EK ZID HO TERI AISI

by drpandey on February 25, 2010, 08:12:27 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4323 times)
drpandey
Guest
            EK ZID HO TERI AISI

Ek zid ho teri aisi fusla na sakun main,
Hasrat mein jiye jaun bahka na sakun main.

Bas ek yahi tamanna baqui hai mere dil ki,
Tera zid-e-taquaja farma na sakun main.

Es umr-e-gurezan mein shayad sukun aa jaye,
Tu vada-shikan kahde samjha na sakun main.

Taumr dil-e-hasti ek ranj mein kho jaye,
Chubhta rahe kanta sa sahla na sakun main.

Dr HP Pandey
Allahabad
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Biwi ho to aisi by MøÐëRñ ÐëvDå$ in SMS , mobile & JOKES
aisi hai duniya by bharatkumar in Shairi - E - Zindagi
shikayat ho to aisi ho by Sirf Meri Chahat in Share: Poetry of Pain
Teri aisi haalat mein nahin dekh sakti..... by SURESH SANGWAN in Shayri-E-Dard
Aisi hai kahani teri meri by soudagar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 25, 2010, 08:57:55 PM »
Bohot Khoob Pandey Ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: February 25, 2010, 10:21:51 PM »
Wah bahut hi khoob Pandey ji.marvelous creation.great work. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2010, 03:13:48 AM »
Bohot Khoob Pandey Ji
Bahut bahut Shukriya Celmira Ji aapka, aapne pasand farmaya aur hausla afzai ki..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #4 on: February 26, 2010, 03:17:25 AM »
Wah bahut hi khoob Pandey ji.marvelous creation.great work. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Thanks Madhu Ji, aapne nazar-e-inayat kiya aur khubshurat alfazon se nawaza..bahut bahut shukriya
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: February 26, 2010, 07:20:45 AM »
Kya baat hai Pandey sahab, bahut hi khoobsurat poem likhi hai. Naye andaaz, naye lafaz aur nayi baat ke saath likhi ye poem bahut achhi lagi. Marvelous, sudafreen.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: February 26, 2010, 08:37:11 AM »
Waah Waah bahoot Bahoot Khoob pandey ji !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 26, 2010, 08:56:15 AM »
Mashallah Bohat Achche Dr Pandey Ji,.

Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: February 26, 2010, 09:23:38 AM »
Kya baat hai Pandey sahab, bahut hi khoobsurat poem likhi hai. Naye andaaz, naye lafaz aur nayi baat ke saath likhi ye poem bahut achhi lagi. Marvelous, sudafreen.
Riyaz Sahab aapka tah-e-dil se azhad Shukriya ki aapne meri haqeer si poem ko itni izzat bakshi aur khoobsurat alfazon se nawaza..aapki badi inayat hai..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: February 26, 2010, 09:45:25 AM »
Waah Waah bahoot Bahoot Khoob pandey ji !
Mashallah Bohat Achche Dr Pandey Ji,.

bahut khoob likha hai Pandey ji,awesome
Waah Waah bahoot Bahoot Khoob pandey ji !
Sophi ji, Azeem Ji, @kaash Ji, aap sabhi ka tah-e-dil se sukrgujar hun ki aap logon ne ek haqeer si poem ki itni ijjat afzai ki aur mera hausla badhaya..azhad shukriya aap sabhi doston ka..
Logged
cara
Guest
«Reply #10 on: February 26, 2010, 10:04:17 AM »
WAH KYA BAAT HAI      DRPANDEY JI.....

"EK ZID HO TERI AISI" NAA NA KAR PAI HAM
TERI KHUSHI KE LIYE TOH ZINDA HAI
KYA HOGA GAR MAR BHI JAAYE HAM..

Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: February 26, 2010, 11:04:01 AM »
WAH KYA BAAT HAI      DRPANDEY JI.....

"EK ZID HO TERI AISI" NAA NA KAR PAI HAM
TERI KHUSHI KE LIYE TOH ZINDA HAI
KYA HOGA GAR MAR BHI JAAYE HAM..
Cara Ji pasand farmaney aur khoobsurat alfazon se inayat ke liye aapka behad shukriya...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #12 on: February 26, 2010, 11:36:31 AM »
KHIDMAT HO TERI AISI KUCH BHI LUTA JAAYEN HUM
DAULAT ZINDGI BHAR KI TERE NAAM KAR JAAYEN HUM.

KAUNSI CHEEZ HAI JO HAI MERE LIYE TUJHSE BADHKAR
EK ZINDGI TO KYA HAZAAR ZINDGI KURBAAN HO JAAYEN HUM

Cara Ji pasand farmaney aur khoobsurat alfazon se inayat ke liye aapka behad shukriya...
Logged
drpandey
Guest
«Reply #13 on: February 26, 2010, 02:53:47 PM »
KHIDMAT HO TERI AISI KUCH BHI LUTA JAAYEN HUM
DAULAT ZINDGI BHAR KI TERE NAAM KAR JAAYEN HUM.

KAUNSI CHEEZ HAI JO HAI MERE LIYE TUJHSE BADHKAR
EK ZINDGI TO KYA HAZAAR ZINDGI KURBAAN HO JAAYEN HUM

Bahut khoob kaha Suresh bhai, bahot bahot shukriya...
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #14 on: February 26, 2010, 02:56:55 PM »
Khubsurat ghazal hai Pandey Ji, wah
SARVESH RASTOGI
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:11:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer