-Ek Khilona Hi To Hai-

by Meena on June 02, 2005, 05:24:19 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 7662 times)
Meena
Guest
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!!Khilona!! by amrita in Shayeri for Dard -e- Bewafai
KHILONA by NETRAPAL in Miscellaneous Shayri
Nari khilona nahi hai by mistufer in Shayri-E-Dard
Me Uske Vaste Jaise Koi Khilona Tha by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
~ ~ ~Khilona thi.... by thinkhattk in Shayeri for Dard -e- Bewafai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: June 02, 2005, 05:39:30 PM »
hmmmmmmmm...........meena  .............bahot  khoob.............very  nice.........
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: June 02, 2005, 05:47:41 PM »
thank u........waheed.......................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: June 02, 2005, 05:56:42 PM »
hmm sach kaha Meena aap ne.. iss baar waqei aap ne apne fans ko bohat niraash kiya hai.... sad5 ...

Arey itni khubsoorti se alfaaz piroye hain, aur abhi bhi aap apni takhleeq se mutmain nahi hain?... Bohat hi khubsoorat likha hai Meena....
mere aur Waheed ke ilawa doosre bhi bohat pasand karein ge...
likhiti rahiye ga!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: June 02, 2005, 11:05:42 PM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


waah !! bhoot khoob likha hai ....... Mohrtma !!!  

Hum kuch yun likheygey iss pe !!

kuch zakhm zaraa bhar jaane do, kuch dard bhi kamtar hone do
tum shauq se daaman phailaanaa, ashkoN ko tou gohar hone do

'e! jaan-e-jigar merii jaaN par, phir mashq-e-sitam tum kar lenaa
kuch raat zaraa Dhal jaane do, kuch haal tou behtar hone do

itnaa tou raham kar do mujhpar, mat khiiNcho abhii dil se khanjar
mehsoos zaraa tum dil ko mire, kuch garmi-e-khanjar hone do

"tum qaabil-e-ulfat ho hi nahiiN", ye talKh haqiiqat hai 'HumTum'
tum paar jigar ke apne ab, ye lafzoN ke nashtar hone do !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: June 03, 2005, 12:18:44 AM »
Nice reply HumTum.................................
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #6 on: June 03, 2005, 12:56:14 AM »
Meena sister buhat khoob kai likha hai aap ney dil hi chura liya aap ney
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: June 03, 2005, 06:12:21 AM »
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


meena ji bahut kboob likha hai aapne.

Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!


................................................. .....................

kabar bhi kaha chain
whan bhi teri yaad sataaygi.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2005, 06:34:36 AM »
"Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai, "......wah kya baat hai meena ji......amazing but those lines r killer!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #9 on: June 03, 2005, 10:51:19 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


waah !! bhoot khoob likha hai ....... Mohrtma !!!  

Hum kuch yun likheygey iss pe !!

kuch zakhm zaraa bhar jaane do, kuch dard bhi kamtar hone do
tum shauq se daaman phailaanaa, ashkoN ko tou gohar hone do

'e! jaan-e-jigar merii jaaN par, phir mashq-e-sitam tum kar lenaa
kuch raat zaraa Dhal jaane do, kuch haal tou behtar hone do

itnaa tou raham kar do mujhpar, mat khiiNcho abhii dil se khanjar
mehsoos zaraa tum dil ko mire, kuch garmi-e-khanjar hone do

"tum qaabil-e-ulfat ho hi nahiiN", ye talKh haqiiqat hai 'HumTum'
tum paar jigar ke apne ab, ye lafzoN ke nashtar hone do !!


dil is kadar khol ke rakh diya hai 'meena'
ke yeh aakhe na chate hue bhi naam ho gai
...
hazir jawab ho tum HumTum
magar yeh dil hai tumne jeeta
...
kuch main bhi yaha kahe dun
is dil main bhi ek armaan hai
chahat ke azooba hai tum ek misal ho
ek aakhon ko wo ek nazar main jo bhagaya
kasoor-e-deewane dil ka kya
na pasakungi usse to kya yeh dil khelona ho gaya
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: June 03, 2005, 02:59:30 PM »
bohot bohot shukriya  aryaan, humtum, naveed, vikas, isha aur toshu!

 :D
Logged
thycreator
Guest
«Reply #11 on: June 03, 2005, 03:08:44 PM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
Dosto, phir se kuch likha hai, janti hoon ke sab kuch bejood hai par phir bhi likh rahi hoon. mere fans (jo ke hai nahin) sab nirash honge par yeh risk bhi manzoor hai!  :D

Gumon ki raaton me aise hi hum jaghte rahe,
Kabhi duniya se to kabhi khud se hum baghte rahe,
Mudat ke baad neend se mulakat hogi meri,
Ke kabar me aab so chain se sona hi to hai!

Sochte hai aab, ke bohot log milte hai rah-e-guzar me,
Par sirf ek hi shaks bha gaya pehli hi nazar me,
Jante to hai ke woh humare ho nahin sakhte,
Phir kyu talab hai uski, jis se juda hona hi to hai!!

Jazbaato ka is duniya me to vyapaar hota hai,
Mante hai hum  jise apna, dhokebaaz who yaar bhi hota hai,
Kyu soch rahi hai itna bazar-e-duniya ke bare me,
Tu bhi to yaha, “Meena”, ek khilona hi to hai!


waah !! bhoot khoob likha hai ....... Mohrtma !!!  

Hum kuch yun likheygey iss pe !!

kuch zakhm zaraa bhar jaane do, kuch dard bhi kamtar hone do
tum shauq se daaman phailaanaa, ashkoN ko tou gohar hone do

'e! jaan-e-jigar merii jaaN par, phir mashq-e-sitam tum kar lenaa
kuch raat zaraa Dhal jaane do, kuch haal tou behtar hone do

itnaa tou raham kar do mujhpar, mat khiiNcho abhii dil se khanjar
mehsoos zaraa tum dil ko mire, kuch garmi-e-khanjar hone do

"tum qaabil-e-ulfat ho hi nahiiN", ye talKh haqiiqat hai 'HumTum'
tum paar jigar ke apne ab, ye lafzoN ke nashtar hone do !!


Kya bat hai yaar.............meena ji....apne bahut hi khubsurat likha........aur HumTum ji.............apke liye kya kahe.....shabd nahi hai mere pas.......too gud both of you....

Iss dunia mein aakar bhi hum, kya iski haqeekat ko samjhe,
Kya samjhe hum har ek insaa ko, kya uski tabiyat ko samjhe,

Hairan khuda bhi toh hoga, dekhta hoga jab bhi wo hame,
Kya sikhlaya usne humko, kya uski nasihat hum samjhe..
Logged
pandit
Guest
«Reply #12 on: June 03, 2005, 03:16:04 PM »
nice meena ji............................................... .............
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: June 03, 2005, 03:43:03 PM »
thank u creator and pandit!! gud one creator!!!!!!!!

 :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: June 03, 2005, 06:56:06 PM »
wonderful   thy...............bahot  accha  likha aap  ne..........
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:46:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer