Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 21, 2009, 02:27:49 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7759 times)
sajid_ghayel
Guest
Mafi chahta hu ek lambi kahani aap sabki nazar kar raha hu. Waise to main kabhi itna lamba likhta nahi par yeh yeh kalam us waqt likha tha maine jab dard se naya naya aamna samna hua tha. Bohat saal beet gaye us baat ko par yeh kahani aaj bhi muje bohat aziz hain, agar aap sabko pasand aa jaye aur aapki aakhe bheeg jaye to main samjhuga meri mehnat kamyaab hui.....


Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha
Woh bikhri zulfe woh maila kuchla libas woh dhaka chehra dekh kar
Dil mera tadap jata tha
Na jane q uski aawaz me ek dard tha ek apnapan tha
Poochne par bhi dil ka haal na batata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha ......



Paraiee ho chuki thi main ek dard sa seene me tha
Mehboob ke bina nahi koi maza ab jeene me tha
Poocha jo us fakir se kya karu bataiye
Q main use bhoolti nahi muje is gunaah se bachaiye
Dekha jo meri taraf uski aakho me aasoo aa gaye
Shayed meri tarah usko bhi mehboob ka gam satata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha.....



Ek roz mere ghar yeh paigaam aaya tha
Logho ne mujhko mere mehboob ke janaze me bulaya tha
Yeh aarzoo thi uski main maujood rahu waha par
Kehne walo ne kaha mera naam tha aakhri waqt bhi uske labo par
Kis muh se main uska aakhri deedar karugi
Woh jee raha hain yeh soch kar main khush thi
Ab kis dilase par main zinda rahugi
Har chehre pe udasi har aakh me aasoo ka samandar tha
Yeh aalam mere liye mano Qayamat ka manzar tha
Har shaks waha khamosh tha koi kuch na batata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha.....



Uski behno ne mujhe dekhkar, rote hue kaha
Aapa thodi der bhetiye Bhai hain naha raha
Unki batein sunkar mano main cheekhne lagi
Diya khuda ka wasta aur poocha yeh kaise hua kuch to bataogi
Kehne lagi behan, Aapa kuch na poochiye humse
Phirte the deewana waar na jane kin kin galiyon me
Pooch lo is bagh se, dhoondha tha aapko na jane kin kin kaliyo me
Kabhi pagal to kabhi majnu yeh zamana unhe bulata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha......



Jab ho chuka gusl aakhri deedar ke liye unhe laya gaya
Farsh ki chataiee pe jis dam unhe litaya gaya
Ma ne kaha beshak mere bachche ko le jaiye
Par ek baar mere lal ka chehra dikhaiye
Bade armaan the main isko apne hatho se sajaoogi
Mere chand ke liye chand si dulhan laoogi
Mere lal tujhse mera aagan jagmata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha......



Jab kafan ko uske chehre rukhsaar se hatane lage sabhi
Yeh armaan mere dil me bhi tha dekhu bas ek baar woh masoom jabi
Jab hat chuka kafan aur unka deedar ho gaya
Yeh kya khata maine ki yah kya mujse aaj parvar_digaar ho gaya
Gam ki chader odhe tum mere ghar aate the main jan na saki
Aye SAJID woh fakir tum hi the main pehchaan na saki
Q kiya tumne aisa khud ko dete rahe saza
Ek baar to pukara hota, main to tumhari thi sada
Aaj meri samajh me aaya, q tumhari aakho me aasoo chalak aata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha......



Jab ho chuki vidaiee aur meri duniya loot gayee
Jo aas dil me thi woh aas bhi toot gayee
Rukhsati ke liye uthi aur kiya behno ko salam
Ek behan ne rote hue kaha, aapa yeh aakhri khat hain bhai ka aapke naam
Khat me likha tha usne ke tum muje ab jaan jaogi
Mere chehre ko dekhkar woh fakir main hi tha yeh pehchaan jaogi
Na jane kitne dino tak main tumhe dhoondta raha
Aaya taras khuda ko tumhara ghar mila
Khush tha main apni zindagi se nahi tha ab koi gila
Woh na mile gam nahi deedar-e-yaar to mila



Par ek roz mujhpe jo beeti nahi sun payega jaha
Tumne meri yado ko mujhse kaha gunaah
Mujhko bhoolne ke liye tumne mangi meri madad, Ya khuda main apne dil ko kaise sambhalta
Koi khwaish na ab tak tumhari tali thi yeh baat kaise taalta
Isiliye aaj main tumhari khwaish poori kar raha hu
Duniya murdo ko bhool jati hain yeh sochkar main bhi mar raha hu
Par ho sake to tum meri yeh aarzoo poori karna
Jab kabhi bhoole se yaad aa jaoo to un yado ko gunaah na samajhna


Us din se har raat jab maine aasman me dekha
Woh banke taara jagh_magata tha

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha...........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
juhilovely
Guest
«Reply #1 on: March 21, 2009, 02:37:08 PM »
bahut dard h isme.....this is just awesome...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: March 21, 2009, 02:38:25 PM »
Wah GHAYEL, aap ney toh sach meh ghayel kar dia hai apni iss pyari ki kavita par .... bahut pyar sey sey aur bahut dard sey likha hua hai ... jaisey padtey padtey sara manjar aakhoh key saamney nazar aa raha tha ki kya gujar rahi hai ....


koi aur shabad nahi hai mere paas ki aap koh kuch kahu, par bahut dil koh chu gayi aap ki yeh poem


jasbir singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 21, 2009, 05:24:27 PM »
Great Job, Sajid Bhai,.Subhan Allah, Sajid Bhai, Ye Shayaari Ne Aapki, Mujhe Bohat Bohat Ghayal Kar Diya,.

This Is One Of Ur Greatest Work I Have Read So Far,. Kamaal ka Likha Hai bhai,. Allah Tumhe KHush Rakhe,.

Great Job,.
Mera Salaam Kabool Karein,.

Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: March 21, 2009, 05:30:50 PM »
Bahut Khoob ... Kayi jagah mein aankhein nam huyi.
Bahut accha dard ko bayan kiya hai aapne. Daad hazir hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 21, 2009, 06:56:26 PM »
Bahut Bahut Khoob...Jahan Par Jazbaat Itne Khoobsurat ho Waha Par Koi Poetry Lambi Hai Yaa Nahi,Koi Nahi sochega..Sajid bhai ,aapne yakeenan Bahut Khoobsurti se aur dil ko chune wali baatein kahi hai..bahut ache.. Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: March 21, 2009, 09:13:57 PM »
akhir ke rula diya ye sach likh kar.bahoot dukh hua ye shayari padh kar
sajid,very sad n i believe its true.ye kahani nahi hai mujhe toh lagta ye ek sachai hai.
madhuwesh.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: March 21, 2009, 09:47:17 PM »
Bahut Khoob Ghayel Ji
Wah! mere dost ghayel kar diya aap ne hume
Ab to sabd nahi milta aap ki kalaam ki tarif mein
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: March 23, 2009, 07:33:26 AM »
bahut dard h isme.....this is just awesome...

Bohat bohat Shukriyaa Juhi jo tumne mere kalam ko waqt diya..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: March 23, 2009, 08:04:58 AM »
Wah Bahoot hi Umda likha hai Sajid Ji.. Main tho imagine karne lagi thi sara vaakya. Really Hats of to u!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: March 23, 2009, 08:12:46 AM »
Wah GHAYEL, aap ney toh sach meh ghayel kar dia hai apni iss pyari ki kavita par .... bahut pyar sey sey aur bahut dard sey likha hua hai ... jaisey padtey padtey sara manjar aakhoh key saamney nazar aa raha tha ki kya gujar rahi hai ....

koi aur shabad nahi hai mere paas ki aap koh kuch kahu, par bahut dil koh chu gayi aap ki yeh poem

jasbir singh

Oye yaara yeh to tera pyaar hain jo itni tareefe karta hain warna Ghayel is kabil kaha.....Bohat shukriyaa dost
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: March 23, 2009, 08:13:07 AM »
wah yaar sajid majaa aa gaya kasam se............itane kareene se sajaye hain saare alfaaz aur ek ke baad ek saari ghatna....har line ke baad dusari line padhne ki tamnanna aur badh jaati hai...........bahoot khoobsurati se tumne is lambi kahani ke asali jajbaat ko bhi kayam rakha..aur padhne wale ko poori tarah bandh-kar rakhne me bhi bakhoobi kamyaab rahe.....
daad kabool karen huzur Applause Applause Applause Applause
Logged
salma786
Guest
«Reply #12 on: March 23, 2009, 08:19:36 AM »
Great work sajid ji!
Its truly amazing... m happy that m a part of YO Thumbs UP
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: March 23, 2009, 08:25:54 AM »
Great Job, Sajid Bhai,.Subhan Allah, Sajid Bhai, Ye Shayaari Ne Aapki, Mujhe Bohat Bohat Ghayal Kar Diya,.

This Is One Of Ur Greatest Work I Have Read So Far,. Kamaal ka Likha Hai bhai,. Allah Tumhe KHush Rakhe,.

Great Job,.
Mera Salaam Kabool Karein,.



Yaar kitni baar keh chuka hu ke jab chota bhai itna Khoobsurat likhta hain to Bade bhai ko thoda bohat achccha likhna hi padta hain. All credit to you Chote for making me a better Poet...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: March 23, 2009, 11:48:19 AM »
Bahut Khoob ... Kayi jagah mein aankhein nam huyi.
Bahut accha dard ko bayan kiya hai aapne. Daad hazir hai

Thank You Roja.....tumne waqt diya uske liya shukriyaaaaaaaaaa........
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:34:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer