Gaaz gire ya raaz khule hur.....

by Prateek Mardia on April 22, 2008, 03:07:17 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2802 times)
Prateek Mardia
Guest
Gaaz gire ya raaz khule hur…..

          Tum kusum de- de- kar
          pooch rahi to batlaata hu
          Be-parda  hote hein sub swar
          Ub Gaaz gire ya raaz khule hur
          Jo tere-mere hein andar!

          Ghari ghari tum jub  kehti alvida
          ‘Juda’ ho jaane ko aksar
          Kyon haath pakad tera mein humdum
          Tub Saath-nibhane ko tatpar

          Dard utha seene mein aisa
          Moti bante hein akshar
          Khoon baha hein armaano ka
          Kya khoob saje tere khanjar

          Aur nazariya tera saathi
          Kabhi- kabhi tum batlaati ho
          pur ‘drishtikon’ aur ‘drishti dosh’ mein
          Khud fark nahi kar paati ho!
          Mein mund-mund muskaata hu
          Soch ke saare woh manzar
          Ub Gaaz gire ya raaz khule hur
          Jo tere-mere-hein- andar

         Aur such poocho to he- priyavar
         Ek baat  mun mein kar gayi he ‘ghar’
         Mera pehla nagma kisi roz ko,tune  
         Pudh liya hoga bus chup-chup kar
         Duvidha mun mein tere tub se-
         Kuch aisa kar de tu jo agar
         Choole ye tadap saare woh shikhar
         Aag laga de kuch aisi ki
         Heera bun paaye  tera patthar
         Mehfil mein jub jaaye
         kehlaye ‘tanha shaayar’
         aur isiliye tunhe soch samajhkar
         dhaaye zulmon-sitam-kehar
         ub gaaz gire ya raaz khule hur
         jo tere –mere –hein andar


        khushi-khushi hu roz mein peeta
        amrit lagte mujhko ye ‘zehar’
        kya khoob kalpana teri dilbar
        fir kyon kehte mujhko kavi-var?



      ub gaaz gire ya raaz khule hur
      jo  tere-mere-hein andar!

Prateek
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
rastein mein gire hain phool by soniya shetti in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aisa Darya Jo Kisi r Samandar Men Gire by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
-Yeh Khule Khule Se Gesu- by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq
jab ashaq gire darti par......... by pawan16 in Miscellaneous Shayri
chata hu shbanam gire aaj raat,......... by pawan16 in Shayri for Khumar -e- Ishq
syednaami
Guest
«Reply #1 on: April 22, 2008, 01:29:50 PM »
Prateek mitr,
Lagta hai koi bada ghao laga hai dil ke andar
tabhi to "kabhi swaha hua dhwaan to kabhi moti bane akshar".
Khoob tarannum se bhara hai apne dard ko is kavita ke bhitar.

S Naami
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2008, 01:34:02 PM »
wowow too good Prateek ji.. sari kavita hi kamal ki likhi hai apne... magar yah lines bahoot hi kareeb lagi..

Dard utha seene mein aisa
Moti bante hein akshar
Khoon baha hein armaano ka
Kya khoob saje tere khanjar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 22, 2008, 01:47:58 PM »
Prateek ji.. apki kavita pard kar jo man mai ayya.. bas wo hi ek saans mai likh diya:

Chah kar bhi raz khola nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo bola nahi jaata

Karati hu sirf khud se khud ki baatein
Lubo per ek bhi shabd laaya nahi jaata

Ghut.ta hai yah dil, ansoo attak kahin seene main jaate hai
Door tak nigah main tera koi akas bhi ab laaya nahi jaata

Roti hai bahoot yaadein aa aa kar meri tanhaai main
Phir bhi yaadon ke samuder main kahin tujhko chupaya nahi jaata

Chah kar bhi ab tujhko bulaya nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo tujhko ab dikhlaya nahi jaata

samjhaya bahoot tujhko la la kar khayalon main
na samjhega kabhi tu, itna sa bas khud ko samjhaya nahi jaata!!!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2008, 01:58:31 PM »
Wah Wah Pooja bibi, kya teer mara hai, khud hi nishaan khud hi zakhmi.
Ek saans men yeh likha hai to baaqi saanson men to bas aap chhajayengi. Kamaal kardia.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 22, 2008, 02:11:38 PM »
Shukaria Syednaami ji!!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2008, 04:58:42 AM »
Prateek mitr,
Lagta hai koi bada ghao laga hai dil ke andar
tabhi to "kabhi swaha hua dhwaan to kabhi moti bane akshar".
Khoob tarannum se bhara hai apne dard ko is kavita ke bhitar.

S Naami

syeednaami ji,

aapki nazare is kalaam pur pari jiski mujhe behad prassanta hein. Aapki badhai ko dil se swikarta hu.shukriya .

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2008, 05:07:59 AM »
Prateek ji.. apki kavita pard kar jo man mai ayya.. bas wo hi ek saans mai likh diya:

Chah kar bhi raz khola nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo bola nahi jaata

Karati hu sirf khud se khud ki baatein
Lubo per ek bhi shabd laaya nahi jaata

Ghut.ta hai yah dil, ansoo attak kahin seene main jaate hai
Door tak nigah main tera koi akas bhi ab laaya nahi jaata

Roti hai bahoot yaadein aa aa kar meri tanhaai main
Phir bhi yaadon ke samuder main kahin tujhko chupaya nahi jaata

Chah kar bhi ab tujhko bulaya nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo tujhko ab dikhlaya nahi jaata

samjhaya bahoot tujhko la la kar khayalon main
na samjhega kabhi tu, itna sa bas khud ko samjhaya nahi jaata!!!!!


Pooja ji,

aapka andaaz behud prashansniye he.agar 13 minute mein aap yeh kavita likh sakti hein to jealosy ka hona swabhavvik he,mujhe galat na samjhe,insaan hu.
shabd shayad kum pur jaaye aapki taaref ke,ishwar se aaj aapke liye khushi ki prarthna zarro karunga,yeh vaada he.

Prateek
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: April 23, 2008, 06:28:04 AM »
Prateek mitr

Dil se jo likha gaya ho us ka andaaz bhi alag hi hota, baqi to sab khel hai, aap ke jaise log kam dekhe hain.

Disha kathhor hai magar
yaas men kabhi prayaas nahin hota
praani to bas nishchal hai
Pratishodh men kabhi shod nahin hota
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 02, 2008, 07:29:30 PM »
Bahut Bahut Khoob Prateek ji..hamesha ki tarah..aapki kavita padhkar anand sa aata hai..bahut acha likha hai aapne..khaas kar yeh line bahut khoobsurat likhi hai...

Dard utha seene mein aisa
Moti bante hein akshar
Khoon baha hein armaano ka
Kya khoob saje tere khanjar

  Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2008, 07:34:43 PM »
Bohot Khoob Prateek Ji, Pooja and S.Naami !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 02, 2008, 07:37:43 PM »
Prateek ji.. apki kavita pard kar jo man mai ayya.. bas wo hi ek saans mai likh diya:

Chah kar bhi raz khola nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo bola nahi jaata

Karati hu sirf khud se khud ki baatein
Lubo per ek bhi shabd laaya nahi jaata

Ghut.ta hai yah dil, ansoo attak kahin seene main jaate hai
Door tak nigah main tera koi akas bhi ab laaya nahi jaata

Roti hai bahoot yaadein aa aa kar meri tanhaai main
Phir bhi yaadon ke samuder main kahin tujhko chupaya nahi jaata

Chah kar bhi ab tujhko bulaya nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo tujhko ab dikhlaya nahi jaata

samjhaya bahoot tujhko la la kar khayalon main
na samjhega kabhi tu, itna sa bas khud ko samjhaya nahi jaata!!!!!


Bahut Bahut Khoob pooja!! aap jo bhi likhte ho dil se likhte ho..bahut ache.. Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: June 02, 2008, 07:44:15 PM »
bahoot bahoot shukaria khwaish ji!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: June 02, 2008, 07:48:51 PM »
Prateek ji.. apki kavita pard kar jo man mai ayya.. bas wo hi ek saans mai likh diya:

Chah kar bhi raz khola nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo bola nahi jaata

Karati hu sirf khud se khud ki baatein
Lubo per ek bhi shabd laaya nahi jaata

Ghut.ta hai yah dil, ansoo attak kahin seene main jaate hai
Door tak nigah main tera koi akas bhi ab laaya nahi jaata

Roti hai bahoot yaadein aa aa kar meri tanhaai main
Phir bhi yaadon ke samuder main kahin tujhko chupaya nahi jaata

Chah kar bhi ab tujhko bulaya nahi jaata
Jo hai dil ke ander, wo tujhko ab dikhlaya nahi jaata

samjhaya bahoot tujhko la la kar khayalon main
na samjhega kabhi tu, itna sa bas khud ko samjhaya nahi jaata!!!!!




mere geeton main kaash teri he awaaz ho
tujhe mere durd ka kuch to andaaz ho
jub bun gaye he hum humsafar
fir kyon bhala koi raaz ho!

tum khayaalon main laake samjha rahi ho
ya ummedon ko he behkaa rahi ho!
dil ki baataon ko lene do adhron ka sahaara
zindgi ub is paar ho ya us paar ho!

Prateek


Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 02, 2008, 07:59:47 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob Prateek ji....

Her baat per mujhko nasamjh thahraya hai
Phir kaise apne khayalo ko  main lubo per laau
Dil mai rahta hai khayal her pal tera he
Per samne dekh tujhe, apni haya main apne se he simat jaau

Awaz hu main magar sawar tum bin adhura hai
Do jo sath ab, tabhi yah janam poora hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:43:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer