ek deeya thaa tere pyaar ka maine jalaaya!!!

by ranjana on September 21, 2006, 05:51:04 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2213 times)
ranjana
Guest
suraj ne apni roshni se jeevan diya thaa tujhko
per tu us se apne zindagi ke andhare mita nahi paaya
keh toh diya hai tumne bewafa mujhko
per mera saath bhi yeh tera dil kahan tak nibha paaya

bani thee main teri zindagi ka sahil
tu hi apni kishati mujh tak la na paaya
diya thaa maine tujhe patwaar sa sahara
per tu hi mujhe kabhi smajh nahi paaya


beetaayi hain maine bhi kai tanah raate tujh  bin
kai din in aankho se thaa ashqo ko bahaaya
meri zindagi ka toh aadi bhi tu thaa aur anth bhi tu thaa
fir kyu is qadar tune muje khud  se  kar diya paraaya

ek deeya jalaaya thaa maine tere pyaar ka apne dil mein
per tumne har kadam per mujhe begaana samajha aur mere dil ko thaa rulaaya!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2006, 06:35:49 AM »
Quote from: "ranjana"
suraj ne apni roshni se jeevan diya thaa tujhko
per tu us se apne zindagi ke andhare mita nahi paaya
keh toh diya hai tumne bewafa mujhko
per mera saath bhi yeh tera dil kahan tak nibha paaya

bani thee main teri zindagi ka sahil
tu hi apni kishati mujh tak la na paaya
diya thaa maine tujhe patwaar sa sahara
per tu hi mujhe kabhi smajh nahi paaya


beetaayi hain maine bhi kai tanah raate tujh  bin
kai din in aankho se thaa ashqo ko bahaaya
meri zindagi ka toh aadi bhi tu thaa aur anth bhi tu thaa
fir kyu is qadar tune muje khud  se  kar diya paraaya

ek deeya jalaaya thaa maine tere pyaar ka apne dil mein
per tumne har kadam per mujhe begaana samajha aur mere dil ko thaa rulaaya!!



Waaaah...bahut Umda likha hai aapne.....

Na Jaane Kon Tha Woh Dard.....
Jo Teri Zindagi Me Nasoor Bann Beh Gaya......

Kon Tha Woh Shaks Jo Tujhe Bewafa keh gaya......

Bheegi Rait Par Kuch Naam Faasle Mita Nahi Sakti......
Jo Ho Zindagi Me BeNam Usse Mahobbat Ki Nahi Jaa Sakti......!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2006, 06:39:10 AM »
aankh mein aansu dil mein tere diye zakham liye jaate hain
le saman ab tu kush rahe sada yun hi dua hum tujhe diye jaate hain

kiya thaa kabhi teri har shaye se pyaar hamne
teri har baat ko ibadaat apni maana thaa

chale they har kadam saath tere zindagi ke
tere har dukh ko apna dukh maana thaa

they jo kabhi meri aankh mein aansu
fir bhi hum teri khaatir hum  muskaarye they

ab yeh aagye hain hum kis mod per zindagi ke
ki ab koi gair tere apne aur hum paraaye they

le aaj hum tujhko apni har baat se juda kiye jaate hain
tu kush rahe ab hamesha hum maut ko apna damaan ab thaamte hain!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2006, 10:16:05 AM »
yeh mann bawara kabhi yun hi bhatak jaata hai
dil ki zameen per hai kuch sookhi se daarare.n
yeh dard unka diya inse chalak jaata hai
is baraste sawan se toh bhalla hai yeh patjhar
meri dil mein base dard sa yeh pata pata ho ke bikhar jaata hai!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 21, 2006, 10:40:53 AM »
Ranju and Gaurav....bohot khoob ! Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: September 21, 2006, 10:55:25 AM »
bahot khoob  Ranjana sis......... Gaurav :lol:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: September 22, 2006, 04:11:21 AM »
shukriya Talat and Waheed ...... Usual Smile


is tarah zindagi tu mera imthaan na le
roz yun meri qatra qatara jaan na le
haar chuki hun ab sab kuch main apna
ab yun tadapa ke mera imaan na le !!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2006, 02:23:42 AM »
Thnx Talat....and Waheed bhai.....and again a gud job Ranju

Mezbaani ke tere taur tareeke hume pasand aye....
Kothe ke tere woh Parde...Shaul....Shaleeke hume tera Husn dikha na paye.....

Aahein bharte rahe hum aur tera Jalwa Dil jala jaye....
Keemat kaho Pyar ki ya Dil ko hee ab bech dia jaye....

Halak me atki saansein ab bechaini paye....
Kar gaya woh fakeer kayi fariyaadein....ke iss Janam hum teri Mahobbat paye.....

Toh aao Sanam ek dusre se ab hum Mahobbat nibhaye.....!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: September 26, 2006, 10:20:37 AM »
kya keh jaate hain mere lafaz kuch apni jubaan se
kya inse mera dard koi tapak jaata hai
hota nahi hai koi aas paas mere yahan
fir bhi woh mere dil ka haal kaise jaan jaata hai
 
badalne lagi hain ab meri zindagi ki hawae.n
yeh garam hawa sa ehasaas mere dil ko pighalata hai
main geet jo bhi likhu kaise bhi likhu
woh dard ke saaye mein kyu dhal jaata hai!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 26, 2006, 10:28:35 AM »
Bahoot Khoob Ranjana Sis And Gaurav Bhai,.,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: September 26, 2006, 10:44:37 AM »
shukriya azeem bhai..

chandani ki chahat mein hum jis raha se gujare
wahan mujhe dhup ke saaye hi mile
kiye they kabhi muskaarne ke waade hamne kisi se
isliye apne dard mein bhi hum haste rahe!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 27, 2006, 08:58:00 AM »
Nice One Again Sis,..

Ujaala Mangne Aaya Tha Roshni Ki Bheek..
Hum Apna Ghar na Jalaate To Kya Karte,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: September 27, 2006, 11:42:18 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Nice One Again Sis,..

Ujaala Mangne Aaya Tha Roshni Ki Bheek..
Hum Apna Ghar na Jalaate To Kya Karte,..


bahut khoob bhai.........

hamne dil bhi apna jala ke rakh diya
per ujaale unki zindagi mein la na sake
kabhi jo thaama haath shahare ke liye
woh ek kadam palat ke bhi mujh tak aa na sake!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #13 on: September 28, 2006, 08:05:04 AM »
nice allllllll............
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: September 28, 2006, 08:07:13 AM »
Jalta raha raat bhar sawere ki intezar mai
sawera hua na mera kabhi kuch aisa grahan laga
shaam ke baad raat aur raat ke baat shaam
shahayd jalna hi likha khudane kismat mai meri
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:36:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer