Ek Tarfa Pyar

by Meena on January 24, 2005, 05:07:49 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 36874 times)
Meena
Guest
Ikrar karne se pehle hi humne udasi ka jam pi liya hai,
Jab jana ke unone kab ka kisi aur ka pyar pa liya hai,
Hum kyu nahin samajhte ke mohabbat mere naseeb me nahin,
Jo aaj phir se rah-e-ishq ko azma liya hai?

Pyar nahin to dosti hi sahi, unka saath hi to chahate hai,
Par kyu unse bar bar mil kar hum yuh gabrate hai,
Chahat ke phool to khilte hai roz hi magar,
Hume une dil me ek raaz ki tara chupate hai!

Si liye hai hoonth, band kar li hai ankhen,
Aise hi aab wafa-e-dosti adat karte hai,
Duaon me mangi unki kushi aur salamti,
Par khud aab roz gut gut kar marte hai!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2005, 05:13:01 PM »
ek Taraf payar aor ek taraf inkaar hai
kayun suchy payar ke yah halaat hai
ek taraf milan to kuch pal mai judaai hai
mere khuda duhaai hai duhaai hai!!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2005, 05:17:57 PM »
wahhhhhhh pooja sis!!!!!

pyar ek tarfa hi sahi par pyar to pyar hai,
aab yeh na kaho ke pyar ki bhi koi jaat (cast) hai!
Logged
pandit
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2005, 05:26:03 PM »
Quote from: "Pooja"
ek Taraf payar aor ek taraf inkaar hai
kayun suchy payar ke yah halaat hai
ek taraf milan to kuch pal mai judaai hai
mere khuda duhaai hai duhaai hai!!!!


very nice  poojaji..
sacche pyaar ka imtehaan q lete hai log,
hum pyaar bina reh nahi sakte ,
ye q nahi samajhte hai log,
jab jaante hai ki hum maan nahi sakte ,
to q hum deewano ko aajmaate hai log.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2005, 05:46:52 PM »
payar ko ajmaaya baar baar jata hai
kayun ki ajmmayish logo ke liye khail ban gai hai
is khail mai wo dil bahlaaty hai
aor bhole log na jaane kayun baar baar
un logo ke liye apna dil jalaty hai!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: January 24, 2005, 06:35:12 PM »
Quote from: "Meena"
Ikrar karne se pehle hi humne udasi ka jam pi liya hai,
Jab jana ke unone kab ka kisi aur ka pyar pa liya hai,
Hum kyu nahin samajhte ke mohabbat mere naseeb me nahin,
Jo aaj phir se rah-e-ishq ko azma liya hai?

Pyar nahin to dosti hi sahi, unka saath hi to chahate hai,
Par kyu unse bar bar mil kar hum yuh gabrate hai,
Chahat ke phool to khilte hai roz hi magar,
Hume une dil me ek raaz ki tara chupate hai!

Si liye hai hoonth, band kar li hai ankhen,
Aise hi aab wafa-e-dosti adat karte hai,
Duaon me mangi unki kushi aur salamti,
Par khud aab roz gut gut kar marte hai!


Very nice Meena ji,

Apne pyar ko yu tum badnaam na karo,
Iss pyare ehsas ko yu ruswa na karo,
Mil jaye jo muhabbat to kya bada hua,
Amar wahi hue hai jo nakam hue hai.
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: January 24, 2005, 07:07:02 PM »
thanx creator ji!
niceeeeeeee!!

amar hone ki chaha nahin agar mil jate mohababt kuch ghadiya,
ruswa to hum une karenge nahin kabhi, chahe beet jaye hazaro sadiyan!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 24, 2005, 07:29:19 PM »
Nice thycreator and Meena!!
Logged
stalin
Guest
«Reply #8 on: January 25, 2005, 11:12:49 AM »
"ruswa hue to ishq me kuchh kaam kar gaye
  barbaadi ke saath bada nam kar gaye"
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: January 25, 2005, 11:28:01 AM »
Quote from: "Meena"
Ikrar karne se pehle hi humne udasi ka jam pi liya hai,
Jab jana ke unone kab ka kisi aur ka pyar pa liya hai,
Hum kyu nahin samajhte ke mohabbat mere naseeb me nahin,
Jo aaj phir se rah-e-ishq ko azma liya hai?

Pyar nahin to dosti hi sahi, unka saath hi to chahate hai,
Par kyu unse bar bar mil kar hum yuh gabrate hai,
Chahat ke phool to khilte hai roz hi magar,
Hume une dil me ek raaz ki tara chupate hai!

Si liye hai hoonth, band kar li hai ankhen,
Aise hi aab wafa-e-dosti adat karte hai,
Duaon me mangi unki kushi aur salamti,
Par khud aab roz gut gut kar marte hai!


wow........ bahut ache
yaar aap sab hi bahut acha likhte hain


Kisi ki kishtiyon ko kinara nahin milta,
Kisi ko dhoodne se sahara nahin milta,
logo ki khushiyan bhi apni
Hamaien to gham bhi hamara nahin milta.
Logged
stalin
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2005, 11:43:37 AM »
"aadtan tumne kar diye wade aadtan humne aitbaar kiya
 teri rahon mein baar-baar rukkar maine apna hi intejar kiya"
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2005, 11:48:16 AM »
nice one stalin
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2005, 11:48:57 AM »
Ho Chuki Mulakat Abhi Salam Baki hai,
Apke naam ki do Ghut Sarab Baki Hai,
Apko Mubarak Ho Khusiyon ka Samiyana,
Mere Nasib mein abhi do gaz jamin baki hai.(nm)
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #13 on: January 25, 2005, 11:56:19 AM »
"terey sang ek omer betaney ko jee chahta hey
her gharee tera dedar kerney ko jee chahta hey
her molakat mien tojh sey bechartey waqt
khoob jee bhar ker roney ko jee chahta hey
yeh kesa ek tarfa pyar tha jo mien ney kya
bin terey mar janey ko jee chahta hey
zaroore to nahien mien mohabat ka ezhar karoon
khamoshee bhi koi cheez hey bataney ko jee chahta hey
gazal samgh ker jissey loog sun rahey hien sehar
yeh meri hakekat-e-zindagee hey bataney ko jee chahta hey''


nm
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: January 25, 2005, 03:39:45 PM »
Quote from: "Meena"
thanx creator ji!
niceeeeeeee!!

amar hone ki chaha nahin agar mil jate mohababt kuch ghadiya,
ruswa to hum une karenge nahin kabhi, chahe beet jaye hazaro sadiyan!


Wah Meena ji,

Mohabbat bhi milegi tumko issi jahan mein mere humdum,
Dunia mein aaj bhi wafadar saans lete hai,
Tumhari wafa pe hame kya, khuda ko bhi shaq nahi,
Ye aur bat hai ki hum teri wafa ke hasil nahi.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:39:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer