- Ek Kitab Purani -

by Meena is back on January 26, 2006, 05:49:42 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6758 times)
Meena is back
Guest
Hello dosto...kaun nahin janta us waqt ko jab hum purani baaton ko sochte rehte hai...jaise insaan koi kitab pad raha ho jisme ek ek chapter pada jata hai aur  hum usmi me kho jate hai...kuch to chehre pe muskurahat lati hai to kuch aur zada sad kar deti hai. bas unhi jazbaato pe meri yeh poem hai...umeed hai aap sab ko pasand ayegi  :D

Tanhai me baithe te, kamoshi ka alam tha,
Jab haath me pakdi ti humne ek kitab purani,

Zindagi ke har rang se lafzo ki hui paidaish,
Har ek panna suna raha tha apni hi ek kahani,

Kuch panno me bohot kuch likha tha, kuch anlikhe te,
Kuch sukhe te aur kuch par laga tha ashkon ka pani,

Mehesoos hota hai har ek lafz ko chu kar ek dard ko,
Ek pal laga ke jaise rukh si gayi hai apni zindagani,

Band kar do us kitab ko “Meena”, ke dukh ke siwa usme kuch nahin,
Samajh to liya aab zindagi ko tune, kisi cheez se nahin tu anjani!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
-Yeh Baat To Aab Purani Hui- by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Bahut Purani Yaad Ko by Preet R in Other Languages
Wo purani bat (3) by Vinay kumar tiwari in Shayeri for Dard -e- Bewafai
NAEY DANG SE KHELO,PURANI ANTAKSHARI......cara by cara in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2  All »
bachpan ki purani kitab kholi hai ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sunil by sunildehgawani in Shayri-E-Dard
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2006, 06:30:06 PM »
very nice meena ji........kya khoob likha hai tongue3
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2006, 07:30:34 PM »
u have written very well sis....padh kar laga jaise mere jazbaaton ko zubaan mil gaye....

jeevan ki kitaab band hi rahe to acha hai
warna iss muskurate hue chehre par nahi jayenge log
har koi dass sawaal karega
aur poorane, dabe hue gum kured layenge log

hum jis haqiqat ko batane se darte hain
woh sara zamaana poochega
fir tum hi kaho aye dost ..kya batayenge
na to kissi par ungli utha sakenge... khud par bhi kaise bhala ilzaam lagyenge

hum iss kashmakash mein rahe to kaise jee payenge
duniya walon ka kya hai, do pal tamasha dekhenge aur chale jayenge

tabhi to kehti hun yeh zindagi ke raaz(kitaab) band hi rahe to acha hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2006, 09:12:15 PM »
Wah..Bohat khoob Meena....& Nice Reply Nikki...
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2006, 09:23:10 AM »
thanx Aryaan....aapne kuch nahi likha???
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #5 on: January 27, 2006, 10:37:22 AM »
Meena and nikki

Aap dono ne zindagi ka kadwa sach bahut he achchi tarah se likha hai.

Very well written !

Aryaan bhi kuch likhenge zaroor....

Rajbir
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: January 27, 2006, 11:53:58 AM »
Ek Kitab Purani Kehti hai meri kahani,
Likha hai usme ki karta tha mein kitni nadaani,
Mere bachpan ki yaadein...mere pyar ki kahani,
Sab likha hai usmein meri jubaani,
Ek Kitab Purani kehti hai meri kahani,

Zindagi k safar mein jab tanha mehsoos karta tha,
Likhta tha phir usme apni ek nayi kahani,
Ek Kitab purani kehti hai meri kahani,

Laal kapde mein lipti woh kitab,
Kehti hai mere dil ka haal,
Bas ab wahi bachi hai meri nishaani,
Ek kitaab purani kehti hai meri kahani.................
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: January 27, 2006, 12:05:21 PM »
Aree wah Gaurav !

Sach mein aap sab ne bahut he khoobsurat likha hai

Excellent piece of work by all of you...

Badhte raho  :arrow:

Rajbir
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #8 on: January 27, 2006, 03:40:16 PM »
Nice one meena sis, nikki sis aapne bhi bahot achcha likha hai. Very Nice gaurav too! Keep writing everyone  Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: January 27, 2006, 03:43:49 PM »
thank u Rajbir n brother....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: January 27, 2006, 03:45:19 PM »
shukriya Amit bhai.............
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: January 27, 2006, 03:54:13 PM »
woh jo harf usne meri zindagi ki kitaab mein likhe hain
woh kuch dhundle se hain
jab bhi padhne ki koshish karte hain...
padh nahi paate
yeh kaisi daud hai, yeh kaisa raasta hai
jispar zindagi chal rahi hai kuch iss tarah se....

na to manzil ka pata milta hai
na raaste hi nazar aate hain
hum dhoond kar thakk gaye
kyon woh humein nazar nahi aate hain
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: January 27, 2006, 05:20:52 PM »
Quote from: "nikki"
you have written very well sis....padh kar laga jaise mere jazbaaton ko zubaan mil gaye....

jeevan ki kitaab band hi rahe to acha hai
warna iss muskurate hue chehre par nahi jayenge log
har koi dass sawaal karega
aur poorane, dabe hue gum kured layenge log

hum jis haqiqat ko batane se darte hain
woh sara zamaana poochega
fir tum hi kaho aye dost ..kya batayenge
na to kissi par ungli utha sakenge... khud par bhi kaise bhala ilzaam lagyenge

hum iss kashmakash mein rahe to kaise jee payenge
duniya walon ka kya hai, do pal tamasha dekhenge aur chale jayenge

tabhi to kehti hun yeh zindagi ke raaz(kitaab) band hi rahe to acha hai


oh thank u kuddiye...bas jo dil me tha wohi likh dhala tha :D  tum bhi to kamal ke jawab deti ho, realyl nice!

zindagi ke gum hum sab se chupate gaye,
tabassum se apne dil ko jalate gaye,
shikwa bih kare to kise jab kismat hi aisi hai,
sehe kar sab sitam khud ko yuh tanhai me dafnate gaye!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: January 27, 2006, 05:22:02 PM »
padne aur pasand karne ka bohot bohot shukriya Aryaan ji...Rajbir bhaiya ji aur hearty bhai!

 :D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: January 27, 2006, 05:26:52 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Ek Kitab Purani Kehti hai meri kahani,
Likha hai usme ki karta tha mein kitni nadaani,
Mere bachpan ki yaadein...mere pyar ki kahani,
Sab likha hai usmein meri jubaani,
Ek Kitab Purani kehti hai meri kahani,

Zindagi k safar mein jab tanha mehsoos karta tha,
Likhta tha phir usme apni ek nayi kahani,
Ek Kitab purani kehti hai meri kahani,

Laal kapde mein lipti woh kitab,
Kehti hai mere dil ka haal,
Bas ab wahi bachi hai meri nishaani,
Ek kitaab purani kehti hai meri kahani.................


tareef ke liye shukriya BS ji...apne bih acha likha hai!  :D

zindagi ke safar ko lafzo me piroya hai,
apni is ghazal ko dard me bighoya hai,
wah wah na kehna meri is nazm pe aye dosto
ke aaj phir se yeh dil dard me roya hai!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:14:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer