Gaaz gire ya raaz khule hur.....

by Prateek Mardia on April 22, 2008, 03:07:17 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2735 times)
Prateek Mardia
Guest
«Reply #15 on: June 02, 2008, 08:04:06 PM »
celm
Bohot Khoob Prateek Ji, Pooja and S.Naami !
[/quote
celmira ji-dhanyavaad aapne padha aur saraaha.

Bahut Bahut Khoob Prateek ji..hamesha ki tarah..aapki kavita padhkar anand sa aata hai..bahut acha likha hai aapne..khaas kar yeh line bahut khoobsurat likhi hai...

Dard utha seene mein aisa
Moti bante hein akshar
Khoon baha hein armaano ka
Kya khoob saje tere khanjar

  Applause Applause Applause


khwaish ji-aapki daad mil jaati to hawa mein udane lagta hu mein..jaise surya deepak ka hausla badha raha ho..shukriya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
rastein mein gire hain phool by soniya shetti in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aisa Darya Jo Kisi r Samandar Men Gire by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
-Yeh Khule Khule Se Gesu- by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq
jab ashaq gire darti par......... by pawan16 in Miscellaneous Shayri
chata hu shbanam gire aaj raat,......... by pawan16 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Prateek Mardia
Guest
«Reply #16 on: June 02, 2008, 08:19:40 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob Prateek ji....

Her baat per mujhko nasamjh thahraya hai
Phir kaise apne khayalo ko  main lubo per laau
Dil mai rahta hai khayal her pal tera he
Per samne dekh tujhe, apni haya main apne se he simat jaau

Awaz hu main magar sawar tum bin adhura hai
Do jo sath ab, tabhi yah janam poora hai


wah pooja ji-aapki gati sadev superfast chalti he,kub sikhayengi?(gyaan baatne se bhadta he)

ek janam ka saath bhee koi saath he
mrityu ki yeh zindgi ko maat he
jodna he rooh se rooh ki jaron ko
khuda bhee kahe-kya baat he-kya baat he!

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: June 02, 2008, 08:28:56 PM »
Dil mai har dum, wo samaye hue hai
Her roop apna dikhaye hue hai
Parra kuch aor najar mai wo aa gaye
Khayal phir mere shabdo mai sama gaye

Mana gyan badta hai sabko sikhla kar
Uske yah roop kaise dikhau, chahne per bhi chah kar
Khayal hai mere, mujh main yah sab baste hai
Kabhi khumar, kabhi dard, kabhi juda se, bewafa se mujh mai tadpate hai!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: June 02, 2008, 08:31:20 PM »
celm
khwaish ji-aapki daad mil jaati to hawa mein udane lagta hu mein..jaise surya deepak ka hausla badha raha ho..shukriya.


prateekji..aap ne bahut kuch keh diya..jab ki sach to yeh hai ki hum khud aap se seekhte hai..bahut bahut shukriya uss tareef ki,jiske main laayak nahi...bahut khoob prateekji aur pooja..

Rehne de aasman, zameen ki talaash kar
sab kuch yehi hai,
naa kahin aur kuch talaash kar....

mohabbat mar chuki hai,
aaj ke iss daur mein "KHWAISH"
Phir bhi himmat na haar,
kahin to waffa Zinda hogi aaj bhi
bas uss wafaa bhari nazar ki talaash kar....

har khwaish mukamal ho jaati,
to jeene ka kya mazaa??
jeene ke liye,
bas ek kami ki talaash kar...

Chehre pe muskaan saja kar,
andar hi andar ro leta hai insaan,
jo tere aansuo ki kadar kar sake,
aise koi shaks ki talaash kar....











Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: June 02, 2008, 08:38:43 PM »
wah kaya baat hai khwaish ji... bahoot khoob.....yah lines dil ko kahi ched gai hai...

Chehre pe muskaan saja kar,
andar hi andar ro leta hai insaan,
jo tere aansuo ki kadar kar sake,
aise koi shaks ki talaash kar....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: June 02, 2008, 08:45:10 PM »
I am not sure, if these lines make any sense for anyone... just a reply after reading khawaish's poem!!
Adat se majboor, jo man mai ayya ek saans mai likh diya!!

Kisi ki kaya talash, khud ko bhool chuki hu
Apne he ansuo main, apne ansoo bhool chuki hu
Kisi ki banu main kaise, khud ki jab main na ban paai
Ek insaan ke dard main, insaaniyat bhool chuki hu

Muhobbat se lagta hai dar, khud per vishwaas nahi hai
Itne diye imteehan, ke khud ka rasta bhool chuki hu
Kis ke liye tlaashu, her talaash ab adhuri
Zindagi ki chaht main, ajj Pooja ko maar chuki hu!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: June 02, 2008, 09:03:59 PM »
khud ko bhool kar jee na paaoge,
uss shaks ki yaad mein khud ko tadpaoge...

woh ek guzra kal tha jo beet gaya,
guzre hue palo ko yaad kar,
ek kadam bhi na aage chal paaoge....

na do khud ko yuh saza
kisi aur ki bewafai ke sadke,
apne aansuo ko apni hi aankhon mein qaid karna seekhlo "pooja"
phir dekhna gham mein bhi muskuraoge...

khud ko bhool kar jee naa paaoge,
uss shaks ki yaad mein khud ko tadpaaoge...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: June 02, 2008, 09:12:59 PM »
Uski tadap mai tadapati hu to wo apna sa lagta hai
Beeta waqat us waqat, ek sapna sa lagta hai
Mana thahar gai hai yah zindagi meri
Per bin uske, nahi hai koi bhi zindagi meri

Bin uske chalu kis taraf, jaana hai mujhe kaha
Bin uske nahi hai mera koi thikana yaha
Apni is saza main he maza mujhko hai ane laga
Usse mili doorio ka fasla ghataane laga

Khud ko bhoola kar jee lu, usko bhoola kar na jee payegi
Such kahti hu dost, yah Pooja, jalad he mer jayegi...............
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #23 on: June 02, 2008, 09:15:13 PM »
Dil mai har dum, wo samaye hue hai
Her roop apna dikhaye hue hai
Parra kuch aor najar mai wo aa gaye
Khayal phir mere shabdo mai sama gaye

Mana gyan badta hai sabko sikhla kar
Uske yah roop kaise dikhau, chahne per bhi chah kar
Khayal hai mere, mujh main yah sab baste hai
Kabhi khumar, kabhi dard, kabhi juda se, bewafa se mujh mai tadpate hai!!!!


bahut khoob pooja ji.

gila ub iska mujhko nahi-ke mila nahi tera pyaar
sakoon kuch khaas de gayi -tu deke dard hazaar
kya hua jo likh na paaya main shringaar aur khumaar
teri aarzo he bun gayi meri kalam ka aadhaar
aur berukhi ne teri kar diya-mujhme geeton ka sanchaar
ek choti si khwaaish kya tooti-bun gaya kalamkaar!

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: June 02, 2008, 09:20:29 PM »
Meri kalam ko na rok dost, yah pahle se he gunehgaar hai
Shabdo meri per na laga rok, yah pahle se he jaar jaar hai
Hui kaya berukhi mujhse, mere ahsaas, tere ahsaas se anjaan hai
Hui agar mujhse koi khata, dost yah pooja uske liye sharmsaar hai!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #25 on: June 02, 2008, 09:24:33 PM »
prateekji..aap ne bahut kuch keh diya..jab ki sach to yeh hai ki hum khud aap se seekhte hai..bahut bahut shukriya uss tareef ki,jiske main laayak nahi...bahut khoob prateekji aur pooja..

Rehne de aasman, zameen ki talaash kar
sab kuch yehi hai,
naa kahin aur kuch talaash kar....

mohabbat mar chuki hai,
aaj ke iss daur mein "KHWAISH"
Phir bhi himmat na haar,
kahin to waffa Zinda hogi aaj bhi
bas uss wafaa bhari nazar ki talaash kar....

har khwaish mukambal ho jaati,
to jeene ka kya mazaa??
jeene ke liye,
bas ek kami ki talaash kar...

Chehre pe muskaan saja kar,
andar hi andar ro leta hai insaan,
jo tere aansuo ki kadar kar sake,
aise koi shaks ki talaash kar....



kya baat he khwaish ji-kya baat he!

aansu jub jub aasmaan ne tapkaye he
is dhara ne khule dil se unhe dabaaye he
'khwaish' aasmaan ki karu ya talashu main zameen
haal sabka ek sa he-bandon ne samjhaaye he !

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #26 on: June 02, 2008, 09:27:52 PM »
Shabdo meri per na laga rok, yah pahle se he jaar jaar hai


behad sundar pankti he yeh..bahut khoob pooja ji.

Prateek
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #27 on: June 02, 2008, 09:35:33 PM »
Pooja, Prateek, Khwaish

Excellent work by all of you Applause Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #28 on: June 02, 2008, 09:40:11 PM »
Pooja, Prateek, Khwaish

Excellent work by all of you Applause Applause Applause

dhanyawaad rajbir ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: June 02, 2008, 10:08:08 PM »
Pooja, Prateek, Khwaish

Excellent work by all of you Applause Applause Applause

shukaria Veer ji, main to sirf Prateek ji aor khwaish ji ki shayri pard kar jawab de rahi hu.. kamal to in dono ki shayri ka hai!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:37:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer