ek adhura sa khawab.............

by ranjana on July 05, 2006, 10:18:05 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 6786 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #30 on: July 15, 2006, 04:41:47 PM »
GUd JOb alll

Tere harr Khawaab ko poora hum karenge.....
Dil ke harr Zakhm ko apne Chashm se Roshan hum karenge.....

Doobi hogi jab Kalam teri......
Tab dekhn aye Sanam Shaam hum ek Karenge......!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
adhura hu by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
adhura jeevan............... by ranjana in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ek adhura khawab by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
adhura aafsana by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #31 on: July 15, 2006, 06:30:41 PM »
BAHUT KHOOB GAUARV....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #32 on: July 17, 2006, 12:32:58 PM »
woh ek saaya sa thaa jo saath mere chalta raha
mere har rang rup mein woh dhalata raha

kiya karti thee mein jaane us se baate kitni
woh shakas mere vajood mein basta raha

uski awaz mere dil per ek ibadat ki tarah chhayi rahi
woh ek gazal ban ke mere lafazo mein likhta raha

jab kabhi bhi khamosh hua mera dil uski yaado se
woh ek meethi si chubhan ban ke mera dard banta raha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: July 18, 2006, 03:40:39 AM »
chupke chupke kuch aise khayal dil mein aate hain..
jinki sunehari galyion mein hum kho jaate hain

kabhi dil se jo uthate hain geet unke liye
toh woh saaj ban ke dil per chhaa jaate hain

kabhi zindagi ki haqikaten aise aaeine bhi dikha jaate hain
jo hame hamse hi rusava se kar jaate hain

kuch dil ke raazo ko raaz hi rehne do
kabhi yeh raaz khul jaaye toh dard zinadagi bhar ke ban jaate hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #34 on: July 18, 2006, 07:56:37 AM »
Bahoot Khoob Ranjana Sis, Niraj And Gaurav Bhai,..

Khwaab toot Jaate Hain Sone Se Pehle,..
Aansoon Nikal Aate Hain Aankhon Se Rone Se pehle,.
Kehte Hain Sab Ke Ishq Ek Sazaa Hai,..
Kaash Koi Rokta Mujhe Ye Hone Se Pehle,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
phoenix
Guest
«Reply #35 on: July 18, 2006, 07:18:09 PM »
kuch gunaaho mein ek dua chupi hoti hai
har aansu k peeche ek raza chupi hoti hai
pad liye jate hain chehre bhi yahan par
lekin teri wafao.n mein kahin meri saza chupi hoti hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: July 18, 2006, 07:24:55 PM »
jo beet gaya woh fir laut ke kahan se aaye hai
kiske intazaar mein a dil tu apni nigahaao ko bichaaye hai

ruthana hai toh khud se ruthe ab hum
yahan aake ab bhalla hame kaun manaaye hai!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: July 19, 2006, 12:38:35 PM »
Nice One Pheonix And Ranjana Sis,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: July 20, 2006, 01:33:55 AM »
shukriya azeem bhai
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #39 on: July 20, 2006, 11:25:03 AM »
nice all.......

kehte the hum khwab na dekhenge koi
par kaya karen aankh band karte hi aa jate hai kai...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #40 on: July 20, 2006, 11:34:26 AM »
nice vikas...

hamne toh kar liya thaa band unko apni  palko mein
woh fir bhi hame gar ki bahaon mein kyu nazar aate hain
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #41 on: July 20, 2006, 11:49:08 AM »
teri aankho ka kasur hai yeh to sanam
hum to jal gaye the khawab mai bhi yeh dekh kar.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #42 on: July 20, 2006, 12:26:29 PM »
Nice One Again Ranjana Sis And Vikaas Bhai,..

Zabaan Mere Dard Ki Koi Samajh Na Saaka,..
Sab Milte Gaye Mujhe Yahaan Muskuraate Hue,..

________________________________-Jaanasheen-

Logged
ranjana
Guest
«Reply #43 on: July 20, 2006, 01:02:16 PM »
Quote from: "vikas2210"
teri aankho ka kasur hai yeh to sanam
hum to jal gaye the khawab mai bhi yeh dekh kar.....


khawab mein hamko yun dekha na karo
neend na aayegi fir tumhe raat bhar
tadpoge ek sakun ke liye tum bas
aur meri yaad sata ke beqarar kar jaayegi raat bhar
Logged
ranjana
Guest
«Reply #44 on: July 20, 2006, 01:04:35 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Nice One Again Ranjana Sis And Vikaas Bhai,..

Zabaan Mere Dard Ki Koi Samajh Na Saaka,..
Sab Milte Gaye Mujhe Yahaan Muskuraate Hue,..

________________________________-Jaanasheen-



hamne jab bhi dekha unki nighao.n mein
ek dard ka dariya thaa wahan per behta hua

paa na sake hum bhi fir ek pal ka sakun
unki aankh ka ashaq thaa meri palko per thara hua
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:03:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer