Ek Samundar Humne AankhoN Mein Qaid Kar Liya Tha..!!...Shireen Hakani

by Shireen Hakani on December 08, 2012, 09:09:03 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1371 times)
Shireen Hakani
Guest
Teri YaadoN MeiN Kal Raat Phir Koi Mar Kar Jiya Tha,
Ek Samundar Humne AankhoN Mein Qaid Kar Liya Tha..!!

Behte AashqoN Ka Thikana Kahaan KaheeN Hota Hai,
Ek Sisakte Afsaane Ne Mera Daaman Bhar Diya Tha..!!

PalkoN MeiN Nami, Zindagi Mein Tumhari Kami Thi,
Ek Mohabbat Ne Teri, Phir Mujhe Be-Khud Kiya Tha..!!

Be-Khabar Rahe Woh Meri Tanhaai Ki Dastaan Se,
Ek Intezaar Ki Shaam Ne, Judaai Ka Zehar Piya Tha..!!

Kaise Guzri Woh Gum Ki Raat, Mat Pucho Hum Se,
Ek Tute Dil Ne, Apne ZakhmoN Ko Phir Siya Tha..!!


Shireen Hakani
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: December 08, 2012, 09:26:45 AM »
Shireen Sahibaa Aadaab!


Kia baat hai jee khumaar e ishq ki malikaa dard e ishq ki
mehfil meiN....  icon_geek

Wel kalaam ke ahsaas O khayaal waqai kafi dilfareb rahe..
Aur bayaaN bhi achcha kiya hai aapne... Usual Smile

Is kalaam par humari daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Par ishq par likhne waaloN ne dard par nahi likhna chahiye
aisa hume lagta hai... kyuN ke tajurbaa hai yeH dard ka dayraa
itna wasi hai ke ismeiN aik baar dubne ke baad koi bahar nahi
nikal pata hai... Usual Smile

Khair likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khudaa Hafez... Usual Smile

Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: December 08, 2012, 10:39:17 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause :
beautiful
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2012, 11:13:15 AM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #4 on: December 08, 2012, 11:32:50 AM »
wah kya baat hai, very nice...
behad khoobsurat...
aap ke naam ek rau meri aur se...
Logged
Aarish
Guest
«Reply #5 on: December 08, 2012, 11:37:59 AM »
Teri Yaadon Mein Kal Raat Phir Koi Mar Kar Jiya Tha,
Ek Samundar Humne Aankhon Mein Qaid Kar Liya Tha..!!

Behte Aashqon Ka Thikana Kahan Kaheen Hota Hai,
Ek Sisakte Afsane Ne Mera Daman Bhar Diya Tha..!!

Palkon Mein Nami, Zindagi Mein Tumhari Kami Thi,
Ek Mohabbat Ne Teri, Phir Mujhe Be-Khud Kiya Tha..!!

Be-Khabar Rahe Woh Meri Tanhai Ki Dastaan Se,
Ek Intezaar Ki Shaam Ne, Judai Ka Zehar Piya Tha..!!

Kaise Guzri Woh Gum Ki Raat, Mat Pucho Humse,
Ek Tute Dil Ne, Apne Zakhmo Ko Phir Siya Tha..!!

Shireen Hakani

wah wah wah wah shireen jee kya baat hai, nihayat umda peshkash hai, kahs taur se shair to lajwab hai , dheron daaad qubool kareN,,,

Behte Aashqon Ka Thikana Kahan Kaheen Hota Hai,

Ek Sisakte Afsane Ne Mera Daman Bhar Diya Tha..!!  Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: December 08, 2012, 01:23:13 PM »
Teri Yaadon Mein Kal Raat Phir Koi Mar Kar Jiya Tha,
Ek Samundar Humne Aankhon Mein Qaid Kar Liya Tha..!!

Behte Aashqon Ka Thikana Kahan Kaheen Hota Hai,
Ek Sisakte Afsane Ne Mera Daman Bhar Diya Tha..!!

Palkon Mein Nami, Zindagi Mein Tumhari Kami Thi,
Ek Mohabbat Ne Teri, Phir Mujhe Be-Khud Kiya Tha..!!

Be-Khabar Rahe Woh Meri Tanhai Ki Dastaan Se,
Ek Intezaar Ki Shaam Ne, Judai Ka Zehar Piya Tha..!!

Kaise Guzri Woh Gum Ki Raat, Mat Pucho Humse,
Ek Tute Dil Ne, Apne Zakhmo Ko Phir Siya Tha..!!

Shireen Hakani




Bahut Bahut Aur Bahut Khooob Shireen Jee...

Sach Kahoon To Aapko Dard mein Likhte Kar Dekh Kar As A "Poet" Mujhe Acha laga Kyunki Jo Insaan Zindagi Ki har Tasveer Ko Lafzon Mein Utaarna Jaanta Hai Meri Nazar mein Wahee Shayar-Shayara Hai.. Aapne Ba-khoobhi Dard Ko lafzon Mein Utaara Hai ..Dil Se Daad.... Waise To Har Ek Ashaar Lajawab Hai Par mujhe Khaas Taur par yeh Ashaar Dil Ko Chuu gaya Kyunki Kisi Ke Intezaar Ki Hadd Darshayi Hai Aapne Iss Ashaar mein..



"Be-Khabar Rahe Woh Meri Tanhai Ki Dastaan Se,
Ek Intezaar Ki Shaam Ne, Judai Ka Zehar Piya Tha..!!




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: December 08, 2012, 03:30:42 PM »
Applause Applause Applause
Logged
prashad
Guest
«Reply #8 on: December 09, 2012, 01:23:04 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: December 09, 2012, 02:30:07 AM »
superb
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #10 on: December 09, 2012, 09:57:24 AM »
wah kya baat hai, very nice...
behad khoobsurat...
aap ke naam ek rau meri aur se...

Thanq so much Ritesh Jee!!!
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #11 on: December 10, 2012, 06:22:49 PM »
Thanq so much Ritesh Jee!!!
you are most welcome ji...Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:12:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer