Ek nishani rah jayegi............

by Pooja on February 20, 2006, 09:49:10 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 29
Print
Author  (Read 25306 times)
Pankhuri2
Guest
«Reply #150 on: July 15, 2006, 06:25:49 AM »
bahoot sahi kaha dost Kavi ji....

chalak gaya jo ansoo, wo khak ban gaya
bichar gaya wo jo, ek yaad ban gaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar ho jayegi by qayda in Shayri-E-Dard
dosti bikhar jayegi by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI PHIR SAWAR JAYEGI by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu Chali Jayegi To Ye Dhadkan Rook Jayegi...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Dard -e- Judai
Naya_Daur
Guest
«Reply #151 on: July 15, 2006, 06:33:27 AM »
kissi din bikhar jayegi meri hasti
bas ek nishani reh jayegi
band palkon mein honge kuch sapne
unmein koi kahani  reh jayegi
mitt na payegi teri yaadein  iss dil se
intezar rahega tera har pal
main chahe rahu ya na rahu eh zindagi !
mere kahani kissi ki jubani toh reh jayegi...!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #152 on: July 15, 2006, 06:44:11 AM »
good one jeet!! bahoot acha likha hai apne....

jaane kaha waqat sab ko le jayega
kahin kisi dil mai koi nishan rah jayega
waqat ki parto mai kahin chipa hua sa
ek naam, dard mai simat kar rah jayega
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #153 on: July 15, 2006, 06:51:23 AM »
thanks

waqt ki majhdhar mein fass jayeinge
bin sagar ki lehron mein doob jayeinge
kar deinge alwida iss mehfil ko kis din
phir yaadon meri teri bas simmat jayeinge...!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #154 on: July 15, 2006, 07:15:00 AM »
bahoot khoob!!

ajj hai kal ka koi thikana nahi
waqat ki najar mai koi afsaana nahi
alwida ek din her koi kar jayega
waqat ke hathon mai sannatta rah jayega
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #155 on: July 16, 2006, 04:55:47 PM »
Everyone has written fantastic here ...
Keep it up all ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #156 on: July 16, 2006, 04:58:10 PM »
Kaise soch liya ki tumhe koi yaad nahi karta,
Ek bhi aisa pal nahi jab main khuda se milne ki fariyaad nahi karta,
Tujhe dekhkar hi main khush hoon yaha,
Bas khuda se dua apne haq mein uske baad nahi karta ......
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #157 on: July 17, 2006, 02:10:00 PM »
Quote from: "Pankhuri2"
bahoot khoob!!

ajj hai kal ka koi thikana nahi
waqat ki najar mai koi afsaana nahi
alwida ek din her koi kar jayega
waqat ke hathon mai sannatta rah jayega


waqt se humare afsane bahut hai.
mandir ki jagah mehkhane bahut hai.
aabhi tak hum sirf nakamiyaan paye hai.
waqt ke haath mein bhi sannate ke saaye hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #158 on: July 17, 2006, 10:06:39 PM »
bahoot khoob JHL JI!!!

Dua nahi karati ki ab aitbaar nahi
milla naseeb aisa, khuda ka bhi sath nahi
Soch apni mai, khud se fariyaad karati hu
na karu payaar us se, phir her baar inkaar karati hu
Logged
Pooja
Guest
«Reply #159 on: July 17, 2006, 10:13:38 PM »
Dost kavi ji... kuch confuse kar diya apne is baar apni lines se

maikhane ko mandir maan liya
jaam ko uski jafa ka naam diya
pee gaye her ek ghoont mai yaad uski
ankhon se chalka kar, phir dil ko araam diya
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #160 on: July 18, 2006, 02:10:30 AM »
Quote from: "Pooja"
Dost kavi ji... kuch confuse kar diya apne is baar apni lines se

maikhane ko mandir maan liya
jaam ko uski jafa ka naam diya
pee gaye her ek ghoont mai yaad uski
ankhon se chalka kar, phir dil ko araam diya


ankhon se ashq chalkaker dil ko aaram nhi hai.
lagta hai is saher mein mujh sa badnaam nhi hai.
aaj bhi wo dekhte hai tadpte unki yaad mein.
mere khuda ko aur... koi kaam bhi nhi hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #161 on: July 18, 2006, 02:16:07 PM »
last line bahoot hi achi likhi hai apne Dost Kavi ji!!!

chahe na chahe, badal ghir hi atty hai
barsaty hai aor baras kar chale jaate hai
uski yandon ka mosam bhi kuch issi tarah hai
chahae na chahe, baras kar chale jaate hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #162 on: July 19, 2006, 07:48:30 AM »
Quote from: "Pooja"
last line bahoot hi achi likhi hai apne Dost Kavi ji!!!

chahe na chahe, badal ghir hi atty hai
barsaty hai aor baras kar chale jaate hai
uski yandon ka mosam bhi kuch issi tarah hai
chahae na chahe, baras kar chale jaate hai


aapne bhi bahut aacha likha hai poja ji per....

jub saath tha unka barsat k aankkhe tarasti rahi.
aaj judai ke din mein aankhe din raat barasti rahi.
Logged
anitha
Guest
«Reply #163 on: July 19, 2006, 08:59:11 AM »
kya baat hai pooja ji ....wah wah ....kya sher likha hai aap ne

thats really good

bhondu ji kya likha hai ...wah kya jawaab diya hai aapne pooja ji ki likhi gayi shaayari ki

it is too good ...keep it up

jab tha unka saath...karte the intezaar barsaat ka
ab karte hain intezaar din aur raat hum unke saath ka
jab kabhi dekha hai kiseeko pyaar karte
hamesha paaya hai usko intezaar karte
bada hi mushqil hai rehna bichadke unse
tadapte-tadapte rhona, hota nahi ab humse
Logged
Pooja
Guest
«Reply #164 on: July 19, 2006, 03:13:04 PM »
shukaria Dost KAVI AND ANITHA,.. APP DONO NE HI BAHOOT ACHA LIKHA HAI...


barsaatke sath jalati thi jo agan
wo agan ab til til jalaati hai
barsaty badal mai barsna wo tera
her ek pal wo yaad dilaati hai
barsaat ki boondon mai,
tanhaai meri aor bad jaati hai
JAMEN SOKH LETI HAI BARSAAT KA PANI
AOR SUKHAPAN MUJH MAIN CHOR JAATI HAI
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 29
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:41:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer