....~~ek mulakaat~~....

by HumTum on April 16, 2005, 02:02:31 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2005 times)
HumTum
Guest
ek mulaqat un se karado mai mar jaunga
ek jhalak unnki dikhado mai mar jaunga

muddato se tadap raha hu deedar ke liye
ab raha nahi jata mai mar jaunga

lakh jatan kiye un ko bhulane ke lekin
dil ne har bar kaha mai mar jaunga

wah ri qismat dono ko pardesi kar diya
des aakar bhi na mile to mai mar jaunga

"HumTum" sirf tumhi ko nahi sataya hai zamane ne
is se pahele bhi bahto kahe gai mai mar jaunga


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaisi mulakaat hai by bekarar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Kal ki haseen mulakaat ke liye by @Kaash in Share Video
Eko mulakaat by ishu_singh10 in Poetry of seperation in Punjabi
khuda se mulakaat by cool neha in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pehli Mulakaat by Tintin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: April 16, 2005, 02:55:28 PM »
Wah!!

phir hogi mulaqaat ye waada kar ke gaye the
hum aaj tak us jhoote waade pe jiye jaate hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: April 16, 2005, 03:04:20 PM »
Shukriya Talat ji.......

Rona hi raha jab qismat mein to kionkar aansoo chupain hum
rehna hi nahin is dunya mien to kionkar ghar basain hum
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 16, 2005, 03:08:36 PM »
in ankhon main ab to aansu bhi nahin aate hain
wo bhi saath chorh gaye hain auron ki hi tarah!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: April 16, 2005, 03:09:55 PM »
khatm kar do saare rishte tor do wade wafa
warna ghurbat par ameeri ka qahar gir jayega!
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2005, 03:11:50 PM »
na koi rishta raha na koi bandhan raha
ek rooh si bhatakti hai veeran raahon me
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2005, 03:15:48 PM »
rukki rukki si nigahain thakka thakka sa badden
safer ka shouq jo manzil peh la k choore gya
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: April 16, 2005, 03:19:19 PM »
na safar hi raha na hain raahain na manzil
ek andhera sa hai meri ankhon ke saamne
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2005, 03:23:20 PM »
humney anderooN mein bhi ki thi parstish teri
tuney kabhi idhar na ki apni nazar !!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: April 16, 2005, 03:25:31 PM »
humne dekha tha teri taraf awaaz bhi di thi
tu ghair ke saath muskurata chala gaya!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: April 16, 2005, 03:27:34 PM »
us gair ko shayaad dekha na tuney gaur se
woh tera hi to soudai tha jo sath tha mere !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: April 16, 2005, 04:28:13 PM »
tune ghair ke aanchal me chupaya tha chehra apna
magar is dil ne pehchaana tha tujhe laakh pardon me!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #12 on: April 16, 2005, 04:33:30 PM »
Quote from: "Talat"
tune ghair ke aanchal me chupaya tha chehra apna
magar is dil ne pehchaana tha tujhe laakh pardon me!!



wah...............
husn e shabab laakh chupa ho pardo me,
rok nahi sakta koi sharbat e didaar karne se. :oops:
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: April 16, 2005, 04:35:30 PM »
thanks pandit!!

is husn-e-shabab ko parde main hi rehno do
bahar aaya to phir ye aatish na sambhaali jaaye!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: April 16, 2005, 06:09:11 PM »
Quote from: "Talat"
tune ghair ke aanchal me chupaya tha chehra apna
magar is dil ne pehchaana tha tujhe laakh pardon me!!



Is shehar ke sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
be ikhtiyaar hi ek Shakhs Yaad bohut Aa Jata Hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 03:06:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer