~~~~~~Ek wo shakas~~~~~~

by Pooja on March 23, 2006, 06:53:20 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14
Print
Author  (Read 9757 times)
Aryaan
Guest
«Reply #150 on: May 11, 2006, 02:53:35 PM »

Teri khushboo ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hawa karti hai

Shab ki tanhayi mein ab tau aksar
Guftagoo tujh se raha karti hai

Dil ko uss raah pe chalna hi nahi
Jo mujhe tujh se juda karti hai

Zindagi meri thi lekin ab tau
Tere kehne mein raha karti hai

Uss ne dekha hi nahi warna yeh aankh
Dil ka ehvaal kaha karti hai

Shaam parhte he kisi shakhs ki yaad
kuchaa-e-jaan mein sada karti hai

Abr barse tau inaayat uss ki
Shaakh tau sirf dua karti hai

masla jab bhi utha charagon ka
Faisla sirf hawa karti hai...



nm
Logged
manu1979
Guest
«Reply #151 on: May 11, 2006, 02:57:30 PM »
Quote from: "Pooja"


Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya

Kahta hi raha, mai chala jauga ek din
Kis tarah se wo, apni baat nibha gaya

Dil mai thi muhobaat, chup magar rahi
Maine ajmaaya usko, wo mujko ajmaa gaya

Barsati hai yah nigahe, tarapti hai yah ahein
Khud ko mitta kar wo, muje zinda lash bana gaya

Mujh se rooth kar mujko rula gaya
Ek wo shakas, nas nas mai sama gaya


bahut achhe pujaa ji mai is mai kuchh lines add karta hu

Jisko bhulne mai mujhe zamaane lage
Vo rafaaqut barso ki pal mai bhula gaya

Dil mai daba rakhe the jazbaat arsaa se
Mere dil ko chho kar sab vo jagaa gaya

Umrabhar jo nigaah se meri chaalke nahi
Apni aankho se vo ashq sab baha gaya

shayad aap ko pasand aayegi,aap jitna khubsurat to nahi likha hai
 regards
,manu
Logged
Pooja
Guest
«Reply #152 on: May 11, 2006, 02:57:43 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Aryaan ji!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #153 on: May 11, 2006, 03:00:05 PM »
Bohat shukriya Pooja...
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #154 on: May 11, 2006, 03:22:42 PM »
hi pooja ji mai aapke is kalaam ko aage likhta hu shayad aap ko pasand aaye

Jisko bhulne mai mujhe zamaane lage
Vo rafaaqut barso ki pal mai bhula gaya

Dil mai daba rakhe the jazbaat arsaa se
Mere dil ko chho kar sab vo jagaa gaya

Umrabhar jo nigaah se meri chaalke nahi
Apni aankho se vo ashq sab baha gaya

meri zindagi se taareek-e-gam hatane ko
vo khwaab apne hi raaho mai jalaa gaya

hope u like d same
regards
manu
Logged
Pooja
Guest
«Reply #155 on: May 11, 2006, 03:32:59 PM »
MANU APKI KAVITA PAD KAR JO MAN MAI AYYA WO HI LIKH RAHI HU:

Kahan kab kise bhoola jaata hai
Bas ek dhundhlapan sa aa jaata hai

Dil mai dabi rahti hai ek chingaari
Waqat, be-waqat, shola sulag jaata hai

Ashaq jo bahty rahy, samunder ban kar
Us per bhi dil ko kabhi sakoon atta nahi

Meri zindai, dard-e-kitab ban kar rah gai
Jise wo kabhi padne bhi atta nahi
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #156 on: May 11, 2006, 04:52:29 PM »
Quote from: "Pooja"

Kahan kab kise bhoola jaata hai
Bas ek dhundhlapan sa aa jaata hai

Dil mai dabi rahti hai ek chingaari
Waqat, be-waqat, shola sulag jaata hai

Ashaq jo bahty rahy, samunder ban kar
Us per bhi dil ko kabhi sakoon atta nahi

Meri zindai, dard-e-kitab ban kar rah gai
Jise wo kabhi padne bhi atta nahi


bahut aache pooja ji,

Kisi ko dil ki gahrai mri mein basa ker bhulaya nhi jaata.
uski yaadein to aakhri saans tak rahegi ye dhundlapan hataya nhi jaata.

dabi hui chingari hi shola banti hai.
bina chingari ke shola banaya nhi jaata.

ashq bahana to humari fidrat ban gayi hai.
ashqon ke bahane se sukoon paya nhi jaata.

zindgi ki kitaab jo likhi hai khuda ne
ye kitaab sabhi ko padhaya nhi jaata.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #157 on: May 11, 2006, 05:09:39 PM »
wah kaya baat hai!!!! bahoot khoob janab!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #158 on: May 18, 2006, 04:38:01 PM »
pooja ji jub tak aap koi karara sa jawaab nhi deti ho tab tak mazza nhi aata hai.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #159 on: May 20, 2006, 11:10:42 PM »
palat kar jab bhi zindagi ko dekha
dard ki ek lakeer ko hi dekha
umar ke sath sath chalty chalty
pal pal usko badty hi dekha

ab to adat si ho gai hai dard sahne ki
apne hi jakhmo mai dub kar rahne ki
khamosh tanhaai mai ab dil lagta hai
na pukare koi, nigah uthane se bhi dil darta hai
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #160 on: May 22, 2006, 05:11:12 AM »
apne hi saye se lipat kar rona chahti hu
door kahin door jakar khud ko khona chahti hu

apno se mile itne jakham ki koi ab apna na ho
toot gaye sab sapne, ab koi ankhon mai sapna na ho

band kar ankhon ko, bas ab sona chahti hu
apne hi saye se lipat kar rona chahti hu.....
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #161 on: May 23, 2006, 01:31:41 AM »
Quote from: "Pankhuri2"

palat kar jab bhi zindagi ko dekha
dard ki ek lakeer ko hi dekha
umar ke sath sath chalty chalty
pal pal usko badty hi dekha

ab to adat si ho gai hai dard sahne ki
apne hi jakhmo mai dub kar rahne ki
khamosh tanhaai mai ab dil lagta hai
na pukare koi, nigah uthane se bhi dil darta hai


palat ker jub bhi aapne zindgi ko dekha.
dard ki us lakeer mein aaj bhi main khada hu.
zindgi ke saath saath tum aage nikal gayi
dekho aaj bhi tere intzaar main wahi pada hu

aab to aadat si ho gaye hai tere intzaar ki.
tu aayegi kabhi to shayed ye mera bharam hai.
per teri ibaadat mein sajde kerna
ab to bas yahi mera dharam hai.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #162 on: May 25, 2006, 05:16:09 AM »
wah kavi dost, kay akhoob likha hai apne!!!

Sajde na karo ki dil toot jayega
iss toote dil se, kisi ka bharm bhi na rakha jayega
kab kis disha mai chal de, yah nahi janta
bikhra is kadar ki, ab kisi ko apna nahi manta
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #163 on: May 26, 2006, 09:39:23 AM »
Quote from: "Pankhuri2"

Sajde na karo ki dil toot jayega
iss toote dil se, kisi ka bharm bhi na rakha jayega
kab kis disha mai chal de, yah nahi janta
bikhra is kadar ki, ab kisi ko apna nahi manta



sajde kerte hai unke liye jinko aapna jaante hai.
dil se dil ko aapna maante hai.
isliye dil aaj bhi unke aane ka bharam kerta hai.
unki her saas mein jeeta hai unki her saas mein marta hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #164 on: May 26, 2006, 02:52:45 PM »
wah kaya baat hai Kavi dost!! bahoot khoob!!

na karo aise baaty ki dil darta hai
payaar ka matlab yah dil bakhubi samjhata hai
toote mujse kisi ka dil yah Pooja ko manjoor na hoga
magar jo hai is dil-e-mandir mai, wo kabhi is dil se door na hoga
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:58:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer