Mere Pyaare dosto.n:
Namaskaar aur Aadaab!
ik arse baad yahaaN kuChh peSh kar rahaa huuN.. ees baar qaatil Thandi ka mausam aur Exam dono.n ek saath hi chale aaye the.. qaatil Thandi ke mausam ki aisii hi ik subHa mei.n mai.n chaa'y peene apne room se baahar niklaa thaa.. socha thaa thoDii si raahat mil jaaye.n...wo chaa'y mujhe bahot kuChh baate.n seeKhaa gayii.n jo mai.n kabhee bhool nahii.n paaungaa..! mere uss ehsaas ko aap sab ke saath aaj baanT rahaa huuN.. ummid hai aap samjhenge.. aur aapka pyaar aur saath hameShaa ki tarah mujhe ees baar bhii zaruur milenga
*************************************************
qaatil Thand ke mausam mei.n
haath jahaaN kaanp rahe ho
badan thartharaata ho
log Khud ko apne Ghar mei.n qai'd kar ke baiThe ho
aisi hi ik subHa mei.n main chalaa tha chaa'y ki chuski lene
socha tha garam chaa'y se zaraa si raahat mil jaaye
saath mei.n Thand ka mijaaz bhee deKh luuN
chaa'y ka garam gilaas mere haath mein aate hi
raahat ka ehsaas huaa
apne dono haathon se uss gilaas ko pakaD lia
aur bas chaa'y ki chuski lene lagaa
aise hi chaae'y ka mazaa uThaate -uThaate
achaanak se meri nazar saamne aate huye
ik buDhe Shaks par jaa paDi
badan pe nah ziyaadah kapRe
kandho.n par saamaan uThaaye
thartharaata kaanptaa huaa badan
laDkhaDaate hue kadam
Khaansi ke maare unse
saamaan bhee Theek se
uThaaya nahin jaa rahaa tha
unki nazar bhee mujh par aa paDii
chaa'y ka gilaas mez pe rakh unhe hi deKhta rahaa
unka mere nazdiik aana aur mujhse fir rahaa nah gaya
maine kaha unse
"chaachaa" zaraa kuch der ruk jaa'iye
saamaan kuch der niche raKh de.n
aap bimaar bhi lag rahe hai.n, Khaansi ke maare aapse
saamaan bhi nahin uThaya ja rahaa
Thand se poora badan bhee kaanp rahaa hai
garma-garam ik chaa'y pee leejiye
wo muskuraaye
aur bole
"BeTa"
Shukriyaa'h itni parwaah karne ke liye
yeh to roz kaa hai
fir waqt pe saamaan bhi to pahuchaana hai
tabhi to rozi roTi chal paayegi
"Garibi har taqlifen bhoolaa detee hai
Garibi ke saamne har bimaari bimaar paD jaatii haii"
bas itna keh kar wo chal diye
num aankhoN se apni
chaa'y ka wo adhuura gilaas deKh
mai.n uss din bahot kuChh baaten samjh gayaa!
jo kabhee bhii samjh nah paata..!
*************************************************