****gar wo laut kar na aaya hota*****

by kaushikbhawna008 on July 01, 2008, 09:28:05 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1329 times)
kaushikbhawna008
Guest
kat hi jaati zindgi yu tanha bhi
gar wo laut kar aaya na hota

par mushqil ho gaya hai safar jab se
wo zindgi mei fir laut kar hai aaya

khush hote hue bhi na jaane kyu khushi c nahi lagti
wo saamne hai mere par chehre pe hasi achi nahi lagti

shayad wo badal gaya hai ya badal gaye hain mere halaat
ya zindgi us mod par laayi hai mujhe

jahan mei khud kuch kar nahi sakti
aur dua ko bhi haath badhta bhi nahi

na jaane kyu us shaqs par ab hota nahi yakeen
na jaane kyu fir dagaa dene aaya hai wo

na lut ab mujhe e-husn k saudagar
ab bikne ko kuch aur baaki na raha

jo anmol sa tha mera dil
wahi tu khaak mei mila aaya hai kahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo nahi aaya laut kar lekin by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
***कफ़न तेरी अमानत है---mai laut aaya-kishan by kishan8888 in Shayri for Khumar -e- Ishq
laut aane ke liye koi rasta nahi hota by sunildehgawani in Shayri-E-Dard
Laut to aaya hoon main fir se by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
saheil
Guest
«Reply #1 on: July 02, 2008, 07:58:39 PM »
Beech rah mein chod jayenge woh aise nahi
par kya aaj main yaad unko aati nahi..

mere dil ki koi baat unse chupi nahi
phir bhi kyun woh aaj mujh se dur hain, kuch kehate nahi...

pata hai woh mujhe chahte hain, mujh se jyada
par kya meri aankhon
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 02, 2008, 08:40:04 PM »
Bhawna, apki yah kavita bahoot achi lagi.. Ajeeb ahsaas hote hai pyar main..jine bin rah nahi paate, kai baar unke sath bhi rahna mushkil ho jaata hai..

Bin tere main rah nanhi paugi
rahi sath to nafrat main ghir jaugi
ajeeb mord per le aai zindagi humko
na tere bin, na tere sung, main rah paugi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: July 02, 2008, 08:41:31 PM »
Kabhi kahin Yo per yah kavita pahle bhi maine post ki thi:

mere ahsaas ko mere shabd nahi milte
tumhare anne per bhi, kyun hum-tum nahi milte

tadpati rahti hu tere intzaar mai her pal
kyun tere ane per wo intzaar-e-tadap nahi mit.te

roti hai ankhia, dard kisi tarah kam nahi hota
kyun tere pyar mai wo sakoon-e-kraar nahi milte

mere ahsaas ko mere shabd nahi milte
tumhare anne per bhi, kyun hum-tum nahi milte
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: July 02, 2008, 08:48:19 PM »
Bohot Khoob Bhawna, Saheil and Pooja !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: July 02, 2008, 08:52:16 PM »
Thanks Celmira
Logged
rubyali
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2008, 11:02:43 PM »
aya hai  wo  aaj  pachtawa lekar sat dena uska shayed wo dega  tujko  phir se sahara  karle  yaqeen uska  ek bar  mere  yaar najane  kahi  woh  bhi  na  samajle  tuj ko  dagabaaz
Logged
rubyali
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2008, 11:11:20 PM »
maine chaha  tha usko  uski ibadath ki thi
dil mai basaya tha usko sene mai jaga dethi
aaj mere ankho mai anso hai aur lap pe faryaad
mere dil mere  kahe mai nahi aur  sene se  ati  hai  awaz
BUS AB AUR NAHI HOGA BARDASH  NIKAL DE US
BEWAFA KO apne dil se ya hoja koffar
Logged
rubyali
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2008, 11:14:27 PM »
is shaher mai koi apna na  huwa itna roi ke  ankho ke nami ka pata  na  chala  mere ankh se anso nikal ne wale  tuj ko  sheher mile  aur  tere  apne  bane  shaher  wale
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: July 03, 2008, 12:22:23 AM »
Bahut acche Bhawna jee and as usual nice sher Pooja didi..
Good lines Saheil jee, rubyali jee..
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: July 03, 2008, 04:58:55 AM »
Kabhi kahin Yo per yah kavita pahle bhi maine post ki thi:

mere ahsaas ko mere shabd nahi milte
tumhare anne per bhi, kyun hum-tum nahi milte

tadpati rahti hu tere intzaar mai her pal
kyun tere ane per wo intzaar-e-tadap nahi mit.te

roti hai ankhia, dard kisi tarah kam nahi hota
kyun tere pyar mai wo sakoon-e-kraar nahi milte

mere ahsaas ko mere shabd nahi milte
tumhare anne per bhi, kyun hum-tum nahi milte



shukriya pooja

dard bayan karne ka sabka apna apna salika hai magar sach yahi hai ki har insaan aaj dard se jujh raha hai
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #11 on: July 03, 2008, 05:00:45 AM »
shukriya rubyali, sonia ji, saheil ji and celmira ji
Logged
Sammual
Guest
«Reply #12 on: July 05, 2008, 10:32:43 AM »
na lut ab mujhe e-husn k saudagar
ab bikne ko kuch aur baaki na raha

jo anmol sa tha mera dil
wahi tu khaak mei mila aaya hai kahin

Bahut Khoob Bhawna Ji.
Applause Applause Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #13 on: July 08, 2008, 05:32:25 AM »
shukriya sammual ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:59:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer