ek ghazal likhne ki koshish mein.........

by ranjana on July 18, 2006, 02:07:31 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3650 times)
ranjana
Guest
ek ghazal likhne ki koshish mein jo lafaz hamse likha gaya
woh unka hi naam thaa jo baar baar likha gaya

maangate rahe mere sukhe lab unse ek panaha pyaar ki
woh saaya sa ban ke hamaare pass se gujar gaya

hamne chaha ki aaj chupke se chum le hum chaand ki palko ko
per subeh hote hi woh mera khawab tute aaiene sa tut gaya

ruke they hum unki aankho ke samander  mein dubane ke liye
woh ek laher si ban ke mere pass se bas gujar gaya

na jaane kitne zakham khaaye hamne unki mohabbat mein
har baar woh naye zakham de kar aur dard de ke chala gaya

apni haato ki lakreero mein hamne na paaya thaa naam unka
unko paane ke liye mera vajood apni taqdeer tak se lad gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 18, 2006, 02:18:04 PM »
good one Ranju
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: July 18, 2006, 02:34:47 PM »
nice ranju.....

bahut accha likha hai.......

naam tera lele kar mai har khawab apna todta gaya
teri har aarzuu pe mai apna khawab todta gaya.......
tut gaya mera har khawab bas tujhko pana baaki raha
haqkikat ki dharti pe jab aaya to wo khawab bhi tut gaya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 18, 2006, 05:39:01 PM »
shukriya pooja and vikas .....bahut khoob likha aapne vikas ji....

ek raha per chalate chalte yun  rukna na thaa sanam
manzil ko hum payenge kaise jab saath nahi mile kadam
bhatak jaata hai musafir bhi kabhi kabhi rasta sehra mein
lekin tum de do apna haath mujhe ek pal ke liye bhi kahi
toh kaise na veraano ko paar kar sakenge sanam hum
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: July 18, 2006, 06:16:25 PM »
Wah kya baat hai Ranju and Vikas bhai.....

Quote
ek ghazal likhne ki koshish mein jo lafaz hamse likha gaya
woh unka hi naam thaa jo baar baar likha gaya

maangate rahe mere sukhe lab unse ek panaha pyaar ki
woh saaya sa ban ke hamaare pass se gujar gaya

hamne chaha ki aaj chupke se chum le hum chaand ki palko ko
per subeh hote hi woh mera khawab tute aaiene sa tut gaya

ruke they hum unki aankho ke samander mein dubane ke liye
woh ek laher si ban ke mere pass se bas gujar gaya

na jaane kitne zakham khaaye hamne unki mohabbat mein
har baar woh naye zakham de kar aur dard de ke chala gaya

apni haato ki lakreero mein hamne na paaya thaa naam unka
unko paane ke liye mera vajood apni taqdeer tak se lad gaya


Ek Ghazal likhne ki koshish me.....
Woh apna Dard-O-Gum saja baithe hai.....

Poochte hai humse ki kya galti thi hamari......
Khud hee dekho Mehfil me sirr jhuka baithe hai.....

Mahobbat toh ek Junoon hai......
Isme Samander Dariya nahi dekhe jaate......

Karte hai Pyar kuch Veer Yodha......
Aur bas wahi sab haasil hai kar paate......

Karo Iraade kuch buland apne.......
Ki Sanam ab WaQt aa chala hai.....

Dil ne aaj jo dekha tumko.......
Laga ki Khuda ka Shabd Banzar dharti par utra hai......!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: July 18, 2006, 06:39:07 PM »
bahut khoob gaurav...aacha likha hai....

aaj ki shaam kuch ajeeb si gujarti lagati hai
aankho mein ashqe nahi haato mein jaam nahi

bikhara hua sa vajood hai mera
aur labo per ruki payaas ka koi naam nahi

behta hai ab bhi meri saanso mein ishq tera
mere bikhare se lamahato ko  kyu tera koi peghaam nahi

kyu is qader dur kar diya aapen hamko khud se
ki mere tute hue dil ke taaro per ab koi nagmaat nahi

kya ho paayegi ab unse baat koi hamaari
jab aapas mein koi dua salam bhi nahi

ho gaye hain woh is qader ajnabi hamse
ki ab unki nigaah mein hamare liye koi khawab bhi nahi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 18, 2006, 06:47:37 PM »
Wah kya baat hai Ranju

Aaj Dil me mere ek Dard toh ek Khushi hai.....
Veeran hai Zazbaat toh Zindagi mujhse hee roosi hai.....

Kar Kalam Izhaar Sanam se......
Kyunki Shayahein aaj meri Pheeki hai......

Na likh payega ab aur yeh Dil kore Kaagaz.....
Kyunki Dil ki Rawaangi aaj Shayad hamesha ke liye ruki hai.....!!!!!!!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #7 on: July 18, 2006, 07:00:43 PM »
bahut khoob likha hai ranju and gaurav ,keep it up

Dosti chiz nahi hoti  jataane ki
hame aadat nahi kisi ko bhulane ki
ham isi liye bahut kam milte hai aap se
kyunki kuchh rishto ko nazar lag jaati hai jamaane ki
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 18, 2006, 07:13:24 PM »
dard ke kisse bhalla kabhi yun bhi sunaaye jaate hain
gum jab apne de jaaye toh dil ke dard  aur badh  jaate hain

kiye they waade unhone zindagi bhar saath nibhaane ke
per achanak kis raah per yeh hamko chhor jaate hain

kaise likhe apne afsaano ko hum apne geeto mein
yeh afsaane toh aaho se ashqo se sunaaye jaate hain

kya kahe ab unka hai kya kasoor in baato mein
jab woh milte hain toh bas nazare jhukaaye chale jaate hain

kabhi jo mile woh ham unse puchenge ki
kya pyaar ke vaade aise bhi nibhaaye jaate hain Huh?
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 18, 2006, 07:14:58 PM »
Quote from: "manu1979"
bahut khoob likha hai ranju and gaurav ,keep it up

Dosti chiz nahi hoti  jataane ki
hame aadat nahi kisi ko bhulane ki
ham isi liye bahut kam milte hai aap se
kyunki kuchh rishto ko nazar lag jaati hai jamaane ki



shukriya manu ......bahut khoob likha aapne...
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2006, 07:23:51 PM »
Quote from: "ranjana"
ek ghazal likhne ki koshish mein jo lafaz hamse likha gaya
woh unka hi naam thaa jo baar baar likha gaya

maangate rahe mere sukhe lab unse ek panaha pyaar ki
woh saaya sa ban ke hamaare pass se gujar gaya

hamne chaha ki aaj chupke se chum le hum chaand ki palko ko
per subeh hote hi woh mera khawab tute aaiene sa tut gaya

ruke they hum unki aankho ke samander  mein dubane ke liye
woh ek laher si ban ke mere pass se bas gujar gaya

na jaane kitne zakham khaaye hamne unki mohabbat mein
har baar woh naye zakham de kar aur dard de ke chala gaya

apni haato ki lakreero mein hamne na paaya thaa naam unka
unko paane ke liye mera vajood apni taqdeer tak se lad gaya

wonderful! :D
Teri gazal ki kosis ne hamme bhi kuch sikha gaya
Jab dil tut tii hai tab in haaton se kuch khud hi likha gaya
Hamme to harf ki bhi pehchan nahii thi
Jab mar padi jindagii ki to padna khud ba khud aa gaya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: July 18, 2006, 07:52:27 PM »
shukriya shahid ....bahut khoob ...

meri geet mere dard ki kahaani hain
yeh woh zakham hai jo kisi ki nishaani hain
chalka lete hain hum inko apni jubaan per kagaz mein
yeh toh mere behte ashqo ki rawaani hain!!!!!!!!!!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #12 on: July 18, 2006, 08:08:38 PM »


aur kitnay zakhm khaengay ham
tu khush hay bass isi khushi main marr jaengay ham

teri dunya tujhe mubarak ho janaa
ye na kehna kay tujhe yaadaaengay ham

gae dinoo ki yadein bhula daina tum bhi
jo ho saka to tum ko bhool jaengay ham

ab iske siwa koi chaara bhi nahi hay
kia karen dil ko kaise samjhaengay ham

apnay in aansowo ki qasam hay manu
ab na kisi say wafa kar paengay ham
 
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: July 19, 2006, 03:34:31 AM »
Quote from: "manu1979"


aur kitnay zakhm khaengay ham
tu khush hay bass isi khushi main marr jaengay ham

teri dunya tujhe mubarak ho janaa
ye na kehna kay tujhe yaadaaengay ham

gae dinoo ki yadein bhula daina tum bhi
jo ho saka to tum ko bhool jaengay ham

ab iske siwa koi chaara bhi nahi hay
kia karen dil ko kaise samjhaengay ham

apnay in aansowo ki qasam hay manu
ab na kisi say wafa kar paengay ham
 


bahut khoob manu ..........behad khubsurat likha hai ...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2006, 03:47:00 AM »
kaash ki tum jaan paate ki..........
 itna pyaar de ke todna kya hota hai

raat khamosh si nikal jaati hai bina kuch shabad kahe
aur ek sanaata sa meri zindagi mein pasar jaata  hai

chand ki kirne bhi chhip jaati hai murjha ke
koi hawa ka jhonka bhi mujhe akasar udas sa kar jaata hai

kyu koi todta hai dil kisi ka is tarah apni baato se
jab usko is tarah sabkuch thoker maar ke jaana hota hai

ek baar apni sakun ki neend se uth kar tum bhi dekhate
ki kisi ko virah ka yeh taap kaise jala ke bejaan sa kar jaata hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:21:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer