GAIRO SE KYA GILA KARE?
Apne hi sansaar ujaad gaye
gairo se kya gila kare
apne hi khai khod gaye
gairo se kya gila kare
wo apne hi the jo lita gaye sau teero ki shayiya par
wo apne hi the jo khila gaye zahar kheer me mila kar
apne hi hamko maar gaye
gairo se kya gila kare
apne hi hath chhuda gaye
gairo se kya gila kare
apne hi apno ko kasme dedekar marwate hain
apne hi apni khatir apno ko katwate hain
hum doob gaye apno hi ki baad me
hum jal gaye apno ki hi aag me
apne hi girate hain gaddha bankar
apne hi chubhte hain kanta bankar
apne hi saanse rok gaye
gairo se kya gila kare
dil par apne hi kile thok gaye
gairo se kya gila kare
apne hi mitate hain khushiyon ki chhawo ko
apne hi phalaate hain sookhte ghawo ko
deemak bankar dimaag ko apne hi galaate hain
shole bankar dil ko apne hi jalaate hain
wo apne hi hain jo apnepan me zindgi mangte hain
wo apne hi hain jo apno ko suli pe tangte hain
galaa ghotne wale apne hi hain
gairo se kya gila kare
kabr khodne wale apne hi hain
gairo se kya gila kare
kaliyon ko jo tod gaye,kanto ko jo jod gaye wo apne hi the
dukh ke badal mandrane par jo chhod gaye wo apne hi the
roti dekar maan le gaye apne hi
kheer dekar jan le gaye apne hi
apne hi jab aate hain chain le jate hain
apne hi jab jate hain gum de jate hain
khushiyaan saari loot gaye apne
gairo se kya gila kare
pyar manga to rooth gaye apne
gairo se kya gila kare
apnepan me humne apni saari khushiya de di
par pyar ki nazar ko taras gaye
apno ka dukh apno ka dard apno ki pida le li
aur apne hi aansu baras gaye
pyar ki nazar ko apne hi tarsa gaye
humaari aankho se we aansu baraswa gaye
chale the hath pakadkar,jab kuye me gire to dekha hath apno ka tha
chale the aankh mundkar,andhkar se ghire to dekha saath apno ka tha
kuye se badhaya haath to apne chal diye
andhere me maanga sath to apne chal diye
us kuye me,us andhere me dhakelne wale haath apno ke the
pairoon se zamin,sir se roshni kheenchne wale hath apno ke the
apne hi gira kar chal diye
gairo se kya gila kare
apne hi mita kar chal diye
gairo se kya gila kare