ek tootta rishta

by salil2002 on November 07, 2008, 02:51:51 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 774 times)
salil2002
Guest
jab kii thi mohabbat toh batlaya tha sabne
sambhal kar khelna log haar jaate hain

par mera kabhi na ittefaaq tha is baat se
socha jo dil se khelte hain woh jeet jaate hain

magar ek khwaab reh gaya hai aaj barson k baad
kii chen aur sukoon ab haasil nahin hota

oose nahin pasand hai meri koi bhi baat
kehti hai kaash main ooski zindgi main shaamil nahin hota

har ek baat par ladte hain hum aur
 phir woh rote huye so jaati hai

tab main kosta hoon khud ko
aur raatein oose dekh kar gujar jaati hai

main wafa karta hoon oose yakeen nahin is baat ka
zindgi ab aise ek mod par nazar aati hai

kii hain raaste bahut jahan magar
woh sadak nahin jo manzil ko jaati hai

meri yeh takleef hai kii main uske bin reh nahin sakta
magar yeh bhi sach hai yeh rishta ab chal nahin sakta

phir bhi log kehte hai yeh kyun
kii woh mere bin main oosse alag reh nahin sakta
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rishta by Pooja in Critics and Review only Forum
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai by jaffartaufique in Shayri for Khumar -e- Ishq
*** RISHTA*** by ALONE BAD in Shayri-E-Dard
Rishta... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~~~Dil Ka Rishta~~~ by Ravinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: November 07, 2008, 03:37:06 PM »
Bahut Bahut Khoob Salil ji...

aapne dard bhari nazm likhi hai..bahut ache.. Applause Applause Applause Applause

Khamosh rehte ho yuh,
Apne Ansuo se bhagawat kyon nahi karte??


Bechain se dikhte ho,
Shikayat kyon nahi karte??


Maana humne ke yuh zindagi jeena asaan Nahi,
Par apne mehboob se juda hokar
 jeena bhi to jeena nahi!!!


apne dil mein phir woh mohabbat zinda karke,
 pahunch jaana unke dar par,
Phir kehna unse,khade hai dar par tere,
Ab Inaayat kyon nahi karte...."










Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: November 07, 2008, 06:39:19 PM »
Bohot Khoob Salil, Khwaish Applause Applause Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2009, 06:41:24 AM »
Bahut Bahut Khoob Salil ji...

aapne dard bhari nazm likhi hai..bahut ache.. Applause Applause Applause Applause

Khamosh rehte ho yuh,
Apne Ansuo se bhagawat kyon nahi karte??


Bechain se dikhte ho,
Shikayat kyon nahi karte??


Maana humne ke yuh zindagi jeena asaan Nahi,
Par apne mehboob se juda hokar
 jeena bhi to jeena nahi!!!


apne dil mein phir woh mohabbat zinda karke,
 pahunch jaana unke dar par,
Phir kehna unse,khade hai dar par tere,
Ab Inaayat kyon nahi karte...."











Bohot Khoob Salil, Khwaish Applause Applause Applause
khwahish bhai and talat di thanks a lot

aap dono ne meri is poem ko pasand kiya uske liye thanks
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:20:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer