Four Liners...

by angel4u on July 22, 2007, 06:12:34 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
Print
Author  (Read 10752 times)
angel4u
Guest
«Reply #120 on: August 31, 2007, 07:32:40 PM »

Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera Salaam Liya,
Har Ek Khushi Mein Tere Gam Ki Aabroo Rakha Li,
Har Khushi Se Tere Gam Ne InteQaam Liya...
* * * * *
{NM}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Two Liners... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 30 31 »
~~two liners~~ by tabassum shakeel in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
**2-Liners** by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Some 2 Liners...Jazbaat by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Two Liners by songwriter_123 in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #121 on: August 31, 2007, 07:33:45 PM »

Maut Ki Aarzu Bhi Kar Dekhun,
Kya Ummidein Thi Zindagi Se Mujhe,
Phir Kisi Par Na Aitbaar Aaye,
Yun Utaro Na Apne Jee Se Mujhe...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #122 on: August 31, 2007, 07:36:05 PM »

Nazar Nazar Se Haal-E-Dil Ka Pata Chalta Hai,
Aap Humpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai,
Shama Ke Baad Ye Parwana Kahan Jalta Hai,
Aap Humpe Hai Fida Saaf Pata Chalta Hai...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #123 on: August 31, 2007, 07:38:32 PM »

Chhuti hai zara jab tan ko hawa chubhte hai ragon mein kaante se,
so baar khizayein aayi hongi mehsoos magar is baar hui,
wo naale hai betabi ke chikh uthta hai sannata bhi,
ye dar ki shab malum nahi kab tak ke liye bedaar hui...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #124 on: August 31, 2007, 07:39:57 PM »

Wo Din Jab Hum Door Hue The,
Dil Ke Sheeshe Choor Hue The,
Aag Lagi Jab Dil Ke Ban Mein,
Aaya Na Koi Aag Bujhane...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #125 on: August 31, 2007, 07:41:34 PM »

Likhi Hai Shikastein Itni Jahan Maqtal Mein Wahan Ye Bhi Likh Do,
Kitni Shaam-Sheeree Toot Gayi Kitne Dushmano Ki Haar Hui,
Ab Gair Hawa Kitni Hi Chale Ab Garm Fiza Kitni Hi Rahe,
Seene Ka Zakhm Charag Bana Daman Ki Aag Bahar Hui...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #126 on: August 31, 2007, 07:43:47 PM »

Ye Aadhi Raat Ko Phir Chudiyan Se Kya Khanakti Hai,
Koi Aata Hai Ke Meri Zanjeerein Chhanakti Hai,
Ye Baatein Kis Tarah Main Puchhun Sawan Ke Mahine Se,
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #127 on: August 31, 2007, 07:45:45 PM »
Banoge Dost Mere Tum Bhi Dushmano Ek Din,
Mere Hayat Ki Aah-O-Fugaan Suno To Sahi,
Labon Ko See Ke Jo Baithe Hai Bazm-E-Duniya Mein,
Kabhi To Unki Bhikhamoshiyan Suno To Sahi...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #128 on: August 31, 2007, 07:48:19 PM »

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,
Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #129 on: August 31, 2007, 07:49:16 PM »

Maut Ke Naam Se Darte The Shauq-E-Hayat,
Tune Maar Hi Dala Tha Qaza Se Pehle,
Hum Unhe Paake Aur Bhi Kuch Kho Gaye,
Ye Taqalluf To Na Tha Ehd-E-Wafa Se Pehle...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #130 on: August 31, 2007, 07:51:20 PM »

Angdayi Pe Angdayi Leti Hai Raat Judayi Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhayi Ki,
Kaun Siyaahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjayi Ki...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #131 on: August 31, 2007, 07:52:32 PM »

Ye Kya Jagah Hai Doston Ye Kaunsa Dayar Hai,
Had-E-Nigaah Tak Jahan Gubaar Hi Gubaar Hai,
Ye Kis Mukaam Par Hayat Mujhko Leke Aa Gayi,
Na Bas Khushi Pe Hai Jahan Na Gam Pe Ikhtiyar Hai...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #132 on: August 31, 2007, 07:53:36 PM »

Sab Par Hansa Sheva Tha, Jab Tak Khud Us Par Na The,
Teri Khabar Mil Jaati Thi, Sheher Mein Jab Akbaar Na The,
Pehle Bhi Sab Kuch Bikta Tha, Khwabon Ke Bazaar Na The,
Maut Ki Baatein Pyaari Thi, Marne Ko Taiyaar Na The...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #133 on: August 31, 2007, 07:55:14 PM »

Wo Jo Kisi Ke Pyaar Mein Kho Kar Hi Reh Gayi,
Humko Bhi Hosh Aaye Zamane Guzar Gaye,
Kitne Hi Dukh Hai Jo Kabhi Keh Nahi Saka,
Is Dukh Ko Bhi Chhupaye Zamane Guzar Gaye...
* * * * *
{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #134 on: August 31, 2007, 07:56:55 PM »

Phir Tareeki Ki Khwaab Se Chaunka Hai Rasta,
Phir Roshni Se Door Gayi Hai Shabab Mein,
Paani Nahi Ke Apne Hi Chehre Ko Dekh Lun,
Manzar Zameen Ke Dhundta Hoon Mehtaab Mein...
* * * * *
{NM}
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 11:16:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer