Ehsaas-E-Kalam

by @kaash on May 06, 2009, 09:05:39 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2242 times)
sarahh
Guest
«Reply #15 on: May 17, 2009, 08:34:17 AM »
koi talab bhi nai, aur sogwaar bhi houn
pukarti bhi nai, mehway intezaar bhi houn

na-janey kitnay iraadoun mey batt gaya hai wajood
bhula diya hai ussey, aur be-qaraar bhi houn
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EHSAAS !!!!!!!!!!!! by yog in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Ehsaas... by dev_omu in Shayri-E-Dard
....~~Ehsaas~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
EK EHSAAS... by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ehsaas by Nino in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: May 18, 2009, 03:55:47 PM »
KUCH BAATIEN KHUDH SE BHI CHUPPAYE BETHI HOUN
MEIN NA JAANEY KIA KIA BHULAYE BEHTI HOUN

ARSA E DARAZ SE MEIN ROZ SHAB APNEY
DAR PAR NAZREIN TIKKAYE BETHI HOUN

YAAD HEE NAI KAB SE MAGAR AAJ BHI
MEIN TERE AANEY KI UMEED LAGAYE BETHI HOUN

TERE INTEZAR MEY KANT RAHEY HAIN DIN O RAAT
MEIN HAR SHAAM O SEHR KA HISAAB LAGAYE BETHI HOUN

KAHEIN KOI TUJH PAR UNGLI NA UTHA LAE
ISSLIYE HAR MEHFIL MEY MUSKURAYE BETHI HOUN

SAWAALAT CHAHE JITNAY HOUN MUJHSE
MEIN KAHAN KOI JAWAB LIYE BETHI HOUN

MERE BHI KITNAY KHWAAB KITNAY ARMAAN THAY
PAR AAJ SAB KHAAK BANAYE BETHI HOUN

EK DIN TUM MILO GAYE TOH DEKHAOUNGI TUMKO
KITNAY NASOOR DIL MEY SAJAYE BETHI HOUN

KAB KHATAM HOGA AYE KHUDA YEH SAFAR MERA
MEIN YEH KISS SHAKHS KI AAS LAGAYE BETHI HOUN??!!


Mashallah Bohat Achchi Sharing Hai Sarah Ji, Welcome To Yoindia,.
Logged
sarahh
Guest
«Reply #17 on: May 18, 2009, 07:25:47 PM »
takleef e hijar de gayi raat kabhi kabhi
badla hai yoon bhi rang e muhabaat kabhi kabhi

dil ne teri jafaa ko sahara samajh liya
guzri hai youn bhi hum pe musibat kabhi kabhi

duniya samajh na le tere gham ki nazaqatien
karti houn zer e lab jo shikayat kabhi kabhi

hai jis taraf nigaah tawajo udhar nai
hoti hai berukhi bhi inayat kabhi kabhi

Logged
sarahh
Guest
«Reply #18 on: May 18, 2009, 07:28:11 PM »
meri aankhoun k samandar mey jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tarapney ki lagan kaisi hai??!!

thnx kaash!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #19 on: May 18, 2009, 07:30:02 PM »
Nice Sharing Again Sarahh Welcome To Yoindia
Logged
sarahh
Guest
«Reply #20 on: May 18, 2009, 07:42:11 PM »
mujhse mat pouch k kuon ankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine

har janm sabko yahan sacha pyaar kahan milta hai,
teri chaahat mey toh umar bita li maine

gheray rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li maine.

thanku so azeem:)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: May 18, 2009, 07:44:50 PM »
NIce One Again Sarahh Ji,.
Logged
sarahh
Guest
«Reply #22 on: May 18, 2009, 07:46:09 PM »
thnx 2 both azeem n kaash ..!!
Logged
sarahh
Guest
«Reply #23 on: May 18, 2009, 07:59:29 PM »
ab aansoun ko aankhoun mey sajaana hoga
chiraagh bhuj gaye khudh ko jalaana hoga

na samjhna k tumse bicharh k khush hain
humai logoun ki khaatir muskuraana hoga

phir shaam dhal gai tum aaye naa aaj bhi
dil ko aaj phir umeedoun se behlaana hoga


Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: May 18, 2009, 08:01:57 PM »
ab aansoun ko aankhoun mey sajaana hoga
chiraagh bhuj gaye khudh ko jalaana hoga

na samjhna k tumse bicharh k khush hain
humai logoun ki khaatir muskuraana hoga

phir shaam dhal gai tum aaye naa aaj bhi
dil ko aaj phir umeedoun se behlaana hoga




NIce one Again,.
Logged
sarahh
Guest
«Reply #25 on: May 18, 2009, 08:08:51 PM »
kitni azeat se uss nay mujhko bhulaya hoga
meri yaadoun ne ussay khoob rulaya hoga

baat bay baat aankh jo usski chalki hogi
uss ne chehray ko bazaoun mey chupaya hoga

jahan uss ne mera zikr sunna hoga kissi say
usski aankhoun mey koi aansoo toh aya hoga

raat k beeghnay tak neend na ayi hogi tujhey
tu nay takyoun ko bhi seenay se lagaya hoga

ho k nidhaal meri yadoun se tu ne jaana
meri tasveer pay sar apna tikaya hoga

poocha hoga jo kisi ne teray haalat ka sabab
tu nay batoun mey khoob uss se chupaya hoga
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: May 18, 2009, 08:30:30 PM »
Nice One Sarahh And Kaash Ji,.
Logged
sarahh
Guest
«Reply #27 on: May 18, 2009, 08:34:51 PM »
kaaash aap toh bahut acha likhtey hain!meri shayeri toh kuch bhi nai aap kay aagey:)
Logged
sarahh
Guest
«Reply #28 on: May 22, 2009, 06:23:55 PM »
parthey ho jo mujhe namazoun ki tarhan se
jo kabhi qaza ho gayi tumse toh kia karo gae??!!!
Logged
sarahh
Guest
«Reply #29 on: May 22, 2009, 07:19:30 PM »
mere wajood ki mujh mey talash chohr gaya
jo pouri na ho kabhi aisi aaas chohr gaya

jo khwaishein thein kabhi hasratoun mey badal gayein
mere laboun pe woh ek lafz kaash chohr gaya

yeh mera zarf hai ek roz ussne mujhse kaha
k aam logoun mey tujh ko khaas chohr gaya

baharoun se mujhe issi liye toh nafrat hai
inn hee routoun mey mujhe woh udaas chohr gaya


Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:25:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer