HumTum
Guest
|
Kaffi dino ke baad is bazm mein kuch nya post ker rha hooN!! umeed hai aap sab ko pasand aayega !!
bichra to dard rooh ki gahraiyun main tha ho kay juda bhi tu meri tanhaiyun main tha
deewangee ko meri ishq mantay hain sab ruswa tu bhi saath meri ruswaiyun main tha
ankhon say ansu'on kay sath arman nikal gaye yeh kaisa dard aaj in shahnaiyun main tha
tujh ko pa kay dill ko kabhi chain na mill saka kitna sakoon haaye un judaiyun main tha
fursat milay to dekh kabhi meri samt bhi aasra tha tujh pay teri khudaiyun pay tha
ban kay deewana aaj jo phirta hai darbadar hai yaad kya tujhe tere shaidaiyun main tha
raton say main daroon kay neendon main a na jaye subah bhi meri dhoop ki parchaiyun main tha
"HumTum" tu jis ka naam dill main basaye hai badnaam wo galee galee harjaiyun main tha
Rai ka muntazir !!
HumTum
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 04, 2005, 12:33:15 PM » |
|
wha...HumTum bahi..!!! .... mano dil us dukhti navz pe haath rakh diya ho jise hum khud ke andekha kar rahe the barso se bhula ke bhi bhula nahi sakte mohabbat ko unke kya kare dil main aur kise ko sama nahi sakte
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 04, 2005, 12:35:16 PM » |
|
Shukriya Tosha ...... n nice one !!
humne apnay armaanoN ko aag lagaanaa seekh liyaa aag lagaakar armaanoN kee kHaak uDaanaa seekh liyaa. khel kar sach se aaNkh michaulee jab hum baazee haar gaye sachchaayee kee aaNkh se humne aaNkh milaanaa seekh liyaa.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #3 on: June 04, 2005, 01:04:25 PM » |
|
bahut khoob...HumTum Bhai..!!! ... ek thokhar khai hai jindgi main jindgi main sambhalna tumne sikh liya hai ek zakham aisa mila zindgi main khud zakham sina tumne sikh liya hai tumse hue haim hausle buland mere tumse dard main bhi hasna humne sikh liya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 04, 2005, 01:08:58 PM » |
|
yeh ishq aisi cheez hai na ho to ais ki aas hai dil main agar ho dard to dil se nikalti aah hai ais ishq ke darya main behna hai nahi aasan magar jo beh rahein hain un se poocho dil ka kaisa haal hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 04, 2005, 01:18:10 PM » |
|
is dil ka haal bhi ajeeb hai pyaar bhi jane kaisa hai kabhi gum deta hai kabhi kuchi deta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 04, 2005, 01:19:32 PM » |
|
yaadoN ki aag jab bhi sulagati hai ishq meiN tab barf dard-o-ghum ki pighalti hai ishq meiN tanhayiyoN se payaar ho jaata hai bevajah awaaz ik zara si bhi khalti hai ishq meiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #7 on: June 04, 2005, 01:26:58 PM » |
|
oh!!! ... daar lagta hai pyaar ke is roop se pyaar ek ibbadat hai mahoob ke kyo daard phir seene main hota hai q tanhaiyo main dil yeh rota hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 04, 2005, 01:32:49 PM » |
|
dard, thanhaaiya, aahey aur zakm yeh sab shugat-e-mehboob hai ishq mein kudrat ki barish na dekhogey kabhi ansoouN ki barish khoob hai ishq mein!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Tosha
Guest
|
|
«Reply #9 on: June 04, 2005, 01:49:03 PM » |
|
ek aasun aaya aakh main meri jo suni maine baat teri dil main hua sankoch ajab ek kya mohabbat main didar milta nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 04, 2005, 09:22:58 PM » |
|
ishq mein gham miley hain bohat phir bhi ham mein hosla hai bohat tum ko pa ker tumhi ko khoya hai kia kaho ishq ki saza hai bohat jeet ker haar hui hai kuch aisey zindagi mujh per hans rahi hai bohat dil to pagal hai kuch manta hi nahi mujh ko aaj bhi uski talab hai bohat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Meena
Guest
|
|
«Reply #11 on: June 23, 2005, 03:11:04 PM » |
|
chahat kis ko nahin hoti, par har chahat puri nahin hoti, mita de ashk ankhon ki dehelez se, ke gum me nam ankhen zaroori nahin hoti!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
amit_is_always_cool
Guest
|
|
«Reply #12 on: June 23, 2005, 03:18:22 PM » |
|
wah bohut achaaa likha hai aap dono nai humtum and meena ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 23, 2005, 03:19:18 PM » |
|
Beh gaye the ashq sabhi tere aane ki khushi mein, main ro bhi na saka lamha-e-judaai ke liye.
ek umr guzaari thi maine ibadat mein jiski, kaise bhula dun use bas ik be-vafaai ke liye.
main kar lunga do baatein usse,shayad kat jaaye zindagi, koi kar do ik chiraag roshan meri parchhaai ke liye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #14 on: June 23, 2005, 03:22:01 PM » |
|
very nice meen ..............hum tum................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|