Ek Kahaani Dard Ki Au Sahi,.

by Jaanasheen on February 13, 2008, 08:44:58 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1928 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Hum Ko Kiske Gham Ne Maara Ye Kahaani Aur Sahi,.
Kisne Torda Dil Hamaara Ye Kahaani Aur Sahi,.

Dil Ke Lootne Ka Sabab Na Poocho Sab Ke Saamne,
Naam Aaayega Tumhaara Ye Kahaani Aur Sahi,.

Nafraton Ke Teer Khaakar Doston Ke Sheher Mein,
Humne Kisko Pukaara Ye Kahaani Aur Sahi,.

Kya Bataayein Pyaar Ki Baazi Wafaa Ki Raah Mein,.
Kaun Jeeta Kaun Haara Ye Kahaani Aur Sahi,.

___________________________________-Masroor Anwar-
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Dard Ki Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Dard Bhari Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard hi sahi by liyakat in Shayri-E-Dard
Phir Dard Ki Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2008, 09:33:26 AM »
Nice Sharing Azeem...

Lekin, Kuch gadbad hai shayad...  Huh?

It goes like :

Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya,
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya,
Is ka rona nahin kyon tumne kiya dil barbaad,
Is ka gham hai ki bahut dair mein barbaad kiya!!!"


Humko kiske gham ne maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisne toda dil hamara, yeh kahaani phir sahi!!

Dil ke lutne ka sabab poocho na sabke saamne,
Naam aayega tumhara, yeh kahaani phir sahi!!

Nafraton ke teer kha kar doston ke shehar mein,
Humne kis kis ko pukara, yeh kahaani phir sahi!!

Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki raah mein,
Kaun jeeta kaun haara, yeh kahaani phir sahi!!

Humko kiske gham nay maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisne toda dil hamara, yeh kahaani phir sahi!!!

(Ofcourse, Not Mine)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 13, 2008, 10:36:02 AM »
Shukriya,.
Waise Mere Book Main Jaise Tha Maine Wohi Post Kiya,.
Shayad ye Bhi Is Kalaam Ki Line Ho,.

Thank U,
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: February 13, 2008, 10:39:24 AM »
Actually I just wanted to say... ki "AUR SAHI" ki jagah "PHIR SAHI" tha shayad.... I listened this gazal in Gulam Ali's voice... may be.. I am not right Huh?

Hope you didn't mind???
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 13, 2008, 11:03:32 AM »
Mind To Nahi Kiya Humne,.
Waise Likhne Ka Andaaz Aur Hota Hai,.
Gaane Ka Andaaz Aur,.
Kyunki Gaane Ke Liye Words Ka Expression Dekhaa Jaata Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 13, 2008, 11:07:12 AM »
tere baare mein jab sochaa nahi tha
main tanhaa tha magar itnaa nahi tha

teri tasvir se kartaa tha baatein
mere kamare mein aaiinaa nahi tha

samandar ne mujhe pyaasaa hi rakhaa
main jab sehraa mein tha pyasaa nahi tha

manaane-ruuthne ke khel mein ham
bichhard jaayenge ye sochaa nahi tha

sunaa hai band kar li us ne aankhein
kai raaton se vo soyaa nahi tha

________________________-Meraj Faizabadi-

Logged
zakhmola
Guest
«Reply #6 on: February 13, 2008, 11:42:02 AM »

iss Dard ko Dard sey mil jaane do
marijey ishq ko ishq ki dava paaney do
fasanAe Ishq hum yunhi kab tak sunte rahengey auron ke
iss baar unki Chah mein humko he khabar ho jaaney do

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 20, 2008, 08:06:50 AM »
Nice One Zakhmola,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 20, 2008, 08:10:55 AM »
chaand tanhaa hai aasmaan tanhaa
dil milaa hai kahaan kahaan tanhaa

bujh gai aas choop gayaa taaraa
thar_tharaataa rahaa dhuaan tanhaa

zindagi kya isi ko kehate hain
jism tanhaa hai aur jaan tanhaa

ham_safar ko_i gar mile bhi kahin
dono chalte rahe tanhaa tanhaa

jalti bujhtii si raushnii ke pare
simtaa simtaa sa ek makaan tanhaa

raah dekhaa karegaa sadiyon tak
chhord jaayenge ye jahaan tanhaa

________________________-meena kumari-
Logged
captainyr
Guest
«Reply #9 on: February 21, 2008, 05:30:38 AM »
Fantastic
Regards
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: February 21, 2008, 09:38:30 AM »
Very Nice sharing Azeem... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 22, 2008, 01:08:00 PM »
Shukriya Shikha Sis,.
And Captain Ji,. Roll Eyes
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 22, 2008, 01:08:55 PM »
Tu Hai Agar Mujhse Khafa Khud Se Khafa Hoon Main Bhi,.
Mujhko Pehchaan Ki Teri Hi Adaa Hoon Main Bhi,.

Ek Tujhse Hi Nahi Fasl-e-Tamanna Shadaab,.
Wahi Mausam Hoon Wahi Aaab-o-Hawaa Hoon Main Bhi,.

Sabt Hoon Dast-e-Khamoshi Pe Heena Ki Surat,
Naashunidaa Hi Sahi Tera Kahaa Hoon Main Bhi,.

Chaand Bankar Tere Aangan mein Utar Hi Jaaoon,.
Raat ke Pichle Pahar Maandi Duaa Hoon Main Bhi,.

Yun Na Murjhaa Ki Mujhe Khud Pe Bharosa Na Rahe,.
Pichle Mausam Mein Tere Saath Khilaa Hoon Main Bhi,.

Jaane Kis Raah Chaloon Kaun Se Rukh Murd Jaaoon,.
Mujhse Mat Mil Ki Zamaane Ki Havaa Hoon Main Bhi,.

__________________________________-Mazhar Imran,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 25, 2008, 10:53:09 PM »
Nice sharing Lil bro... pata nahi yah post miss kaise ho gai sad5

Shikha ne bilkul sahi Gazal likhi hai.. one of my Fav. gazal Usual Smile

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 27, 2008, 11:44:58 AM »
Shukriya Didi,.
waise Meri Kitaab Me yahi tha,.
'Sorry Agar Wordings Galat hain To,.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:43:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer