Ek Mauka Nahi Deta...

by mohdabrar on May 26, 2013, 04:07:40 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1812 times)
mohdabrar
Guest
Mehfil ko Abrar ka Salaam... Kuch khayal zahen mein ghoom rahe the... Kagaz par utar ni kii koshish kii hai... Apni keemti aara se nawaze...

Mujhe woh khud se milne nahi deta,
Ajeeb shaks hai kyun kuch kehne nahi deta?

Chand si surat hai par ukhda rehta hai,
Na jaane kyun kisi ko roshini nahi deta?

Aankhen jab dekhta hun num hi rehti hai,
Kaun hai jo khul kar use rone nahi deta?

Kisi se mohabbat ki woh bewafa nikla,
Kaun hai duniya mein jo dhoka nahi deta?

Woh jaanta hai main usse mohabbat karta hun,
Meri mohabbat ko kyun woh ek mauka nahi deta?

Uski kahani yaad aati hai to ro deta hai "Abrar",
Aage kuch aur likhu usko zameer ijazat nahi deta...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
karaar nahi deta... by theyash in Share:Miscellaneous Shayari
Mera hone nahi deta by love4u in Shayri for Dard -e- Judai
Ehsaas Ye Hone Nahi Deta by mayur srivastav in Share Poetry You Like
MOVED: Ehsaas Ye Hone Nahi Deta by aqsh in Shayri-E-Dard
Muje ek mauka tu deta - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
love4u
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2013, 04:21:33 PM »
dil ke dard aapne bahut khoob bayan kiya hai... bahut khoob...!!!! Usual Smile


Mehfil ko Abrar ka Salaam... Kuch khayal zahen mein ghoom rahe the... Kagaz par utar ni kii koshish kii hai... Apni keemti aara se nawaze...

Mujhe woh khud se milne nahi deta,
Ajeeb shaks hai kyun kuch kehne nahi deta?

Chand si surat hai par ukhda rehta hai,
Na jaane kyun kisi ko roshini nahi deta?

Aankhen jab dekhta hun num hi rehti hai,
Kaun hai jo khul kar use rone nahi deta?

Kisi se mohabbat ki woh bewafa nikla,
Kaun hai duniya mein jo dhoka nahi deta?

Woh jaanta hai main usse mohabbat karta hun,
Meri mohabbat ko kyun woh ek mauka nahi deta?

Uski kahani yaad aati hai to ro deta hai "Abrar",
Aage kuch aur likhu usko zameer ijazat nahi deta...
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #2 on: May 26, 2013, 04:43:10 PM »
Bahaut khoobsurat ehsaasaat paaye apke qalaam mein Abrar ji ... Daad !!!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: May 26, 2013, 05:48:48 PM »
waa bohat bohat khoob aik au ke sath bhapoor daad,............
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: May 26, 2013, 06:34:53 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya baat hai ji. behad khoob likha hai aapne. dheron daad.
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: May 26, 2013, 07:05:28 PM »
Mujhe woh khud se milne nahi deta,
Ajeeb shaks hai kyun kuch kehne nahi deta?

Chand si surat hai par ukhda rehta hai,
Na jaane kyun kisi ko roshini nahi deta?

Aankhen jab dekhta hun num hi rehti hai,
Kaun hai jo khul kar use rone nahi deta?

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
very nice abraar
Logged
nashwani
Guest
«Reply #6 on: May 26, 2013, 07:54:29 PM »
bahut achhe ehsas rahe..daad qubool ho..happy9
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #7 on: May 26, 2013, 11:27:18 PM »
Aankhen jab dekhta hun num hi rehti hai,
Kaun hai jo khul kar use rone nahi deta?

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wah,Wah,Wah Abrar sahab,
Bahut khoob.
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2013, 11:57:13 AM »
bhut khub ji
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #9 on: June 02, 2013, 08:50:07 PM »
dil ke dard aapne bahut khoob bayan kiya hai... bahut khoob...!!!! Usual Smile

Aadab,

Aapka naam to nahi pata, yahan par naya hun.. Kahir, Khaaksaar ke kalaam ko pasand karne ka tahe dil se shukriyah... Aage bhi saath dete rahe...

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2013, 08:51:06 PM »
Bahaut khoobsurat ehsaasaat paaye apke qalaam mein Abrar ji ... Daad !!!

Bohot bohot Shukriyah.. Aage bhi yunhi saath dete rahe..

Duaon ke saath Ijazat,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #11 on: November 17, 2013, 08:59:33 PM »
waa bohat bohat khoob aik au ke sath bhapoor daad,............

Bohot bohot shukriyah,

Abrar.
Duaon ki guzarish.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #12 on: November 17, 2013, 09:02:04 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya baat hai ji. behad khoob likha hai aapne. dheron daad.

Bohot bohot shukriyah,

Abrar.
Duaon ki guzarish.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #13 on: November 17, 2013, 09:03:20 PM »
Mujhe woh khud se milne nahi deta,
Ajeeb shaks hai kyun kuch kehne nahi deta?

Chand si surat hai par ukhda rehta hai,
Na jaane kyun kisi ko roshini nahi deta?

Aankhen jab dekhta hun num hi rehti hai,
Kaun hai jo khul kar use rone nahi deta?

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
very nice abraar

Bohot Bohot shukriyah Sahal ji...

Duaon Ki Guzaarish,
Abrar.
Logged
mohdabrar
Guest
«Reply #14 on: November 17, 2013, 09:04:31 PM »
bahut achhe ehsas rahe..daad qubool ho..happy9

Bohot Bohot shukriyah, Aap ki daad sar aankhon par...

Duaon Ki Guzaarish,
Abrar.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:45:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer