EK DIN MAR GAYA--- Saahil

by salil2002 on May 02, 2010, 06:28:38 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 5120 times)
salil2002
Guest
Doston yeh poem main kaayi dinon se likhna chahta tha ,,,,jab kissii kii baaton ne mujhe rulaaya tha toh oos waqt yeh nazm ek kehkaha ban k dil main gungunaya tha,,,,wahi aap sabke saath share kar raha hoon


berang si zindgi ho gayi uske jaane k baad
sochta hoon kabhi woh lamha mohabbat ka kidhar gaya

jise dekh kar savera karti thi meri aankhen
woh tabassum sa chehra kyun itna badal gaya

aaj sab rishte naaton ko toda maine , aur jaane laga
toh mere dost ne poochha ki kya kahoon jab koi poochhe tu kidhar gaya

maine kaha kii keh dena main ab tanhaayi main zinda hoon
mere hisse kii mehfil ka daur dhal gaya

mein ek tooti kalam se nikla hua alfaaz tha
jo ashar bante bante bigad gaya

aur kuch na samjhe toh keh dena main "SAAHIL"tha
jo samandaro se ladte ladte ek din mar gaya

aur jab uske khare aansu oon seepiyon se behne lage
toh poochhna oosse kyun mujhe yaad kar k woh bikhar gaya

main toh tanha tha ek ummra bhar uske saath kii khatir
unke intzaar main "SAAHIL" oosi dar pe Gujar gaya

..............Saahil ek din mar gaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Saahil by Azedmeer in Critics and Review only Forum
Saahil~~ Saahil by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
saahil doobo gaya by saahill in Miscellaneous Shayri
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #1 on: May 02, 2010, 06:51:22 PM »
wah sahil .. kya kahene behad qoob ,, maza agaya dad qubool karen ..allah apko khush rake..


Qadeertoopchi
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #2 on: May 02, 2010, 08:39:01 PM »
good one sahil sahab Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: May 02, 2010, 11:07:21 PM »
Good one !!!!!!!!!

Vry nyc !!!!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2010, 11:38:14 PM »
Wah wah Saahil ji,bahut dard bhari nazm pesh kiya aapne.bahut gaherayi aur khoobsurti se likha.excellent work.keep writting. Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2010, 03:39:29 AM »
Kya baat hai Saahil Bahoot Bahoot Umda .. Lajawaab !
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2010, 06:37:08 AM »
Behad Dard Bhare Ehasaas Yahan Pesh kiye Hain Saahil Bhai.. Aapke Lafzon Ne to Waqai Udaas Kar diya.. Behad Khubsoorat aur Jazzbaaton se Saji Nazm hai aapki.. Lajawab Peshkash.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2010, 08:45:41 AM »
bahut khoob saahil ji. bahut achhi peshkash likhi hai,
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
kameeney
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2010, 04:59:03 PM »
AUR KUCH NA SAMJHE TO KAH DENA SAAHIL THA......WAAH WAAH WAAH BAHUT KHOOB SAAHIL SAHAB Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2010, 08:10:29 PM »
Nice one Bhaijan!
Logged
Badal85
Guest
«Reply #10 on: May 04, 2010, 12:22:50 PM »
bahut khub sahil ji...

dil sey likhey yeh dard bhari dasttan bahut achi lagi...
padh te padh tey humin bhi apni dasttan yaad aayi...

 
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2010, 09:12:17 AM »
wah sahil .. kya kahene behad qoob ,, maza agaya dad qubool karen ..allah apko khush rake..


Qadeertoopchi
good one sahil sahab Applause Applause Applause
Qadeer bhai aur marhoom bhai aap dono ka bahut bahut shukriya kii aapne pasand kara yoon toh hum aapke saamne kucch bhi nahin phir bhi aapne taareef kii uska bahut bahut shukriya
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: May 06, 2010, 09:43:35 PM »
Bahut khoob Saahil Ji
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2010, 11:35:09 PM »
Good one !!!!!!!!!

Vry nyc !!!!!!
Wah wah Saahil ji,bahut dard bhari nazm pesh kiya aapne.bahut gaherayi aur khoobsurti se likha.excellent work.keep writting. Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause
neel dear air laila dear thanks a lot kii aaap dono ne pada aur pasand kiya
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: March 12, 2012, 10:12:19 AM »
Doston yeh poem main kaayi dinon se likhna chahta tha ,,,,jab kissii kii baaton ne mujhe rulaaya tha toh oos waqt yeh nazm ek kehkaha ban k dil main gungunaya tha,,,,wahi aap sabke saath share kar raha hoon


berang si zindgi ho gayi uske jaane k baad
sochta hoon kabhi woh lamha mohabbat ka kidhar gaya

jise dekh kar savera karti thi meri aankhen
woh tabassum sa chehra kyun itna badal gaya

aaj sab rishte naaton ko toda maine , aur jaane laga
toh mere dost ne poochha ki kya kahoon jab koi poochhe tu kidhar gaya

maine kaha kii keh dena main ab tanhaayi main zinda hoon
mere hisse kii mehfil ka daur dhal gaya

mein ek tooti kalam se nikla hua alfaaz tha
jo ashar bante bante bigad gaya

aur kuch na samjhe toh keh dena main "SAAHIL"tha
jo samandaro se ladte ladte ek din mar gaya

aur jab uske khare aansu oon seepiyon se behne lage
toh poochhna oosse kyun mujhe yaad kar k woh bikhar gaya

main toh tanha tha ek ummra bhar uske saath kii khatir
unke intzaar main "SAAHIL" oosi dar pe Gujar gaya

..............Saahil ek din mar gaya


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:18:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer