gham ko gale se laga liya

by SHONA on October 04, 2007, 11:14:58 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1578 times)
SHONA
Guest
uski khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya
aur usne bhi khoob hamari chaahat ka sila diya
hum karte rahe wafa usse,jisne kabhi wafa ka mool bhi na samjha
lekar naam unki wafa ka..
apne naam ke aage bewafa bhi likhwa diya
aur kya karti,uske ishq mein milli  hui har chot ko
karam apna samaj kar sweekaar liya
unki khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon by majid in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
tu gale se laga na sake by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: October 05, 2007, 01:31:46 PM »
Quote from: "SHONA"
uski khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya
aur usne bhi khoob hamari chaahat ka sila diya
hum karte rahe wafa usse,jisne kabhi wafa ka mool bhi na samjha
lekar naam unki wafa ka..
apne naam ke aage bewafa bhi likhwa diya
aur kya karti,uske ishq mein milli  hui har chot ko
karam apna samaj kar sweekaar liya
unki khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya.....


Nice and touchy lines Shona.

Her raah chalte ko kabhi dil diya nahi jata
Tumko diya jabse tum bin jiya nahi jata

Apne nazuk dil ki halat ab "Roja" hi janti hai
Yeh aansoo judayee ka mujhse aur piya nahi jata...
 
[/color]
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #2 on: October 05, 2007, 07:41:41 PM »
Kya baat hai!! shona aap ne bahut acha likha hai..dil ko chu gayi hai..
roja aap ne bhi bahut acha likha hai..

Jisse tum bhula baithe ho
Wohi manzar tumhe fir yaad karta hai
Tum jaa rahe ho jisse  yuh
Tanha aur Bebas chodkar...
wohi dil tumhari salamati ke liye
Fariyad karta hai....
Logged
SHONA
Guest
«Reply #3 on: October 09, 2007, 07:23:57 PM »
Thanx a lot roja...beautiful lines written by you...
thanx a lot ishpreet.nice one

Kisi ki yaad mein yeh dil tadapta kyon hai?
Aakhir yeh dil kisi se pyaar karta kyon hai?
Agar mile khuda to puchungi usse
Tu aakhir seene mein dil rakhta kyon hai??
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: October 09, 2007, 07:32:47 PM »
Quote from: "SHONA"


Kisi ki yaad mein yeh dil tadapta kyon hai?
Aakhir yeh dil kisi se pyaar karta kyon hai?
Agar mile khuda to puchungi usse
Tu aakhir seene mein dil rakhta kyon hai??


Wah wah Shona..............the last line was awesome..........Usual Smile

Hui muddat ye dil chot nahi kha paya hai,
Sochta hu muhabbat ke bazar mein jaya jaye.
Iss berang jeewan mein veerani chayi hai,
Phir ek bewafa ka rang sajaya jaye........Winking
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: October 10, 2007, 07:15:05 PM »
Quote from: "SHONA"
uski khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya
aur usne bhi khoob hamari chaahat ka sila diya
hum karte rahe wafa usse,jisne kabhi wafa ka mool bhi na samjha
lekar naam unki wafa ka..
apne naam ke aage bewafa bhi likhwa diya
aur kya karti,uske ishq mein milli  hui har chot ko
karam apna samaj kar sweekaar liya
unki khushi ki kaatir,har gham ko gale se laga liya.....


BAHUT KHOOB...BAHUT ACHA LIKHA HAI SHONA AAPNE... =D>  =D>
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: October 10, 2007, 07:22:26 PM »
Quote from: "thycreator"
Quote from: "SHONA"


Kisi ki yaad mein yeh dil tadapta kyon hai?
Aakhir yeh dil kisi se pyaar karta kyon hai?
Agar mile khuda to puchungi usse
Tu aakhir seene mein dil rakhta kyon hai??


Wah wah Shona..............the last line was awesome..........Usual Smile

Hui muddat ye dil chot nahi kha paya hai,
Sochta hu muhabbat ke bazar mein jaya jaye.
Iss berang jeewan mein veerani chayi hai,
Phir ek bewafa ka rang sajaya jaye........Winking


bahoot khoob shona and good reply Amit!!

Sahi hokar bhi jo kismat se maar kha jaaye
Khud hi jo khud bewafa ban jaaye

Usko kisi bazar ki ab koi abhilasha nahi
Kyun mere dard ki ab koi rah gai bhasha nahi

Bewafa ban kar befaai ka dard samjh ayya
Wah re Khuda, insaan ko kis kis roop main hai tune sajaya!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 10, 2007, 07:34:10 PM »
MUSKURANA HI KHUSHI NAHI HOTI
WAQT BITANA HI ZINDAGI NAHI HOTI

GHAM KI MAUJOODGI MEIN
SAMAJ PAATA HAI INSAAN
EHMIYAT KHUSHIYON KI
JEENE KE LIYE, KHUSHIYAN KITNI ZAROORI HOTI HAI

KUCH NAHI HAASIL USS KAREEBI SE.
JAB DIL SE HI DOORI HOTI HAI
NA SAMJO BEWAFA USSE JISNE
TUMHE DIL SE CHAAHA HAI "KHWAISH"
HAR INSAAN KI APNI APNI  MAJBOORI HOTI HAI
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: October 10, 2007, 07:35:49 PM »
wah pooja.....bahut khoob..........

Bewafai ka ye manjar toh mujhe raas aa gaya,
Dur jakar dekho wo aur dil ke paas aa gaya..

Bhool jana bhi chahen toh bhulaye usse kaise,
Uski khushbu liye phir mausam ye udas aa gaya..

Koi batalaye usse ya hum hi ja kahen phir usko,
Gaahe-ba-gaahe wo meri yadon mein khas aa gaya..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2007, 07:47:17 PM »
Wah kaya baat hai.... shabd hamesha dil ke paar karte ho app.... bahoot acha likhte ho Amit!!

Good one khwaish ji!!!

Door tujhse hokar bhi,
doori banai na gai
Ankhon ke raste bahaya,
yaad bahai na gai

Dhadkano ne her pal pukara,
uski dhadkan, dhadkai na gai
Khamosh nigahein dekhti rahi rasta,
milne ki koi soorat laai na gai

meri sada se kab wo anjaana
yah baat bahoot baar dohraai gai
Door tujhse hokar bhi,
doori banai na gai.................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: October 10, 2007, 07:55:41 PM »
Usual Smile.....kya kahen....tongue3

Kabhi dur reh kar hi bat karne ko dil karta hai,
Tere paas aane se jane kyu dil ye darta hai..

Muhabbat karke dard itne mile hain tujhse,
Sochte hai toh dil ye jar jar marta hai..

Ab tu paas nahi hai, sukoon hai dil ko,
Dur se hi tujhko chah ke dil bharta hai..

Kabhi ye sochna kyu kar hua aisa dilbar,
Tere yadon ke sath dil mein dar bikharta hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 10, 2007, 08:53:39 PM »
bahoot khoob Amit!!!

Tujhi se gila tijhi se muhobat kyun hai
Barbaad tere sath, magar tujh bin bhi barbaad zindagi kyun hai

Pyar se bole koi to dar jaata hai ab yah dil
Pyar ke liye bekraar, phir pyar se inkaar kyun hai

Bikhar gaya khwabo ka mehal tinka tinka
Torra jisne dil, ajj bhi ussi ka intzaar kyun hai....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: October 11, 2007, 06:03:57 PM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Amit!!!

Tujhi se gila tijhi se muhobat kyun hai
Barbaad tere sath, magar tujh bin bhi barbaad zindagi kyun hai

Pyar se bole koi to dar jaata hai ab yah dil
Pyar ke liye bekraar, phir pyar se inkaar kyun hai

Bikhar gaya khwabo ka mehal tinka tinka
Torra jisne dil, ajj bhi ussi ka intzaar kyun hai....


Wah Pooja.........

Hasrat-e-muhabbat na humko raas aayi hai,
Kabhi sochna milan ka toh kabhi judai hai..

Kabhi hai pyaar ki baatein, Kabhi iqrar ki baatein,
Toh kabhi dard-e-muhabbat, kabhi ruswai hai..

Ye aisi mehfil hui jismein hone ka kuch hona nahi,
Iss se acchi toh meri apni zindagi-e-tanhai hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: October 11, 2007, 06:37:15 PM »
bahoot balanced reply likha hai Amit!!! magar acha likha hai... apki shayri din per din mature hoti ja rahi hai... ab yah na kahna ki mature kab nahi thi tongue3

Jeevan ka naam yahi dhoop chaw hai
Kabhi milan to kabhi judai ka ghaw (zakham) hai

Kabhi hai pyar ki barsat, kabhi nafrat ki
Her ek rang ke samunder per chalti yah naw (noka) hai

Mehfil mai kuch khatta, kabhi kuch meetha
Jisne na dekha sab kuch,
usse kaya pata zindagi ka kaya bhaw (mole) hai!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: October 11, 2007, 07:07:17 PM »
Thanks a lot Pooja........sangat ka asar lagta hai...Winking

Kyu kare hum muhabbat, isska haasil kya hai,
Tanhai-o-ruswai ke siva ismein shaamil kya hai..

Bas charcha-e-muhabbat hai nafrat ki dunia mein,
Sirf charcha karne ke layak bhala kaabil kya hai..

Kehte hain aag ka dariya hai ye, hum maan bhi le,
Par kabhi toh pata chale ki iska saahil kya hai...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:50:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer