Ek Ladka Bahut Hi Pagal

by angel4u on July 16, 2008, 02:49:16 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4343 times)
angel4u
Guest

Ek Ladka
Bahut Hi Pagal
Deewana Sa
Apni Hi Duniya Mein Magan Rehta Tha
Jise Koi Tension Na Thi
Par Us
Laobhaali
Nadaan
Pagal
Chamakti Aankhon Wale Ladkeko
Pyaar Hogaya
Wo Pyar Jisme Mehboob Khuda Nazar Aata Hai
Wo Pyar Jo Galiyon Mein Patthar Khata Hai
Wo Pyar Jo Sooli Pe Chad Jata Hai
Wo Pyaar Jo Dar Se Bedar Kar Jaata Hai
Par In Sab Baaton Se Na Aashna
Ek Hi Dhun Mein
Poristash Karne Laga Wo Apne Pyar Ki
Azeez Tha Mehboob
Parwah Na Ki Dayar Ki
Har WaQt Wo Usse Sochta
Har WaQt Wo Use Poojta
Basa Liya Tha Rom Rom Mein
Pagal Tha
Ye Socha Hi Nahi
Ye Ladkiyan
To Hawa Ka Ek Jhonka Hoti Hai
Wo Jhonka
Jo Ek Pal Mein Guzar Jata Hai
Ye Bhi Hawa Ka Ek Jhonka Hi Thi
Iske Jeewan Mein Bahar Leke Aayi
Bahar Mein To Bahut Chamak Thi, Bahut Mehek Thi
Khushiyon Ke Gunchon Pe Ummidon Ke Phool Khilaye Usne
Khwaab Dekhe Aur Khwaab Dikhalye Usne
Har Taraf Chehek Thi Mehek Thi
Is Pagal Ladke Ko Ye Khushiyan Raas Na Aayi
Jab Uske Gulshanki Bahar Ne Mann Mod Liya Usse
Uske Gulshanko Bikher Diya Usne
Saare Khwabone Ummidon Ne Sath Chod Diya Uska
Uske Gulshan Mein Ab Khizaan Thi
Kuch Sukhe Patteh Aur Bikhre Phool The
Jinm Ein Mehek Talash Karne Laga
Udaas Shakhein Aur Besaya Darakht
Jinke Niche Wo Saya Dhund Raha Tha
Kuch Na Mial Use
Jo Khushiyon Ke Geet Aur Pyar Ki Yaadein Uske Paas Thi
Sab Chhin Gayi Usse
Kuch Bhi To Na Raha Uske Paas
Ab Wo Ladka
Aadhi Raatko Uthta Hai Aur Rota Hai
Har Ek Ajnabi Se
Bas Ek Hi Sawal Puchhta Hai Wo
Uska Kasoor Kya Yehi Tha Ke Usne
Us Pagal Ladke Ne
Ek Devi Ko Bahut Chaha Hai
Khuda Ki Tarah Pooja Hai
Uski Khushi
Uski Hansi
Is Pagal Ki Duniya Thi
Par Sab Bikhar Gaya
Ab Us Phool Se
Pagal Ladke Ka
Hansta Muskurata Chehra
Aise Ho Gaya Hai Jaise
Kisine Phool Se Khushbu Chura Li Ho
Uski Aankhein
Wo Chamakti Aankhein
Jin Mein Shararat Tapka Karti Thi
Ab Aansu Hai Qarb Hai Udasi Hai
Kuch Toote Hue Khwab Hai
Wo Jo Isne Kisiki Godh Mein Sar Rakhke
Hathon Mein Haath Thaam Ke
Bade Pyar Se
Bade Maan Ke Sath
Apni Ek Chhoti Si Duniya Sajane Ke Liye
Apni Aankhon Mein Sajaye The
Wo Khwahishein
Jo Kabhi Iske Man Mein Uthi Thi
Ab Hasrat Ban Chuki Hai
Sab Aankhon Ke Samundar Mein Beh Gaya Hai
Par Phir Bhi
Wo Pagal Ladka
Us Jhonke Ko
Us Hawa Ke Pagal Jhonke Ko
Us Pyari Ladki Ko
Jisse Wo Pyar Karta Tha
Bahut Pyaar Karta Tha
Ab Bhi Yaad Karta Hai
Us Bewafa Ki Tasveer Ko
Seene Se Lagaye Phirta Hai
Uski Mohabbat Adhuri Reh Gayi Hai
Par
Use Aaj Bhi Wo Pagal Ladka
Usi Pyari Ladki Ka Hai
Uski Chahaton Ko
Uski Mohabbaton Ko
Uski Yaadon Ko
Aaj Bhi Wo Bhool Nahi Paya Hai
Aaj Bhi Wo Usse Utna Hi Pyar Karta Hai
Aaj Bhi Wo Usiki Parastish Karta Hai
Aaj Bhi Uske Mann Mein Ek Hi Ladki Hai
Aaj Bhi Usi Raah Pe Khada Intezar Karta Hai
Ke Shayad Wo Aa Jaye
Par Wo Ye Janta Bhi Hai
Jise Wo Pyar Karta Hai
Jise Usne Dhadkan Banaya Hai
Wo Ab Laut Ke Nahi Aayegi
Par Wo Phir Bhi Intezar Karta Hai
Wo Phir Bhi Usi Se Sirf Usi Se Pyar Karta Hai
Kyon?
Shayad Isika Naam Hi To Mohabbat Hai
Haan Shayad Isika Naam Hi To Mohabbat Hai...
* * * * *

NM
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 16, 2008, 04:28:21 AM »
Kya Baat Hai Angle Ji..Bahot Khoob
Aapne To Puri Novel..Awwal Se Aakhir Panno Tak..Simat Liyaa Hai..Nice Sharing
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: July 16, 2008, 03:02:57 PM »
Usual Smile

haan thodi badi poem hai,
isko bahut hi patience se padhni padti hia,
itne patience se padhne ke liye shukriya Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:05:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer