Ek nishani rah jayegi............

by Pooja on February 20, 2006, 09:49:10 AM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 29
Print
Author  (Read 25668 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #315 on: March 23, 2007, 05:02:02 AM »
Shukriya pooja ji!! magaryeh beimani hai aap bhi to kuchh likhiye!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar ho jayegi by qayda in Shayri-E-Dard
dosti bikhar jayegi by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI PHIR SAWAR JAYEGI by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu Chali Jayegi To Ye Dhadkan Rook Jayegi...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Dard -e- Judai
Pooja
Guest
«Reply #316 on: March 23, 2007, 03:02:26 PM »
Lijiye ab koi beimani nahi Usual Smile app likhte rahe hum bhi likhte rahege Usual Smile

Tanhaai ke khanjar, lahu luhan karte rahte hai
Kitani bhi dar-o-darwaje kholu, ek ghutan si main hum rahte hai

Karati hu jan bhi yaad, bas yahi socha karte hai
Kayun payaar karne walo ko, log pagal samjha karte hai

Khali din, tanha raatein, jakhmo ko hara karte rahte hai
Shayad koi nishani usko bhi samjh de, yah dua din-raat kiya karte hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #317 on: March 24, 2007, 01:48:23 AM »
Quote from: "Pooja"
Lijiye ab koi beimani nahi Usual Smile app likhte rahe hum bhi likhte rahege Usual Smile

Tanhaai ke khanjar, lahu luhan karte rahte hai
Kitani bhi dar-o-darwaje kholu, ek ghutan si main hum rahte hai

Karati hu jan bhi yaad, bas yahi socha karte hai
Kayun payaar karne walo ko, log pagal samjha karte hai

Khali din, tanha raatein, jakhmo ko hara karte rahte hai
Shayad koi nishani usko bhi samjh de, yah dua din-raat kiya karte hai


Waah Pooja ji!! Usual Smile

Dil ka Zakhm hai ki kisi tarah bhi bharta nahin!
Ab yeh Zindagi ka safar mujh se aur Kat ta nahin!

Jaane Kya chahti hai yeh Be-Khud Zindagi mujh se,
Parda mere muqaddar se kyon kisi tarah hat ta nahin!

Yeh Zindagi ki chaadar ab ghis ghis kar badrang hui,
Gham ki siyahi ke siva is par koi rang chad ta nahin!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #318 on: March 26, 2007, 01:45:14 PM »
wah kaya baat hai AKS ji, bahoot khoob!!

Baith khirdki per, sooni raah dekha karu
Beete waqat ke Nishan, na jaane kyun dhoonda karu

Her baat per, kyun wo yaad aa jaate hai
Ab to her pal, yahi main socha karu

Bin baat ke lard jaane lagi sabhi ke sung
Palko se bahte ansoo ko poncha karu

Atte jaate logo per hansi aa jaati hai
Unki baaton mai, apni hansi dhoonda karu
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #319 on: March 27, 2007, 11:35:46 AM »
Thank you Pooja ji N Majid ji!!! Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #320 on: March 27, 2007, 12:21:48 PM »
Very Nice Arun & Pooja...
Logged
Talat
Guest
«Reply #321 on: March 27, 2007, 01:31:09 PM »
Pooja and Arunji....bohot khoob likha hai aap logon ne !
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #322 on: March 28, 2007, 03:20:46 AM »
Thanks!! Hausla afjaai ka shukriya!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #323 on: March 28, 2007, 03:23:30 AM »
Shukaria Aryaan and Talat.....
Logged
paani
Guest
«Reply #324 on: March 28, 2007, 04:12:30 AM »
Quote
Atte jaate logo per hansi aa jaati hai
Unki baaton mai, apni hansi dhoonda karu


It's nice pooja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #325 on: March 28, 2007, 02:26:26 PM »
THANKS PAANI !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #326 on: April 04, 2007, 05:33:30 PM »
Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu

Ankhein hai khushak, duniya bhar ki soch mai aai hu
Khamosh cheekhon main, khud hi dagmagaai hu

Bol nahi sakati, kaya kahu main khud se ajj
Tadpate zazbaato main, sare ahsaas bhool aai hu

Ki thi, karati hu, main bhi koshish  hansne ki
Hansi ki koshish main, khud ko zinda jala aai hu

Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #327 on: April 05, 2007, 02:00:57 AM »
Quote from: "Pooja"
Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu

Ankhein hai khushak, duniya bhar ki soch mai aai hu
Khamosh cheekhon main, khud hi dagmagaai hu

Bol nahi sakati, kaya kahu main khud se ajj
Tadpate zazbaato main, sare ahsaas bhool aai hu

Ki thi, karati hu, main bhi koshish  hansne ki
Hansi ki koshish main, khud ko zinda jala aai hu

Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu


waaaah!! Pooja ji!! zabardast likha hai aapne!!!! bahut khoob!!!

Jalne ki chahat liye taa-umr jalta raha hoon main!
Hoon to pattharmagar mom sa pighalta raha hoon main!
Na sukoon mila mujhe phooloon ki thandak se kabhi,
Tabhi to har dam sholon ke liye machalta raha hoon main!
[/color]
Logged
paani
Guest
«Reply #328 on: April 05, 2007, 05:12:30 AM »
Quote from: "Pooja"
Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu

Ankhein hai khushak, duniya bhar ki soch mai aai hu
Khamosh cheekhon main, khud hi dagmagaai hu

Bol nahi sakati, kaya kahu main khud se ajj
Tadpate zazbaato main, sare ahsaas bhool aai hu

Ki thi, karati hu, main bhi koshish  hansne ki
Hansi ki koshish main, khud ko zinda jala aai hu

Dard hai, dard ki barsaat mai ajj nahai hu
Jakhmo ko khul kar di hawa, khud se ghabraai hu


Pooja... jiiiiiiiiiiiiiii... wah...kya dard bayaan kiya hai aapne...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #329 on: April 05, 2007, 12:50:55 PM »
bahoot bahoot shukaria AKSJI and Paani ji..

Paani Ji

Likhte hai kuch dil ke jakham
Dard kuch thum sa jaata hai

Cha jata hai sannata kuch palo ko
Jaise waqat ko bhi araam aa jaata hai

Lout aati hai yaandein phir
Ansuo ko mosam lout atta hai

Chalati hai kalam tab
Na jaane kon kon sa jakahm ubhar atta hai

Likhte hai kuch dil ke jakham
Dard kuch thum sa jaata hai
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 29
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:33:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer