FOR MY YO INDIANS FRNDS~~~ SAAHIL

by salil2002 on April 19, 2009, 10:41:08 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 2402 times)
salma786
Guest
«Reply #30 on: April 20, 2009, 02:36:09 PM »
Jazbaato se khelna kehlati nahi hai dosti,
Mohabbat karna or izzat dena hi sikhlati hai dosti,

Khata to hoti hai bas apne dosto se hi,
Gile sikhwe bhulana hi kehlati hai dosti,

Dard to hota hai jab dard apne dete hai,
Par us dard ko mitana hi kehlati hai dosti,

Jo guzra waqt zakhm de gaya dosto ko,
Unhe bhulakar pyaar karna hi kehalati hai dosti,

Jo pachtaye apni galtiyo pe or phir laut aye,
Unhe thukrakar moo phero, ye kehti nahi hai dosti,

Ek parivaar hai hum sab yaha mere dosto,
Beeti baate bhulakar chalo dil se nibhaye dosti!!



I Request every body to forget whatever happened.... N make YOINDIA again a beautiful place with love and respect Thumbs UP

N I just hope People will give respect to each and every individual to get respect!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HELLO FRNDS by muskan_bye in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
hello frnds... by ish_shikha in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
hi frnds... by @kaash in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Wake up Indians by shamima abbas in Share:Patriotic Poetry
hey frnds by ambalika sharma in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #31 on: April 20, 2009, 02:45:05 PM »
Dosti Ki Ye Kahaani Hai, Log  Jab Dosti Karte Hain,.
Dost Ki Maa Behan Ko, Khud Ki Maa Behan Samajhte Hain,.

Phir Kyun Ek Dost Ne Is Baat Ko Bhulaakar,.
Ek Dost Ke Dil Ko Dukhaakar, Use Buraa Bhala Sunaakar,.

Dosti Ka Mayna Badlaa Diya,.

Dosti Hoti Hai, Ek Dost Ke Dil Ko Samajhne Ki,.
Use Thanda karne Ki, Na Ki Aur Ulajhne Ki,.

Allah Khair kare,.


Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: April 20, 2009, 03:39:30 PM »
Galtiyan to dono hi janib hui theen,
Kisi se kam, kisi se zyada hui theen

Takleef to pahunchi hai har ek ko hi
Khataain kisi ki bhi kam nahin theen

Faaida lekin inhe ab dohraane se kya
Beeti baaton pe qalam chalane se kya

Kuredte rahenge yunhi zakhm agar hum
To gehra hi hota jaayega ae dost ye zakhm

Behtar hai bhula den, galat jo bhi hua
Nayi subah ki maanind ho ab siilsila naya

Logged
angel4u
Guest
«Reply #33 on: April 20, 2009, 03:59:08 PM »
I Just want to say...

Is gulshan ko humne bahut armaano se sajaya hai,
har ek sher, har ek lafz jahan dilse aaya hai,

kyon hum tabaah kare iske sukoon ko is qadar,
isne hi to hame nayi pehchan banana sikhaya hai,

is mehfil ki ehmiyat bhi jaante hia hum sab khoob,
phir kyon aapasi jhagdo ne ise yun uljhaya hai,

karein khata to maaf karein, ye ek parivar hia,
YOINDIA ne hi to hamein jazba sikhaya hai,

Mera agar ek bhi lafz galat ho to batayein doston,
kyon humne is gulshan ko chingaari se sajaya hai,

Ab bhi wakt hia sambhal jaaye qadam sabke,
zyada kuch nahi humne bas aapsi pyaar maanga hai...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #34 on: April 20, 2009, 04:08:39 PM »
Aaj dukhi hai Dil , bahoot dukhi hai, Sayad Yoindia ko aise main nahi dekh sakti , na kabi bhi dekhna chati hun......
sayad main yahan mefil mea na byahan na kar sakun !!! Aaj mere ansoon Khuda ki kasam ruk nahi rahe hai...
_________________________________________________ __________

Par khuda se Darkast hai meri
Khuda meri arzi kabool kare...
Rehem Bhakse dono ruh ko yahan
Zannat mile Sabko Khuda khair kare !!!


Ameen!


Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: April 20, 2009, 04:14:23 PM »
Sahi hai sophi, yoindia ko koi bhi aise nahi dekh sakta hai..
Isne kuch aur hi rukh liya hia, aur ye soch ke dil rota hai ke isko wohi log hurt kar rahe hia jo claim karte hia ke YOINDIA IS THEIR FAMILY.
No words left to say now...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #36 on: April 20, 2009, 04:16:25 PM »
Allah Khair Kare, sab Par Reham Ki Nazar daale,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #37 on: April 20, 2009, 04:32:40 PM »
Aaj dukhi hai Dil , bahoot dukhi hai, Sayad Yoindia ko aise main nahi dekh sakti , na kabi bhi dekhna chati hun......
sayad main yahan mefil mea na byahan na kar sakun !!! Aaj mere ansoon Khuda ki kasam ruk nahi rahe hai...
_________________________________________________ __________

Par khuda se Darkast hai meri
Khuda meri arzi kabool kare...
Rehem Bhakse dono ruh ko yahan
Zannat mile Sabko Khuda khair kare !!!


Ameen!

Seene mein ek dard ubalta hai raat ber
Chup chap kisi deep-sa jalta hai raat ber

Mausam ka naag din mein jo fuskarta raha
Reh-reh ke vish ki aag ugalta hai raat ber

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #38 on: April 20, 2009, 04:44:31 PM »
Beh rahi hai sirf aansoon ki daar
Khuda reham bakse , khuda khair kare...
Galat sahi ki kahani nahi rahi ab
Dosti tho teek, Par dusmani koi na kare !!

Jazbaat mea na bahe koi bhi yahan
Khuda reham bakse, Khuda khair kare....
Maaf kare dono ki ruh ak dujhe ko
Allah tala hi ab issbaat ka fisla kare !!

Gir jaaye ab nafrato ki diwaar yahan
Khuda reham bakse , khuda khair kare....
Barkaat aur Jannat Mile sabko yahan
Khuda fir se Khusiyon ki yahan barmaar kare !!
 

Logged
Roja
Guest
«Reply #39 on: April 20, 2009, 04:56:30 PM »
Din ber toh teri yaad ki galiyon mein batakte,
Sapno mein yahi silsila chalta hai raat ber

Aandhi mere kadmon se toh din ber bandhi rahi,
Toofan hai ki man mein machalta hai raat ber

Din ber toh pyas mujhko jalati rahi yahan
Murgjal-sa koyi aankh ko chalta hai raat ber

Din mein toh meri bekali nadiyon ne maang li
Parvat meri saanson se pigalta hai raat ber..

 sad7


Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:47:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer