat hi kehta hai
Acchi baat batane wala koyi nahi

Jo aata hai aur rulakar jaata hai
Dil ko dheer bandne wala koyi nahi

Samaj sakenge raj ko kaise hum, "Roja"
Aas-pass samjane wala koyi nahi..
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 17, 2009, 05:10:41 AM »
Bohat bohat khoob Roja.........Kya baat hain aaj back to back 2 kalam padhe tumhare dono zabardast, nashte me kya le rahi ho.....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: March 17, 2009, 05:54:40 AM »
Very very nice Roja!
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: March 17, 2009, 05:57:25 AM »

Eersha-dhwesh mitane wala koyi nahi
Sach ko gale lagane wala koyi nahi

Jalti per sab tel chidakne wale hai
Lekin aag bujhane wala koyi nahi

Uljhi gutthi aur ulajthi jaati hai
Gutthi ko suljhane wala koyi nahi

Baatein jitni chaho jisse banva lo
Bigadi baat manane wala koyi nahi

Jo mehfil ki raunak they ve chale gaye
Ab yeh bajm sajane wala koyi nahi

Jo milta hai buri baat hi kehta hai
Acchi baat batane wala koyi nahi

Jo aata hai aur rulakar jaata hai
Dil ko dheer bandhne wala koyi nahi

Samaj sakenge raaz ko kaise hum, "Roja"
Aas-pass samjane wala koyi nahi..

Bahoot ache Roja dear Applause Applause

Eersha to manushya ke antar me samaya hai,
Swacha man se hi manushya ise mita paya hai,

Sacchai ko jivan ka prateek banaya jisne,
Kathin dagar pe wo sar uthakar chal paya hai,

Bigdi baat ko sudharne ka sahas man me ho jiske,
Wo hi kalyug me bhakti ka swaroop ban paya hai,

Ucha udne ka manabal ho jis Insaan me,
Wo hi kathinayion me aage badta chala jaega,

Jab tak kisi or pe manushya nirbhar hota jayega,
Tab tak jivan ke har mod par wo thokar hi payega,

Eersha jab sare manushya ke antar man se jayega,
Tabhi har yug me manushya prem ka itihaas dohrayega!

Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: March 29, 2009, 02:40:03 PM »
Bohat bohat khoob Roja.........Kya baat hain aaj back to back 2 kalam padhe tumhare dono zabardast, nashte me kya le rahi ho.....

Bahut bahut shukriya Sajid ji. Thanks for yr kind apprecation. (naste mein veg li janab tongue3 )
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: March 29, 2009, 02:40:44 PM »
Very very nice Roja!

Thanks Sophi dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: March 29, 2009, 02:42:00 PM »
Bahoot ache Roja dear Applause Applause

Eersha to manushya ke antar me samaya hai,
Swacha man se hi manushya ise mita paya hai,

Sacchai ko jivan ka prateek banaya jisne,
Kathin dagar pe wo sar uthakar chal paya hai,

Bigdi baat ko sudharne ka sahas man me ho jiske,
Wo hi kalyug me bhakti ka swaroop ban paya hai,

Ucha udne ka manabal ho jis Insaan me,
Wo hi kathinayion me aage badta chala jaega,

Jab tak kisi or pe manushya nirbhar hota jayega,
Tab tak jivan ke har mod par wo thokar hi payega,

Eersha jab sare manushya ke antar man se jayega,
Tabhi har yug me manushya prem ka itihaas dohrayega!

wow Lovely dear Salma  Thumbs UP
Thanks for reading me dear.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: March 30, 2009, 03:43:33 AM »

Bohat Khoob Salma, tumhari hindi to gazab ki hain kabhi kabhaar mujhe bhi tution de do plz...Bohat achcha likha hain tumne.
Logged
salma786
Guest
«Reply #8 on: March 30, 2009, 10:59:03 AM »

wow Lovely dear Salma  Thumbs UP
Thanks for reading me dear.

Its completely my pleasure dear Usual Smile
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: March 30, 2009, 11:01:09 AM »
Bohat Khoob Salma, tumhari hindi to gazab ki hain kabhi kabhaar mujhe bhi tution de do plz...Bohat achcha likha hain tumne.

Shukriya Sajid ji notworthy
Hmm... zarur sikhaungi Thumbs UP par apko urdu sikhani hogi Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: March 30, 2009, 03:40:52 PM »
Wonderfuly written roja..

and truth expressed very well...

God Bless You!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: March 30, 2009, 03:58:26 PM »
Wonderfuly written roja..

and truth expressed very well...

God Bless You!!!

Thanks for yr valuable comments dear hasina
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:59:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer