gham mera bikta hua

by soudagar on May 11, 2012, 02:47:09 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1089 times)
soudagar
Guest
Qatl ke lagtaa hai mere - is qadar charche huye
ke tamaashayi pashemaN - saNg qaatil ke huye

bewfayi jaante the - is shahar ka hai chalan
har daghaa pe phir kaho tum - kyuN khafaa itne huye

daad khamoshi ki milti - kholne par lab sazaa
baat meri kyuN n dabti - hooNth tak aate huye

peeth bhi tai’yaar hai ab – nok e khanjar ke liye
baat koi yuN n karta - hai yahaaN haNste huye

kharch jeene ke jatan meiN – zindgi saree huyi
haNse ik muddat huyi hai - roye  bhii arse huye

gham mera biktaa huyaa maiN - paa rahaa bazar meiN
dekhtaa dukaan meiN gham - khwaar ko baithe huye

talkhee e duniya ka chaaraa - talkhee e baadaa rahi
ye bhi chhut jaayegee humse - usse chhut jaate huye

kucchh to qurbat hai ki tumko - shikwa e furqat bhii hai
warnaa karne to gilaa kya - aib kam mere huye

daam ik qatraa khushee bhii - khoob bikne ko mujhe
 Sharm bas aati hai "K" - mujhko ye kehte huye




pashemaaN - repentant
talkhee - bitterness
chaaraa - cure / remedy
baadaa - liquor
qurbat - nearness / affection
furqat - separation / distance

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera Gham by Nino in Shayri-E-Dard
mera gham tho yeh hai? by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
Mera Gham by Nino in Shayri-E-Dard
mera gham by mk.johri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ghazal posted with the title "gham mera bikta hua" by zarraa in User Support and Suggestion Forum
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: May 11, 2012, 03:08:39 AM »
bohut khub saudagar bhai
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 11, 2012, 03:44:32 AM »
bahut khoob
Logged
ufaq
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2012, 04:12:43 AM »
muaaf kariye janaab...........lekin ye ghazal kya aapki khud ki likhi hai?Huh?Huh?Huh?Huh??
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2012, 05:43:49 AM »
waah janaaab waaah
behad umdaa ghazal
mindblowing
daad daad daad

khus rahie
muskurate rahie
aate rahie
likhte rahie
Logged
Anahita
Guest
«Reply #5 on: May 11, 2012, 06:04:43 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #6 on: May 11, 2012, 10:52:26 AM »
waah vry nyc ....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 11, 2012, 06:47:28 PM »
Qatl ke lagtaa hai mere - is qadar charche huye
ke tamaashayi pashemaN - saNg qaatil ke huye

bewfayi jaante the - is shahar ka hai chalan
har daghaa pe phir kaho tum - kyuN khafaa itne huye

daad khamoshi ki milti - kholne par lab sazaa
baat meri kyuN n dabti - hooNth tak aate huye

peeth bhi tai’yaar hai ab – nok e khanjar ke liye
baat koi yuN n karta - hai yahaaN haNste huye

kharch jeene ke jatan meiN – zindgi saree huyi
haNse ik muddat huyi hai - roye  bhii arse huye

gham mera biktaa huyaa maiN - paa rahaa bazar meiN
dekhtaa dukaan meiN gham - khwaar ko baithe huye

talkhee e duniya ka chaaraa - talkhee e baadaa rahi
ye bhi chhut jaayegee humse - usse chhut jaate huye

kucchh to qurbat hai ki tumko - shikwa e furqat bhii hai
warnaa karne to gilaa kya - aib kam mere huye

daam ik qatraa khushee bhii - khoob bikne ko mujhe
 Sharm bas aati hai "K" - mujhko ye kehte huye




pashemaaN - repentant
talkhee - bitterness
chaaraa - cure / remedy
baadaa - liquor
qurbat - nearness / affection
furqat - separation / distance




Bahut Bahut Khoob!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mohd rafey
Guest
«Reply #8 on: May 12, 2012, 09:07:34 AM »
bahut khoob
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: May 13, 2012, 02:18:11 AM »
shukriya mohm. rafi ji..
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: May 13, 2012, 09:43:26 AM »
muaaf kariye janaab...........lekin ye ghazal kya aapki khud ki likhi hai?Huh?Huh?Huh?Huh??

ufaq ji .... apka andaza bilkul sahi hai. ye ghazal in sahab ne nahiin likhi hai .... kyunki ye ghazal meree likhi huwee hai. ap ise www. mein Dard-e-Dil section ke andar dekh sakte hain. wahaan par ghazal ka title maine matle ke misra e oolaa par diya hai "qatl ka lagta hai mere is qadar charche huwe"

ek aur baat ... yahaan par in sahab ne makte se mera takhallus (zarraa) delete kar ke "K" laga diya hai.asal mein makte ka misra e saanee tha "sharm bas aatee hai zarraa - mujh ko ye kehte huwe". hansee ki baat ye hai ki jab "zarraa" hataa kar "K" lagaya gaya to misra sarasar beher (meter) se baahar chalaa gaya hai.

beherhaal, bas yahee kehne ke liye haazir huwa tha ki aapkaa andesha sahi hai aur ye ghazal meree llikhi huwee hai.

zarraa

 
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: May 13, 2012, 09:55:40 AM »
the site I have originally posted this ghazal in is shayari . in (did not come out clearly in the previous message)
Logged
soudagar
Guest
«Reply #12 on: May 14, 2012, 01:56:44 AM »
Qatl ke lagtaa hai mere - is qadar charche huye
ke tamaashayi pashemaN - saNg qaatil ke huye

bewfayi jaante the - is shahar ka hai chalan
har daghaa pe phir kaho tum - kyuN khafaa itne huye

daad khamoshi ki milti - kholne par lab sazaa
baat meri kyuN n dabti - hooNth tak aate huye

peeth bhi tai’yaar hai ab – nok e khanjar ke liye
baat koi yuN n karta - hai yahaaN haNste huye

kharch jeene ke jatan meiN – zindgi saree huyi
haNse ik muddat huyi hai - roye  bhii arse huye

gham mera biktaa huyaa maiN - paa rahaa bazar meiN
dekhtaa dukaan meiN gham - khwaar ko baithe huye

talkhee e duniya ka chaaraa - talkhee e baadaa rahi
ye bhi chhut jaayegee humse - usse chhut jaate huye

kucchh to qurbat hai ki tumko - shikwa e furqat bhii hai
warnaa karne to gilaa kya - aib kam mere huye

daam ik qatraa khushee bhii - khoob bikne ko mujhe
 Sharm bas aati hai "ZAARA" - mujhko ye kehte huye




pashemaaN - repentant
talkhee - bitterness
chaaraa - cure / remedy
baadaa - liquor
qurbat - nearness / affection
furqat - separation / distance


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:41:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer