ek adhura sa khawab.............

by ranjana on July 05, 2006, 10:18:05 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 6850 times)
ranjana
Guest
jaane yeh tera mera pyaar thaa  
ya thaa ek adhura sa sapna thaa
jo gum gaya hai beete palo ke saaya
mujhe kya pata thaa ki woh kab apan thaa

ek saaye jo dekha thaa maine khawabo mein aksar
tera akas us saaye mein dhalne laga thaa
mere pyaar ke kuch haseen khawab they adhure se
tu unmein sapno mein kuch  rang sa bharane laga thaa

tere aane se hi toh chhaa gaya thaa mere jeevan mein vasant
tere aane se hi toh mera har pal mehekane laga thaa
tu thaa toh lagti thee ek jeene ki aas mujhko
tu hi toh meri saanso ko rawani si deta thaa

jis tarah tune chhora mujhe ek dam se aaj
koi apne duhman ko bhi kabhi na chhor sakata thaa
mera diye hue pyaar ke pal  kya  kamzor they itne
ki mere saath bitaye palo ko tu ek pal mein tod sakata thaa

jaane se pehle kuch keh leta kuch sun leta hamse
toh yeh tere diya dard mujhe itna na dukha sakata thaa
kash na aake tu jagaata mere khawabo ko toh
toh kam se kam se kam mera saaya toh mera apna thaa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
adhura hu by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
adhura jeevan............... by ranjana in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ek adhura khawab by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
adhura aafsana by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: July 05, 2006, 11:39:38 AM »
NICE ONE RANJU
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: July 05, 2006, 04:18:35 PM »
jab hum tere mehfil se sanam uth jayenge
dekh lena fir tujhe bahut yaad aayenge

dhoodega fir tu hame  diwaano ki tarah
hum ek saaya ban ke reh jayenge

chhaa jayagi ek beqarai si tujh per mujhe paane ki
hum teri zindagi se jab dur chale jaayenge

mujh se nigaahe bachaane ki koshish na kar
hum tere vajood ko kai sawalo se bhar jayenge

ek tere pyaar ki bas aarazu thee hame is zindagi mein
ab teri aankho mein apni chahat ki payaas hum bhar jayenge

maana ki yeh kisse hain bas pal do pal ke
per aap bhi hamaare begair ab chein se na jee paayenge
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 05, 2006, 04:19:36 PM »
shukriya vikas ........... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: July 05, 2006, 05:32:02 PM »
yeh zindagi bhi ek peheli si hai
jitni yeh suljhi hai utni uljhi hai

tera shikava ab kare bhi kis se
mere bas mein ab tere daman nahi hai

hum chale aaye hai bachte bachte teri yaado se
per mere bas mein ab tujhe bhualna bhi nahi hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: July 05, 2006, 05:48:24 PM »
very nice Ranjana di....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 06, 2006, 04:10:51 AM »
shukriya Nikki dear.......... Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: July 06, 2006, 04:19:45 AM »
Hmmmmmm......toh khawaab Adhoore hai :wink: Gud Job Ranju

Aaj Jal jaane de mujhe......
Parwana bann khud me Shaamil ho jaane de......

Jo beeti hai pichli Raat......
Use bhi aaj iss Dard me beh jaane de.......

Dekhe aaj hum bhi tere Dard me kya bhala hai......
Dekha tujhe Rota hamesha toh khud ka bhi Dil humne rota paya hai...!!!!!!!!!!!
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #8 on: July 06, 2006, 05:08:00 AM »
Quote from: "ranjana"
jab hum tere mehfil se sanam uth jayenge
dekh lena fir tujhe bahut yaad aayenge

dhoodega fir tu hame  diwaano ki tarah
hum ek saaya ban ke reh jayenge

chhaa jayagi ek beqarai si tujh per mujhe paane ki
hum teri zindagi se jab dur chale jaayenge

mujh se nigaahe bachaane ki koshish na kar
hum tere vajood ko kai sawalo se bhar jayenge

ek tere pyaar ki bas aarazu thee hame is zindagi mein
ab teri aankho mein apni chahat ki payaas hum bhar jayenge

maana ki yeh kisse hain bas pal do pal ke
per aap bhi hamaare begair ab chein se na jee paayenge


its a nice one..........



na ker itne sitam mujh per mere dilbar
ik teri khushi ki khatir hum zindagi se haar jayenge
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 07, 2006, 04:45:29 AM »
shukriya ji and bahut khoob............

nahi koi shikayat nahi hai mujhe apni is khomosh zindagi se
samaye beetata hi jaata hai kuch adhure se sapano ke saath
piche reh gaye na jaane kitne rishte
aur tut gaye hain na jaane kitne mere khawab
ab toh saamne hai kevel ek veerana
aur aankho mein jalti hai ek jalti bujhti si aag
samet leti hun apne dard ko apni aankho mein
kahi dikh na jaaye duniya ko mere yeh dil ke daag
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #10 on: July 07, 2006, 05:27:38 AM »
chubne lage hain ue toote sapne aankho mein
sirf uska saaya he hai ab meri raaho mein
mere dil pe use ab aitbaar nahi hota
sirf kenhe bhar se he kisi ko pyar nahi hota
kya karoon main usse paane ke liye
ji kerta hai he ki khud ko he jala loon
usko nahi to maut ko he gale se laga loon.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: July 07, 2006, 04:48:25 PM »
hamne dekha jise yahan woh hame tanha mila
is sheher mein har koi haara sa mila
rishto mein is qader hain faasle
ki har koi yahan besahara sa mila
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: July 08, 2006, 03:41:36 AM »
unse bicharne ki ghadi ab tak in aankho ko yaad hai
us pal  ke har aansu ki keemat aur unki aankho ki nami yaad hai

unka har baat per ruthana aur apana manana  yaad hai
duniya ke tufaano mein ek diya pyaar ka jalana yaad hai

woh us pal ki bebasi aur fir tanha reh jaana yaad hai
woh uske kahe aakhri lafazo ke dard se dil mera abhi tak abaad hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 08, 2006, 07:41:12 AM »
Bahoot Khoob Ranjana Sis And Gaurav Bhai,..
Nice One,..


Khabar Kya Hai Unhe Raat Ki Tanhaai Ki,..
Wo Jo So Jaaya Karte Hain Andhera Hone Ke Baad,..
Humse Poocho Hum Ne Kya Paaya Zindagi Mein Apni,..
Apne Mukkaddar Ki Khushiaan Khone Ke Baad,..

______________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: July 09, 2006, 02:31:57 AM »
bahut khoob Azeem bhai...........

meri zindagi ko kuch lamhe khushi ke dekar kar
na jaane woh shakas fir  kahan chala  gaya

jo bhi mila mujhe kabhi mohabbat ke safar mein
woh hi mujhe tanha aur udas kar gaya

maangi thee haumne apne kuch andharo ke liye roshni
woh aur bhi meri zindagi ko andharo se bhar gaya

jaga diya hamare dil ke armaano ko usne yun hi khel khel mein
woh do pal ke pyaar ke afsaane mein khel yeh kaisa khel gaya

khamosh reh kar hum sunte rahe unke saare shikve
ek pal mein woh meri zindagi ko ek sawal kar gaya

talasha thaa shayad hamne sehera mein paani ko
woh meri payaas ko ek ajab si trishna fir se de gaya
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:37:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer