~~~~~~Ek wo shakas~~~~~~

by Pooja on March 23, 2006, 06:53:20 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 14
Print
Author  (Read 9626 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: March 23, 2006, 10:50:48 PM »
Na aise kisi ka dost juda ho
Na aise kisi ko bhi mout aye
Ek kanta zindagi bhar chubhata raha
Lahoo mere jakhamo se, din raat rista raha

Na kabhi araam ayya, na hi kabhi ayega
Ek wo chehra payaara sa, zindagi bhar rulayega!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 23, 2006, 10:51:08 PM »
Kayun wo aise ho gaya, aise to hona na tha’
kayun wo kho gaya, usko aise to sona na tha
Ankhon mai liye Barsaat, Dil kahin toot gaya
Uth gaya khud se bharosa, sath jo tera choot gaya!!!
Logged
jugnu
Guest
«Reply #17 on: March 24, 2006, 10:01:42 AM »
wah Pooja ji !! sach mein bahut accha likhti hain aap !! maine aap ki kain post padhi hain !! aapki shayari mein har rang dekhne ko milta hai ! sada yoon hi likhte rahiye !!
aapki post mein do line post kar raha hoon agar pasand na aaye to muaf kijiyega !

Aansoo na ab bahao meri mazaar pe eh sanam
baad muddat ke sakoon se so raha hoon main

zakham jitne teri chahat se mile the mujhko
nahin unka koi gila ke ab so raha hoon main

tere siva kuch or na chaha tha kabhi dil ne
tera bhi sath na mila ab so raha hoon main

umar bhar dekha jo ek khawab woh ab toot gaya
ab koi khawab na dikha ab so raha hoon main

hui muddat ke bhool gaya sara zamaana mujhko
ab tum bhi bhool jao ke ab so raha hoon main

kaun louta hai koun loutega yahan se "jugnu"
ab mujhko na tu bula ke ab so raha hoon main
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #18 on: March 24, 2006, 11:01:18 AM »
Quote from: "Pooja"
Bikhare hui wo yaande
Is bikhari zindagi mai, phir se chai
Kaise samjhau Pooja tujko
Meri khud ki samjh main na aai!!

Jo bhi hua wo kismat, kayun teri samjh na ayya
Jaanbujh kar to tune, usko nahi marwaya
Phir kayun ajj bhi, khud ko gunhgaar tune paya
Kayun ajj bhi chal rahi hai, lekar uska saaya!!

Kaise mai bhoolu, wo bari bari ankhein
Hath pakar kar maine tha usko chardna sikhaya
Wo uska hansna, wo uska muskurana
Yaad aa raha hai, wo akhiri pal, jo tha sath bitaya!!

A dost ajj bhi tu, iss dil mai rahta hai
Tarap rahi hu main, aor yah dil kahta hai
Maaf mujko karna, jo maine vachan tha sunaya
Nahi chahiye mujko yah ankhein, kayun tu laut kar na ayya!!!

Sorry dosto, ajj ek saheli ki bahoot jayada aa rahi hai, yah sab ussi ke liye hai… majak mai ek din maine kah diya tha ki apni yah bari bari ankhein mujko de de, aor usne kaha tu kahe to abhi mar jaau.. aor usi din wo accident mai sabko chor kar chali gai…. Kisi ne jab ajj yah pucha ki pata hai kon sa din hai ajj….. mujse raha nahi gaya aor maine yah sab likh diya….


oh........  bahot  dukh hua  yeh jaan kar  sis.............  isko  kya kahen...shayad  yeh  ittifaq   hai......  ya  kuch  aur.  sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: March 24, 2006, 03:00:08 PM »
Thanks Aryaan!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: March 24, 2006, 06:54:49 PM »
Thanks Jugnu!! Jo dil mai atta hai wo kalam likh jaati hai. Apko acha laga, yah par kar muje bhi acha laga!! apki poem ke jawab mai kuch likh rahi hu:

Anssoo se ab yah rishta ho gaya hai
Apne hi nahi, doosre ke dard per bhi, bah jaaty hai
Jee rahe hai kuch is tarah se,
Her gum ko apna kiye jaaty hai!!

Zakham milty hai chahat se
Suna karty thy kabhi hum bhi
Ajj sunaane walo mai
Khud ka naam bhi likhy jaaty hai!!
Muddat se tum so rahe ho
Phir bhi mere dil se bol rahe ho
Mana laut kar anna hai mushkil
Per tumko bhool pana hai namumkin!!!
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #21 on: March 24, 2006, 10:13:08 PM »
Quote from: "jugnu"

Aansoo na ab bahao meri mazaar pe eh sanam
baad muddat ke sakoon se so raha hoon main

zakham jitne teri chahat se mile the mujhko
nahin unka koi gila ke ab so raha hoon main

tere siva kuch or na chaha tha kabhi dil ne
tera bhi sath na mila ab so raha hoon main

umar bhar dekha jo ek khawab woh ab toot gaya
ab koi khawab na dikha ab so raha hoon main

hui muddat ke bhool gaya sara zamaana mujhko
ab tum bhi bhool jao ke ab so raha hoon main

kaun louta hai koun loutega yahan se "jugnu"
ab mujhko na tu bula ke ab so raha hoon main






behtareen likha hai aapne jugnu ji

 shamme na jalao ki ab so raha hoon mein
aas na lagao ki ab so raha hoon meiin
rahein tak kar kya hai haasil
khud ko samjhao ke ab so raha hoon mein
haqeeqat ki kasauti se dar lagta hai
khwab na dikhao ke ab so raha hoon mein

waqt ki chot badi hi sanjeeda hai
ki kehta hoon ki ab so raha hoon mein
par tumko bhi hain maloom ae humnawaaz
ki tanhai mein ab ro raha hoon mein
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: March 24, 2006, 11:29:38 PM »
Quote from: "izhaarkeintzaarmein"
Quote from: "Pooja"
Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya

Kahta hi raha, mai chala jauga ek din
Kis tarah se wo, apni baat nibha gaya

Dil mai thi muhobaat, chup magar rahi
Maine ajmaaya usko, wo mujko ajmaa gaya

Barsati hai yah nigahe, tarapti hai yah ahein
Khud ko mitta kar wo, muje zinda lash bana gaya

Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya



adaab pooja ji main bade arse se aapki shayri ka mureed raha hoon aaj pehli dafa aapki khidmat mein kuch pesh kar raha hoon

main aaj bhi wohi shaks hain jo tumko chahta tha
teri ek aansoo par qayamat dha jata tha

mere hathon ki lakeerein sirf tumhari dar tak hi to jati hai
yoon roothne ka ilzam dekar hume paraya na karo
hamari to antim saanse bhi aapko manane mein hi guzarne wali hai


Good one izhaarkeintzaarmein!!! shukariyan apko meri likhi kavita pasand aii!! Sorry muje Mureed ka matlab nahi malum. MERI URDU ITANI ACHI NAHI HAI!!
Logged
jugnu
Guest
«Reply #23 on: March 25, 2006, 07:40:28 AM »
Thanks Pooja ji !! bahut khoobsurat lines likhi hain aapne !!

Izhaar Ji bahut bahut sukriya aapki is zarra nawazi ke liye !! aap ne bhi
bhaut achha likha hai !!

kaise kah doon ke tanha kati zindagi apni,
tum sath na hoke bhi mere sath the har pal !

jo lamhe tere sath gujare the kabhi maine,
un lamhon ki bahaar mere sath rahi har pal !

jo saawan tum chod gaye the in do aankhon me,
us saawan ki barsat mere sath rahi har pal !

tum jo gaye chod kar to loute na phir kabhi,
mere dil ko raha hai tumhara intzaar har pal !

kaise kah doon ke tanha kati zindagi apni,
tum sath na hoke bhi mere sath the har pal !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #24 on: March 26, 2006, 04:42:30 AM »
pooja ji aapke dard per ansoo nikal aaye hai.... kaaash koi aisa koi aisa sabd hota jo aapko sukoon de sakta. kaash koi aisa jariya hota jo aapka dukh kam ker sakta. per humari pahuch bahut choti si hai jo waqt se nhi lad sakti aise hi samay mein hum hum aapne aapko bemaana sa samajhtein hai.us khuda ke aage kisi ka koi zor nhi chalta. lag kahtein hai jo hota hai aache ki liye hota hai lekin yadi ye aacha hai mujhe aapne kisi bhi dost ki aachai nhi chahiye. per aap aapne aapko gunahagaar naa mane ye to sabse takatwar sakqs ki margi thi jo aapko her pal is zaher ko peeker jeene ko kah raha hai.
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #25 on: March 26, 2006, 07:04:08 PM »
chupke chupke dheere dheere  is dil mein sama gaya koi
khabar bhi na hui aur mujhko jhudka kar gaya koi
jiski khatir hum lade kiski khatir hum padhe <ji haan padhe bhi lol >
thamkar kisi aur ka daman bhi mujhko jeena sikha gaya koi

ye sher us pagal si ladki ko samarpit hai jisko paane ki chah mein maine khud ko sawara aur jab socha ki ab is layak hai ki unse baat kar sake to unhone kisi aur ka daman pakad liya
Logged
Nino
Guest
«Reply #26 on: March 26, 2006, 08:41:14 PM »
Quote from: "Pooja"
Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya

Kahta hi raha, mai chala jauga ek din
Kis tarah se wo, apni baat nibha gaya

Dil mai thi muhobaat, chup magar rahi
Maine ajmaaya usko, wo mujko ajmaa gaya

Barsati hai yah nigahe, tarapti hai yah ahein
Khud ko mitta kar wo, muje zinda lash bana gaya

Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya





wah pooja ji bahoot khoob
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: March 26, 2006, 08:56:53 PM »
Quote from: "BHONDU"
pooja ji aapke dard per ansoo nikal aaye hai.... kaaash koi aisa koi aisa sabd hota jo aapko sukoon de sakta. kaash koi aisa jariya hota jo aapka dukh kam ker sakta. per humari pahuch bahut choti si hai jo waqt se nhi lad sakti aise hi samay mein hum hum aapne aapko bemaana sa samajhtein hai.us khuda ke aage kisi ka koi zor nhi chalta. lag kahtein hai jo hota hai aache ki liye hota hai lekin yadi ye aacha hai mujhe aapne kisi bhi dost ki aachai nhi chahiye. per aap aapne aapko gunahagaar naa mane ye to sabse takatwar sakqs ki margi thi jo aapko her pal is zaher ko peeker jeene ko kah raha hai.


kisi pal skoon nahi
kisi soch mai dum nahi
her pal yah jakham sath chalta hai
kaise badal du apna wo kal,
her pal yahin kashmkash chalta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: March 26, 2006, 09:01:45 PM »
Quote from: "izhaarkeintzaarmein"
chupke chupke dheere dheere  is dil mein sama gaya koi
khabar bhi na hui aur mujhko jhudka kar gaya koi
jiski khatir hum lade kiski khatir hum padhe <ji haan padhe bhi lol >
thamkar kisi aur ka daman bhi mujhko jeena sikha gaya koi

ye sher us pagal si ladki ko samarpit hai jisko paane ki chah mein maine khud ko sawara aur jab socha ki ab is layak hai ki unse baat kar sake to unhone kisi aur ka daman pakad liya


khabar hi na hue, kismat wo khel khila gai
na chaha jo kabhi, wo hadsa dikha gai
palt sakti shayad kisi tarah se mai
apni bebsi per, khoon ke ansoo bahati rah gai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: March 26, 2006, 09:06:22 PM »
Quote from: "jugnu"
Thanks Pooja ji !! bahut khoobsurat lines likhi hain aapne !!

Izhaar Ji bahut bahut sukriya aapki is zarra nawazi ke liye !! aap ne bhi
bhaut achha likha hai !!

kaise kah doon ke tanha kati zindagi apni,
tum sath na hoke bhi mere sath the har pal !

jo lamhe tere sath gujare the kabhi maine,
un lamhon ki bahaar mere sath rahi har pal !

jo saawan tum chod gaye the in do aankhon me,
us saawan ki barsat mere sath rahi har pal !

tum jo gaye chod kar to loute na phir kabhi,
mere dil ko raha hai tumhara intzaar har pal !

kaise kah doon ke tanha kati zindagi apni,
tum sath na hoke bhi mere sath the har pal !!



Thanks Nino and Bahoot khoob Jugnu!!! bahoot hi acha aor sucha likha hai apne!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 14
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 12:34:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer