<>*Ek khamoshi chhaai hai*<>

by *KasaK*....Dil Ki on January 03, 2011, 12:15:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1913 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Ek khamoshi  chhaai hai*<>


Ghutan si ho rahi hai mere maasum dil me
Na jane ye kaisi ajeeb si bechini chhaii hai

Jazbaaton ki lehrein umad rahi hain dil me
Labon pe fir bhi ek khamoshi  si chhai hai

Khoi khoi hai meri har ek khilti hui subah
Meri raaton me bhi sannata aur tanhaai hai

Lakeerein kai khinchti hun main shabdon se
Lekin fir bhi shakal nahin koi ab tk ban paii hai

Ehsaas kehte hain bikher do mujhe kaagaz par
Lekin na jane kis baat ne kalam pe rok lagai hai

Tarannum me sajna chahte hain ye geet mere
Lekin ek bhi sur na meri ye shaam saja paai hai

Koi to nikalo mujhe iss gehri darawani khamoshi se
K ab to ruuh bhi meri cheekhne pe utar aai hai..!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Khamoshi~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
har khamoshi by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
~~~Khamoshi~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Khamoshi by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq
KHAMOSHI by ANKIT RAO in Shayeri for Dard -e- Bewafai
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: January 03, 2011, 12:31:15 PM »
wah kya baat hai Kasak ji.
ye ek rumaani ehsaas dila gaya jisme dard tanhai aur bahut saara pyar hai.
Behtareen peshkash.
***
sukriya
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: January 03, 2011, 01:26:37 PM »
<>*Ek khamoshi  chhaai hai*<>


Ghutan si ho rahi hai mere dil me
Na jane ye kaisi ajeeb si bechini chhaii hai

Jazbaaton ki lehrein umad rahi hain dil me
Labon pe fir bhi ek khamoshi  chhai hai

Khoi khoi hai meri har ek khilti subah
Meri raaton me bhi sannata aur tanhaai hai

Lakeerein kai khinchti hun main shabdon se
Lekin fir bhi shakal nahin koi ab tk ban paii hai

Ehsaas kehte hain bikher do mujhe kaagaz par
Lekin na jane kis baat ne kalam pe rok lagai hai

Tarannum me sajna chahte hain geet mere
Lekin ek bhi sur na ye shaam saja paai hai

Koi to nikalo mujhe iss gehri khamoshi se
K ab to ruuh bhi meri chikhne pe utar aai hai..!!!

Bahut khoob kasak ji..jane khuda ne kaisi reet banayi hai ki maine apko kabhi dekha nhi naaa hi zyada arse se janti hu per jo dard reh reh kar merre sine mei ubharta wahi mujhe apke lafzo mein dikhta hai bahut khoob kasak ji...merre kuch unsuljhe se ehsaso ko lafzo ki zuban dene k liye...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: January 03, 2011, 02:37:09 PM »
Mast poem Anu-di.... icon_king icon_queen Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Udaasi ki ye kaisi shaam aayee hai
Dil mai ek hoouk si uugg aayee hai

Naa mein soti hoon naa jaagti hoon
Ajeeb si badhoshi mai sulagti hoon

Jahaan mai sawaal kayi uljhe hain
Jinke uttar mujhe nahi sujhe hain

Sakhee teri Ghutan ko samajhti hoon
Tujh jaisi he bechain mein bhi hoon

Aa meri pyaari sakhee lagja gale se
Miljul kar baante hain ye tanhaayee

Aa Hum sajjate hain shabdoko kagaz par
Tarannum mai phir gaate hain geet wahi

Logged
nirala
Guest
«Reply #4 on: January 03, 2011, 05:33:13 PM »
""
hona tha jo wo ho gaya
   sathi ab na soch tu
kah kar mann ke bhed ko
   halka kar le bojh tu
  ye khamoshi tod de
  ye udaasi chhod de
""
bahut hi behtareen peshkas K Mam.
"
thanx
"
Logged
manjum
Guest
«Reply #5 on: January 04, 2011, 04:33:13 AM »
bahut khoobsurat...

dil ko gahre tak chhune wali baat..
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: January 04, 2011, 05:30:22 AM »
anamika ji......

its mindblowing ji......but itna dard ? ye samaj nahi aya.....kya hua.....sab thik to he na........apne jo likha he use agar feel kare to its very very painfill........hope everything will be ok........

once again congras for this poetry.....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: January 04, 2011, 08:43:10 AM »
Bahut Hi Mast Likha Hai Aapne Kasak Ji Applause Applause
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #8 on: January 04, 2011, 08:45:24 AM »
mast likha h di
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: January 04, 2011, 08:46:51 AM »
<>*Ek khamoshi  chhaai hai*<>


Ghutan si ho rahi hai mere maasum dil me
Na jane ye kaisi ajeeb si bechini chhaii hai

Jazbaaton ki lehrein umad rahi hain dil me
Labon pe fir bhi ek khamoshi  si chhai hai

Khoi khoi hai meri har ek khilti hui subah
Meri raaton me bhi sannata aur tanhaai hai

Lakeerein kai khinchti hun main shabdon se
Lekin fir bhi shakal nahin koi ab tk ban paii hai

Ehsaas kehte hain bikher do mujhe kaagaz par
Lekin na jane kis baat ne kalam pe rok lagai hai

Tarannum me sajna chahte hain ye geet mere
Lekin ek bhi sur na meri ye shaam saja paai hai

Koi to nikalo mujhe iss gehri darawani khamoshi se
K ab to ruuh bhi meri cheekhne pe utar aai hai..!!!

Bahut khoobsurat peshkash hai
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #10 on: January 05, 2011, 06:49:21 AM »
<>*Ek khamoshi  chhaai hai*<>


Ghutan si ho rahi hai mere maasum dil me
Na jane ye kaisi ajeeb si bechini chhaii hai

Jazbaaton ki lehrein umad rahi hain dil me
Labon pe fir bhi ek khamoshi  si chhai hai

Khoi khoi hai meri har ek khilti hui subah
Meri raaton me bhi sannata aur tanhaai hai

Lakeerein kai khinchti hun main shabdon se
Lekin fir bhi shakal nahin koi ab tk ban paii hai

Ehsaas kehte hain bikher do mujhe kaagaz par
Lekin na jane kis baat ne kalam pe rok lagai hai

Tarannum me sajna chahte hain ye geet mere
Lekin ek bhi sur na meri ye shaam saja paai hai

Koi to nikalo mujhe iss gehri darawani khamoshi se
K ab to ruuh bhi meri cheekhne pe utar aai hai..!!!

very nice anu ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:10:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer