Mere Pyaare dostoN:
Namaskaar aur Aadaab!
yeh ehsaas maine bahot pehle liKhe the.. ik roz maiN Discovery chanel par wild life ke Ooper aa rahaa progg. deKh rahaa thaa .. maine uss meiN deKhaa kii aik hiran ka bachchhaa ess duniya meiN janam letaa hai.. wo bachchaa bahot hi pyaara thaa. ..yahaaN sab kuch uske liye nayaa thaa .. wo ess duniyaa ko samajHne kii kosiSh kar rahaa thaa.. par wo ess duniyaa ko poori taraH samjHe ussey pehle hi wo aik Sher kaa Shikaar ho jaataa hai.. maiN deKh rahaa thaa uss maasoom sey hiran ke bachche kii maaN kii wo laachaar aaNKheN aur uss meiN Chhupe huye uss dard ko..Shaayad yahi ziNdagee hai.. maut jaane kab ziNdagee ke darwaaze par dastak de jaaYeN.. mujhe nahiiN pataa maine ess kosiSh ke saath kitanaa iNsaaf kiyaa hai.. bas dil sey jo lafz nikle the wo aap sab ke saath aaj baaNT rahaa huuN.. aap sab kii raa'ye aur sujHaav kaa iNtezaar raheNgaa..!
************************************
मैं हुँ एक हिरन का बच्चा
और यह मेरी कहानी है
एक पल में मिले ज़िन्दगी
तो दूजे में मौत भी आनी है
ज़मीं पर मेरा, वोह पेहला क़दम
फिर दौड्ते हुए वो माँ के पास जाना
लड़खड़ाते क़दम को आगे बढ़ा के
जा के माँ के आँचल में मेरा छीप जाना
हरी हरी घास और वह हरी पत्तियाँ
नयी उमंगे जगाएँ उड़ती हुई तितलियाँ
हर और देखूँ मैं ईस अजनबी दुनिया को
अपनी सी लगे मेरी माँ की प्यारी सी अखियाँ
खेलूँ, कुदु, दौडू, भागू
हर पल मैं अपनी माँ को सताउ
फिर यहाँ वहाँ भाग दौड के
जा के अपनी माँ के पास बैठ जाउ
ईस ख़ुशी भरे लम्हों में
एक दिन गम का माहॉल छा गया
जब शेर मुझे उसके मुह मे लेके
अपना शिकार बना कर चला गया
भागने की कोशिश की थी बहोत
पर मैं शेर के पंजे से बच ना सका
ज़िन्दगी के उस आख़िरी पल में
अपनी माँ को भी मैं देख ना सका
कुछ पल के लिये ही सही मुझे
ईस अजनबी दुनिया ने अपना बनाया था
मेहसुस कर रहा था माँ की रोती हुई उन आँखो को
जब शेर ने मुझे अपना निवाला बनाया था
मैं हुँ एक हिरन का बच्चा
बस यह मेरी कहानी है
बस यह मेरी कहानी है. .......!
************************************
maiN huuN aik hiran kaa bachchaa
aur yeH merii kahaani hai
aik pal meiN mile ziNdagee
to duje meiN maut bhi aani hai
zameeN par mera woH pehalaa kadam
fir dauDte huye wo maaN ke paas jaanaa
laD.Kadaate kadam ko aage baDhaake
jaa ke maaN ke aaNchal meiN meraa Chhiip jaana
hari hari GhaaNs aur woh hari pattiYaaN
naYii umaNge jagaaYeN uDtii hu'ii titliYaaN
har aor deKhuN maiN ess ajnabee duniyaa ko
apni sii lage meri maaN ki pyaari si aKhiYaaN
KheluN, kuduuN. dauDu , bhaaguN
har pal maiN apni maaN ko sataauN
fir yahaaN wahaaN bhaag dauD ke
jaa ke apni maaN ke paas baiTh jaau
ess KhuShi bhare laMhoN meiN
ek din Gham ka maahol chhaa gaYaa
jab Sher mujHe uss ke muh meiN leke
apnaa Shikaar banaa kar chalaa gaYaa
bhaagane kii kosiSh kii thi bahot
par maiN Sher ke paNje sey bach naa sakaa
ziNdagee ke uss aaKhiri pal meiN
apani maaN ko bhee maiN deKh naa sakaa
kuchh pal ke liye hi sahi mujHe
ees ajnabee duniyaa ne apnaa banaaYa thaa
meHsoos kar rahaa tha maaN ki rotii huii uN aaNkhoN ko
jab Sher ne mujHe apnaa nivaalaa banaayaa thaa
maiN huuN aik hiran kaa bachchaa
aur yeH merii kahaani hai
bas yeH merii kahaani hai....!