Ek Khalish Si Dil Mai Hoti Rahi Hai

by manu1979 on May 11, 2006, 05:18:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1813 times)
manu1979
Guest
hi friends today tried to write something,hopes u like d same

Zindgi jab kabhi meri roti rahi hai
Ek khalish si is dil mai hoti rahi hai

Tere baare mai socha jab kabhi,
Aankho mai nami hoti rahi hai

Jab tanhaayiyo ka daura kiya hamne
Mehsus teri kami hoti rahi hai

Tujhse juda kuchh nahi mere paas
Parchhaiyo bhi ajnabee hoti rahi hai

Hasadkhor hai fitrat-e-insaan yaha
Saanse bhi aadmi si hoti rahi hai

Hamne barsaaye aasmaan aankho se,
Registaan si dil ki zami hoti rahi hai.

----------- MANU------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khalish ! by Barzakh in Ghazals
Khalish-e-may baarhaa yaad aatee rahee! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye
{Khalish Seene Ki...} by angel4u in Share: Poetry of Pain
Bas ik khalish si h by yasmeen khan in Shairi - E - Zindagi
KHALISH SI IK KYUN HOTI HAI .....................PWFS by pankajwfs in Shayri-E-Dard
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2006, 05:45:05 PM »
wonderful  Manu..............   bahot  khoob......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2006, 05:51:46 PM »
wah kaya baat hai Mannu, bahoot khoob!!!

Tadpati nadi ko kahin chain na ayya
Patharo se ghir ghir kar uchalati rahi hai

Yaandon se na picha chutta kabhi
Zindai pal pal sisakti rahi hai

Kabhi vishwaas kabhi avishwaas
Dono paldo per kismat attkati rahi hai

Zindagi ko jitna bhi sambhalana chaha
Hatho se utani hi fisalti rahi hai

Mujse juda,
tu bhi,
 khush na rah paya hoga kabhi
Yahi baat dil mai tadpati rahi hai
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2006, 05:53:48 PM »
very nice manu,

my brother's name is manu... anyways...

keep writing!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2006, 06:26:56 PM »
Gr8 Work Manu and Pooja ji.......

Halka halka mere Dil me uthh raha Tufaan hai.....
Bas ab toh tere harr Gum ko peene ka Armaan hai.....

Tadapna tum kya jaano mahobbat ke Gum mein.....
Dekh nazre utha ke Dard se bhara aaj mera Asmaan hai.........!!!!!!!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #5 on: May 11, 2006, 07:24:25 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wonderful  Manu..............   bahot  khoob......



hi waahid ji aap ka bahut bahut shukriya aisa hi hosla dete rahna mere dost,aur apna khayal rakhna.
regards
manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #6 on: May 11, 2006, 07:36:57 PM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai Mannu, bahoot khoob!!!

Tadpati nadi ko kahin chain na ayya
Patharo se ghir ghir kar uchalati rahi hai

Yaandon se na picha chutta kabhi
Zindai pal pal sisakti rahi hai

Kabhi vishwaas kabhi avishwaas
Dono paldo per kismat attkati rahi hai

Zindagi ko jitna bhi sambhalana chaha
Hatho se utani hi fisalti rahi hai

Mujse juda, tu bhi,khush na rah paya hoga
kabhi Yahi baat dil mai tadpati rahi hai



bahut khobb likha hai pooja ji hosla dene ke kiye,meri post par aane ke liye,use padhne ke liye,apna kimti vaqt dene ke liye aur pasand karne ke liye aap ka tahe dil se shukragujar hu,ummid hai aap aise hi hosla detye rahegi

regards
manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #7 on: May 12, 2006, 04:57:50 AM »
somdev ji aap ka bahu bahu t shukriya meri ghazal ko padhne ke liye pasand karne ke liye mujhe jaan kar khushi hui ke aaap ka bhai ka naam manu hai,ab mujhe yakin hai ke aap aise hi apne is bhai ka bhi hosla badhaate rahenge,aur mahfil mai aate rahenge

regards
take care
manu
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: May 12, 2006, 05:12:54 AM »
Tere baare mai socha jab kabhi,
Aankho mai nami hoti rahi hai

Jab tanhaayiyo ka daura kiya hamne
Mehsus teri kami hoti rahi hai

bahut khub manu ..........great
Logged
manu1979
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2006, 06:42:49 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Gr8 Work Manu and Pooja ji.......

Halka halka mere Dil me uthh raha Tufaan hai.....
Bas ab toh tere harr Gum ko peene ka Armaan hai.....

Tadapna tum kya jaano mahobbat ke Gum mein.....
Dekh nazre utha ke Dard se bhara aaj mera Asmaan hai.........!!!!!!!



hi badnaam shayar ji bahut achha reply hai aap ka
ye mera jawwab hai

tufaano ke sath saath chalne ka ham hosala rakhte hai
Tere jazbo se uth kar chalne ka ham silsila rakhte hai

regards take care
manu
Logged
manu1979
Guest
«Reply #10 on: May 13, 2006, 06:50:50 PM »
Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai Mannu, bahoot khoob!!!

Tadpati nadi ko kahin chain na ayya
Patharo se ghir ghir kar uchalati rahi hai

Yaandon se na picha chutta kabhi
Zindai pal pal sisakti rahi hai

Kabhi vishwaas kabhi avishwaas
Dono paldo per kismat attkati rahi hai

Zindagi ko jitna bhi sambhalana chaha
Hatho se utani hi fisalti rahi hai

Mujse juda, tu bhi,khush na rah paya hoga kabhi
Yahi baat dil mai tadpati rahi hai



hai pooja ji bahut hi khub likha hai shayad ye mere aap ko reply hai

Meri ankho mai ek nadi thi bahti rahi
Raat raat bhar nigaah karvat badalati rahi

Dard ko mere na samaz paaya koi bhi
Ek khalish si aankho se tapakati rahi

Chup chaap nigaah meri ye kahti rahi
bejubaan sa koi dard jaise sahti rahi

Bujh jaayegi ek din tere nigaah ke samandar se
Aag barso ki dil mai jo dahakati rahi

regards
take care
manu
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: May 13, 2006, 06:52:37 PM »
Quote from: "manu1979"
Quote from: "badnaam_shayar"
Gr8 Work Manu and Pooja ji.......

Halka halka mere Dil me uthh raha Tufaan hai.....
Bas ab toh tere harr Gum ko peene ka Armaan hai.....

Tadapna tum kya jaano mahobbat ke Gum mein.....
Dekh nazre utha ke Dard se bhara aaj mera Asmaan hai.........!!!!!!!



hi badnaam shayar ji bahut achha reply hai aap ka
ye mera jawwab hai

tufaano ke sath saath chalne ka ham hosala rakhte hai
Tere jazbo se uth kar chalne ka ham silsila rakhte hai

regards take care
manu


Gud Job Manu......

Yeh Raahein nahi Asaan yeh jaan le tu.....
Dard me sanam ka le naam aur Jaam pee le tu....!!!!!!
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #12 on: May 25, 2006, 03:53:56 PM »
badnam shayar ji aap ko meri post par dekh kar tasaalii hui yunhi aate rahuyega huzur

ahsaas apnay honay ka kis pal huwa nahi
is ne kaha haawa'ooN pa jis pal likha nahi

hayrat ka aks ankh maiN thehra hai kis leay
bola ye assma'N jo ab taak gira nahi

bola wohi hooN maiN tu wohi hia jahaN wohi
maiN ne kaha visaal ka moasam raha nahi

poocha bata'oo rait pe likha hai kis leay
sehra maiN raaz-daar wo bola mila nahi

sahil pe ja k dair talak soochtey ho kia
aankhoN maiN doob janay ka manzar gay'a nahi

dewar jaa'N k girnay ka kia thaam gay'a hai shor
maiN ne kaha wo shor tu kam bhi huwa nahi

dekha tu aa'ya haath ko thama deeya gulaab
bola bata'oo khawab maiN hota hia kia nahiN

nainoo k deep kis leay roshan haiN haiN is qadar
maiN ne kaha k aaj mukhalif hawa nahiN

regards
 manu
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2006, 04:39:24 PM »
wah manu ji and BD aap tu..........
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #14 on: May 27, 2006, 03:16:01 PM »
hi kaayinaath ji kaise hai ap sab kheriyat hi hoga aap ne padha mujhe achha lga aap aise hi aate rahiyega


Raat Bhar chalta raha teri talaash mai,
Ret Pe nishaan ye bataate hai,

Teri justzoo hi thi in Nigaaho mai,
Paon ke chhale bhi ye jataate hai,

Har aahat pe tume dhundhta hu,
Hawaa k rukh bhi mud jaate hai,

Mere dil-e-betaab pe nazar daalo zara,
Ashq gaalo pe nishaan chhod jaate hai

Ek khaayi ho gayi hai gahri rishto ki,
Na jaane gir ke kitne sambhal paate hai

Kuchh arse se ham soye hi nahi,
Tere khwaab bhi dil dukhaate hai

Tujhse dil lagaaya to jaana,
Sapne palko tale bhi tut jaate hai,

Le kar le roshan kaaynaat apni,
Ghar jalaaya hai, dil jalaate hai

Gam pi liya teri bewafaayi ka,
Naam le k tera jakhm muskuraate hai.

Dil lagaana ab apni fitrat mai nayi,
Teri parchhayo se bhi muh chhupaate hai.


mai asha rakhunga ki aap bhi is mai aage kuchh likhe
rehards
take care
manu
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:04:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer