Ek khayal .... ( Divya)

by deepika_divya on October 02, 2010, 05:05:07 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 5383 times)
deepika_divya
Guest
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai... ( aisa hi kuch khayal dil mein aaya... wahi pesh kar rahi hun... its not a shayari.. bas ak khayal hai...


jaane kyun aisa lagta hai...
Ki koi hai Dil ke itna kareeb hai
ki sapno ki udaan bhare
woh meri hasi khusi mea shamil hai
na jane kyun fir ruk jati hun
sochne lagti hun kya sach hai
aur kya jhoot hai fareb hai
fir kuch waqt ke liye hi sahi
Jubaan pe khamoshi
aur dhakano ko dilasa deti hum
ki nahi "Divya" bas aaj
yea raat ko dal jane de
Kal fir ak nai subah aayegi
Maate ki shikan ko ponch ke
Tere daman mein khushi
ka ak naya ashiyan sajayegi
par ab tho dar lagane laga hai
kyunki khusi do pal ki hai
aur gum ka koi hisaab nahi
par kabi kabi gum bhi
meeta sa lagta hai
de kar ankho mein nami
labo ko hasi de jata hai
ab sach mein bahoot
thak gai hun  main
Bahoot dino se soyi nahi
jante ho kyun?
Woh hai na
Mere sapno ka saudagar
Mera dil chura le gaya hai
Uski talaash mein hun
aur dar iss baat ka hai
Ki kahi woh yea na keh de
Ki mera dil uske pass nahi
Uski baaton ko taal nahi sakti
Isliye har kaha maan leti lun
Kya karun.. Bahoot Pyaar
Jo karti hun main usse..
Bahoot Pyaar.. Haan sach !!

~Divya ~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Best of Luck Divya...!!! by badnaam_shayar in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Welcome khayal by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
****Ek khayal to tha**** by jannatjahan in Shayri-E-Dard
Kuch Unkahe Khawaab .....( Divya) by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Watt laga de -- ( Rap Song By Divya) - Take it easy Boys... by deepika_divya in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 6 7 »
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: October 02, 2010, 05:29:39 PM »
Very Nice Poetry ... Divya Ji ! mujhe kavita ke ehsaas bahut khoob lage ... dil ko chhuute chale gaye ... Very Nice Creation .... dil se daad hazir hai ... aise hi likhti rahen aage bhi ... khush rahen ...  Applause  Applause  Applause

Duaaon ke saath .....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: October 02, 2010, 06:44:30 PM »
EK nayapan mager ek jani pehchani si soch mehsoos hui hai iss khayal main apke..bahaut bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek khayal meri orre se bhi:

Dard bahaut paya hai,
phir bhi mohobat kiye jaa rahe hai,
yeh kaisi zindagi hai kay jisse chaho,
woh pehle toh khoob sapne dikhata hai,
chand ban zindagi chamkata hai,
phir iss qadar moun morr leta hai,
kay zindagi kya, sapnon ko tak be-rang kar jata hai,
yeh kaisi zindagi hai yaaron..
Dil ne bhi irada kar liya agey barrne ka,
usse bhool kar kisi aur ko dhundne ka,
mager yeh tanha raastein uski yaad dilate hai,
kuch nagmein mujhe khoob rulate hai,
kabhi khushi kay toh kabhi ghum kay ashk chalkate hai,
tu hi haqeeqat khwab tu hi, kehti thi woh kabhi,
aj main gata hoon kay tujhe dil se tha chaha, tu hi toh na mil paya,
yeh kaisi zindagi hai,
kay hasne ka mann hota hai mager ankhein nam hoti hai,
aur duniya wale phas jate hai iss jhal main mere,
man bait'te hai kay khush hai 'Khamosh',
bada tanha tanha mehsoos karta hoon yaaron,
mager zindagi ko sahi raah par chalata hoon yaaron,
bas aise hi dil kholke sab likh jata hoon yaaron,
aur sochta rehta hoon,
yeh kaisi zindagi hai..?

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: October 02, 2010, 07:46:09 PM »
Nyc very nyc & rahim vry vll replied .......

bhut ache dono .......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 02, 2010, 10:32:46 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoobsurti se aapne apne dil ke haal ko bayaan kiya hai Sophi ji... bahut hi khoob... bahut hi umda likha hai aapne Divya ji.. aapke is khayaal pe mujhe bhi kuch khayaal sa aa gaya aur likhta gaya....



ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai
na to jeene deta hai
na hi marne deta hai
bas tanhaayi me aake tadpata hai

main bhi aksar khoya rehta hoon
aankhen khol ke soya rehta hoon
dard nahi hota hai fir bhi
jaise har pal roya rehta hoon

wo aansoo jo mere dil se behte hain
aksar mujhse yahi kehte hain
ki kyun khud ko tu jalata hai
par ye aansoo behte rehte hain

wo meri hoke bhi meri na ho saki
mujhse dur jaake bhi khush na reh saki
socha karti hai aaj bhi mere baare me
wo meri mohabbat ko bhula na saki

kyun aisa hota hai ki khushi do pal ki
aur dard zindagi bhar ke liye milte hain
kyun dil dard me dooba rehta hai aur
muskuraane k liye wajah nahi milte hain

aasaan hai kisi ko bhi chaah lena
par kyun kisi ko bhulaana mushkil hota hai
bas inhi khayaalon me mera dil khoya rehta hai
aur un yaadon me kho ke tanha akele rota hai.....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: October 03, 2010, 06:11:26 AM »
Very Nice Poetry ... Divya Ji ! mujhe kavita ke ehsaas bahut khoob lage ... dil ko chhuute chale gaye ... Very Nice Creation .... dil se daad hazir hai ... aise hi likhti rahen aage bhi ... khush rahen ...  Applause  Applause  Applause

Duaaon ke saath .....
Thank you so so so Much Naresh.. Aapne tho itni jyada tareef kar di.. ki main kya kahun.. Thank you again !!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: October 03, 2010, 06:54:36 AM »
EK nayapan mager ek jani pehchani si soch mehsoos hui hai iss khayal main apke..bahaut bahaut khoob..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek khayal meri orre se bhi:

Dard bahaut paya hai,
phir bhi mohobat kiye jaa rahe hai,
yeh kaisi zindagi hai kay jisse chaho,
woh pehle toh khoob sapne dikhata hai,
chand ban zindagi chamkata hai,
phir iss qadar moun morr leta hai,
kay zindagi kya, sapnon ko tak be-rang kar jata hai,
yeh kaisi zindagi hai yaaron..
Dil ne bhi irada kar liya agey barrne ka,
usse bhool kar kisi aur ko dhundne ka,
mager yeh tanha raastein uski yaad dilate hai,
kuch nagmein mujhe khoob rulate hai,
kabhi khushi kay toh kabhi ghum kay ashk chalkate hai,
tu hi haqeeqat khwab tu hi, kehti thi woh kabhi,
aj main gata hoon kay tujhe dil se tha chaha, tu hi toh na mil paya,
yeh kaisi zindagi hai,
kay hasne ka mann hota hai mager ankhein nam hoti hai,
aur duniya wale phas jate hai iss jhal main mere,
man bait'te hai kay khush hai 'Khamosh',
bada tanha tanha mehsoos karta hoon yaaron,
mager zindagi ko sahi raah par chalata hoon yaaron,
bas aise hi dil kholke sab likh jata hoon yaaron,
aur sochta rehta hoon,
yeh kaisi zindagi hai..?

~..Rahim..~..A Silent Heart..~


Thank you so so much Bro...

Kya kahun.. MashaAllah Bahoot Bahoot Khoob aur umda likha hai ... Bahoot khoob!!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2010, 06:56:12 AM »
Nyc very nyc & rahim vry vll replied .......

bhut ache dono .......

Thank You so much Neelgold ji.. Thank youuuuuuuuuuuuuuu !!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: October 03, 2010, 07:02:41 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoobsurti se aapne apne dil ke haal ko bayaan kiya hai Sophi ji... bahut hi khoob... bahut hi umda likha hai aapne Divya ji.. aapke is khayaal pe mujhe bhi kuch khayaal sa aa gaya aur likhta gaya....



ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai
na to jeene deta hai
na hi marne deta hai
bas tanhaayi me aake tadpata hai

main bhi aksar khoya rehta hoon
aankhen khol ke soya rehta hoon
dard nahi hota hai fir bhi
jaise har pal roya rehta hoon

wo aansoo jo mere dil se behte hain
aksar mujhse yahi kehte hain
ki kyun khud ko tu jalata hai
par ye aansoo behte rehte hain

wo meri hoke bhi meri na ho saki
mujhse dur jaake bhi khush na reh saki
socha karti hai aaj bhi mere baare me
wo meri mohabbat ko bhula na saki

kyun aisa hota hai ki khushi do pal ki
aur dard zindagi bhar ke liye milte hain
kyun dil dard me dooba rehta hai aur
muskuraane k liye wajah nahi milte hain

aasaan hai kisi ko bhi chaah lena
par kyun kisi ko bhulaana mushkil hota hai
bas inhi khayaalon me mera dil khoya rehta hai
aur un yaadon me kho ke tanha akele rota hai.....

Thank you so so much bahoot Bahoot shukriya...

Waah Waah Waah Kya baat hai Kapil ji.. Dard mea Dubi hui yea peshkash bahoot hi umda hai.. Bahoot Bahoot Khoob!!!
Logged
malli
Guest
«Reply #9 on: October 03, 2010, 07:21:33 AM »
Bahut acche acche aur pyare pyare khayal hai divya... bahut khoob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 03, 2010, 08:58:43 AM »
Bahut Bahut Khoob Sophi..

Bahut Hi Khoobsurat Khayal,Mann Kar raha the Padhte Jaau..Bahutttttttt Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Bhai Rahim Aur kapil Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: October 03, 2010, 09:12:53 AM »
Shukriya Khwaish Dost, Neel Dost aur Divya di..! Teh dil se shukriya..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: October 03, 2010, 09:13:28 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoobsurti se aapne apne dil ke haal ko bayaan kiya hai Sophi ji... bahut hi khoob... bahut hi umda likha hai aapne Divya ji.. aapke is khayaal pe mujhe bhi kuch khayaal sa aa gaya aur likhta gaya....



ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai
na to jeene deta hai
na hi marne deta hai
bas tanhaayi me aake tadpata hai

main bhi aksar khoya rehta hoon
aankhen khol ke soya rehta hoon
dard nahi hota hai fir bhi
jaise har pal roya rehta hoon

wo aansoo jo mere dil se behte hain
aksar mujhse yahi kehte hain
ki kyun khud ko tu jalata hai
par ye aansoo behte rehte hain

wo meri hoke bhi meri na ho saki
mujhse dur jaake bhi khush na reh saki
socha karti hai aaj bhi mere baare me
wo meri mohabbat ko bhula na saki

kyun aisa hota hai ki khushi do pal ki
aur dard zindagi bhar ke liye milte hain
kyun dil dard me dooba rehta hai aur
muskuraane k liye wajah nahi milte hain

aasaan hai kisi ko bhi chaah lena
par kyun kisi ko bhulaana mushkil hota hai
bas inhi khayaalon me mera dil khoya rehta hai
aur un yaadon me kho ke tanha akele rota hai.....
Bahaut bahaut khoob Kapil Dost..! Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #13 on: October 03, 2010, 11:49:48 AM »
Bahut acche acche aur pyare pyare khayal hai divya... bahut khoob


Thank you soooooooooooooooo Much Roja !!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #14 on: October 03, 2010, 11:50:26 AM »
Bahut Bahut Khoob Sophi..

Bahut Hi Khoobsurat Khayal,Mann Kar raha the Padhte Jaau..Bahutttttttt Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Bhai Rahim Aur kapil Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Bahoot Bahooot Aur tahe dil se Shukriyaa Khwaish ji... !!! thank you once againnnnnnnnnnnnnn !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:52:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer