Galatfehmi

by ravneetpurohit on December 22, 2011, 12:24:19 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2881 times)
ravneetpurohit
Guest
   Wo jo thi wo galatfehmi thi

Kabhi meine kitabo mein
Kahin dekha tha or pada tha

“AADAMI KO MUJSIR NAHIN INSAAN HONA”-
         GALIB

   MEINE GALIB PE HANS DIYA
AUR EK KHAT USKE NAAM LIKH DIYA
GALIB INSAAN OR AADAMI KA FARQ KYA TUJHE KHUCH KHASS MALOOMAAT HAI.

   Jawab mila nai muje kaafi smay beet gaya muje laga galib smajh  gaya uska andaaz e baya galat tha umar meri badti gai Mein bhi khuch bhool gaya wo baat kaafi poorani ho chali.

   

Meine phir Matalab smajhe insaani kitabon se hat kar khuch aur bhi zindagi dekhi meine achanak jab arsa hua aankhein meri chondiyane ko hi thi ki ek khat darwaze pe mila.
Janab galib ne naam mere likha kaha- aap janab sahi the dono mein khuch khas farq nahin hai kynki jannat mein dono ek hi se hein

Meine apni ray badal li hai ab likha hai-

Insaniya har aadami ki shej hoti hai

   Meine kaha galib galat tu na tha, jab talak  tu sansaar mein tha, insaniyat yaha nahi yaha to aadamiyat ka raj hota hai par ye khuch esa hota hai





“aadami ko jaruri nahi insaan hona bas jaruri hai to khuch sikoon ka uske paas hona, insaniyat yaha katai na paas aati hai bas insniyat ek ghazal ban ke reh jaati hai, khuch yaha ese gum hote insaan hai galib. bas jeene ki jugat hai, aadami ko bas atimyat se pyaar hai. Kya hajh karenge galib ye aadam jaat hai tu jaha ja betha hai wo jannat ka ek dwaar hai.

   Galat tu na tha galib,
   Galat wo meri jawani ka
   Khayal tha,
   Us smay mein
   Galatfahmi ka sikhar tha.

Thk kaha galib us shaam tune.
“aadami ko mujsir nahi insaan hona- Galib”   

   Because i have listen sometime

   A person can get the body by his birth. But a person can’t get respect by birth, that’s truly wrong
   Kynki ek navajaat ki maut ka maatam log nai manate ek din ke bache ki deh nai jalate meine suna hai
   Muje karan bhi pata chala kahin kitabo se hi ki jo wo navjaat uski deh mein to bhagwan baste the sansaar ki buriyan door rehti us se kynki wo navjaat tha usne samaj dekha nai uska gyan sansaar ke liye jaruri tha kynki jala dene par deh nast ho jati hai par jab use dafan kiya jata to uske sara gyan mitti ke jariye sansaar ko milta hai.
   Phr meine likha
Acha hota galib mein navjaat mar jata
Kynki jalne se muje daar lagta hai,
Meri deah jo bani hai is lobh se isko ab khone mein muje daar lagta hai kynki sansaar dekh galti kar di dafan ho jata navjaat smay mein ye izzat se lekar galti kar di, bekadri dekh meri galib muje aaj ye jalate hai abhi tak izzat ka mol mujse ye duniya wale phir se chukate hai, jinda reh ke mol diya is duniya ko ab jal ke byaaz bhi de deta hoon par kya Karu aadami jalane se mein darta hoon.

   I know friend this is not poetry @ all but i love my that writing most then because it’s feel by my Herat while leaving in society. Please forgive me if you feel waste of your time & please free to comment if it's bad.
                                          
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
galatfehmi by sunny_bunny in Miscellaneous Shayri
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #1 on: December 22, 2011, 10:53:08 AM »
Lambi thi tere dard ki pukaar
Magar thi to pukaar tere dil ki

Taveel rahi baten pechida si teri
Magar baten hi to thi tere dil ki

Kya voh samjhe ga dil ki baten teri
jalna mohabbat me na sikha jo kabhi
Abul Asad

Ravi Saheb,

Yeh meri choti si samajh men
kuch jumlay kasay the aap ki kashmakash ko
padhkar, so darz kardiye. Umeed hai meri
nadaani kuch namukhuli na hovi hon.

Aap se islah ki darkhwast rakhte hovey
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:48:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.083 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer