~~~~~~Ek wo shakas~~~~~~

by Pooja on March 23, 2006, 06:53:20 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14
Print
Author  (Read 9602 times)
rajrishi
Guest
«Reply #180 on: August 26, 2007, 12:53:45 PM »
bahut acha pooja ji, gajab likhti hain aap, bahut badiya

 Umar gujar di humne mohabbat ki ibadat mein,
 Dikha jo aks iska to hamara kuch bhi na raha.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #181 on: August 26, 2007, 03:30:45 PM »
Raj ji apki shayri pardi hai, app bhi bahoot acha likjte hai, yaha sath dene ka shukaria....

Ahsa hai aise hi sath milta rahega... bahoot acha likha hai apne...

Apne gumo main kaha kisi aor ka gum najar atta hai
Apne hi gumo se, dum ghoota jaata hai

Kab dekhu , kaise dekhu kisi aor ka gum e-dost
Apne hi gumo se kaha hosh mujhe rah jaata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #182 on: June 18, 2008, 07:32:53 PM »
Ajj phir ek baar wo sab najaro ke samne aa gaya...

E dost aaj bhi tera ahsaas hai
sath nahi mere, magar dil ke bahoot pass hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #183 on: November 04, 2008, 06:45:35 PM »
jab bhi anjaane main yah thread samne ayya hai
dil ko bahoot yaad aai teri,
ek pal ko bhi na maine tujhe bhulaya hai!

waqat ka chalta raha pahiya
her pal yaadon main tujhe basaya hai
jab bhi suni kisi ke marne ki khabar
ek tera hi chehra her baar samne ayya hai

thi tu pyari sakhi meri,
dil main sada tujhe basaya hai
roi hai ajj phir ankhia meri
teri ankhon ne dekh, kaya haal mera banaya hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #184 on: November 04, 2008, 08:50:12 PM »
jab bhi anjaane main yah thread samne ayya hai
dil ko bahoot yaad aai teri,
ek pal ko bhi na maine tujhe bhulaya hai!

waqat ka chalta raha pahiya
her pal yaadon main tujhe basaya hai
jab bhi suni kisi ke marne ki khabar
ek tera hi chehra her baar samne ayya hai


thi tu pyari sakhi meri,
dil main sada tujhe basaya hai
roi hai ajj phir ankhia meri
teri ankhon ne dekh, kaya haal mera banaya hai!!


Meri is poem main do lines ne kisi ko bahoot preshan kar diya ki main aise kaise likh sakti hu, koi dushman ke liye bhi aise na likhe. Jab maine kaha ki is thread ke pahle do page parro to sab samjh aa jayega. uss insaan ne history padne se mana kar diya aor kaha ki her ek share ki apni life hoti hai.
Bilkul sahi kaha dost apne.. magar mai koi shayra nahi hu.. ek bahoot he sadharan insaan hu jo apni bhawnao ko bahoot he sadharan shabdo main likhti hu.

Khair wo do lines yah hai:

jab bhi suni kisi ke marne ki khabar
ek tera hi chehra her baar samne ayya hai


yah Thread maine apni ek sehali ki yaad main shuru ki thi jo is dunia ko 15 saal ki umar main he alvida kah gai thi. is liye jab bhi kabhi kisi ke marne ki khabar atti hai, meri yaadon main meri is saheli ki yaadein taja ho jaati hai. Wo jin halato main humara sath chorr kar gai wo jab bhi yaad atta hai dil bahoot rota hai.. magar yahi akar insaan bebas ho jaata hai..

maine yah sab iss liye likha ki agar ek insaan ke man mai in Lines ko laker sawal ayya hai, to ho sakta hai ki aoro ke bhi man mai sawal ayye.. kyun ki agar apne is thread ke pahle do page nahi parre, to shayad apko baad ki likhi kavitaye itani samjh nahi ayye!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #185 on: November 11, 2008, 11:03:15 AM »
Bahoot Badhiya Pooja Sis,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #186 on: November 11, 2008, 04:49:42 PM »
Thanks lil bro
Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #187 on: November 11, 2008, 06:12:51 PM »
POOJA JI.BAHUT KHOOB ANDAAZ MEIN Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #188 on: November 11, 2008, 06:26:02 PM »
Thanks Taheer ji!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #189 on: July 13, 2009, 05:19:46 PM »
Waqai Bahut Dard Hai Pooja Ji aapki Is Thread me.. Aaj Pahali Baar is Thread par Nazar gai.. Jiski Har Ek Rachna Ne Dil Ke Taaron Ko Ched diya..!!

Apni Friend Ki Yaad Me aapne jo Alfaaz Yahan Likhe hain.. Waqai Bahut dard Bhare hain..! Bahut Bahut Khooooooooob... Applause Applause


Daad Kubool karen is Dost ki..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pooja
Guest
«Reply #190 on: August 11, 2009, 09:29:35 PM »
Waqai Bahut Dard Hai Pooja Ji aapki Is Thread me.. Aaj Pahali Baar is Thread par Nazar gai.. Jiski Har Ek Rachna Ne Dil Ke Taaron Ko Ched diya..!!

Apni Friend Ki Yaad Me aapne jo Alfaaz Yahan Likhe hain.. Waqai Bahut dard Bhare hain..! Bahut Bahut Khooooooooob... Applause Applause


Daad Kubool karen is Dost ki..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

dard to dard hai, dard he dikhlayega
kuch zakhmo ka dard, sanso ke sung he jayega!!

Acha laga ki apko meri yah rachna achi lagi....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #191 on: August 12, 2009, 02:26:07 AM »
Waah Bahoot Bahoot Khoob. Bahoot hi khamosh sa dard basa hai aapki iss thread ki har ak line mea.... bahoot saari ankahi baaton ko . ak gehre dard ko aapne bakoobi sabdo mea utaara hai... bahoot Bahoot Khoob!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #192 on: August 12, 2009, 05:49:40 PM »
Waah Bahoot Bahoot Khoob. Bahoot hi khamosh sa dard basa hai aapki iss thread ki har ak line mea.... bahoot saari ankahi baaton ko . ak gehre dard ko aapne bakoobi sabdo mea utaara hai... bahoot Bahoot Khoob!

waqat ke sath dard khamosh thaher jaata hai
tees ki tarah uth.ta hai kabhi kabhi
ankhon se chalak jaata hai

aai jab bhi yaad uski, khud ka bhi na hosh raha
ajj bhi uska hansta chehra, ankhon mai simat jaata hai

na hui kabhi himmat ki jakar haal bhi puch lu uske gharwalo ka
khud mai soch-soch kar, dum ajj bhi mera ghoot.ta chala jaata hai

waqat ke sath Dard khamosh sa thaher jaata hai
per atta hai jab yaad.... ansoo ke barsaat main nahla jaata hai .......
Logged
salil2002
Guest
«Reply #193 on: August 21, 2009, 11:09:56 AM »
didi aapne bahut bahut bahut achcha liklha hai
sach main har ek lines dil par dastak deti hai di
hats off to u
Logged
salma786
Guest
«Reply #194 on: August 21, 2009, 11:20:18 AM »
App to hamesha se hi khoob likhti hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:07:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer